Tum Miley
Chapter 71
"Raabta"
#tummiley
#mehekhaziq
#lovehateromance
#fawadkhan❤❤❤❤❤❤❤❤
Aj wo khaas din tha jab Mehek or Yammar aamne samne aane wale the.Yammar subah taiyyar hoker office k liye nikla.White crisp shirt per usne grey colour ka suit pehna hua tha.Hermes k cufflinks uske suit per chaar chaand laga rahe the.Usne tie suit ki pocket me rakhi or perfume ki bottle uthakar khud per lagaya.Uske kaale syaah ghane baal jo usne bahut hi latest emirati style se set kiye huye the uski shakhsiyat mein or izafa kar rahey the.Usne nashta kia or bahar nikal aaya.
Rastey bhar wo mehek ka tasavvur karta raha.Uski khafa khafa si aankhein usey abhi bhi gusse mein ghurti hui mehsus ho rahin thin.Wo soch sochkar muskura rha tha.
Jab office me daakhil hua to dekha Mehek or Shariq dono launge me pehle se hi wait kar rahe the.Yammar ko samne se ata dekh baaki k employees khadey ho gaye.
Shariq bhi ehtimam me khada ho gya.Lekin Mehek jaha thi wahi bethi rahi.Usne nazrien uthakar bhi dekhna gawara nahi kia.Wo file me sir jhukaye bethi rahi jaise usey kuch pata hi nahi chala.Yammar ne ek nazar us par daali or apne office k room mien daakhil ho gya.Thodi der baad ek peon aya usne Shariq ka naam liya.Mehek ko bada gussa aya ki usko nahi bulaya.
M:"Yeh meeting to hum sath karne wale the na?"
Sh:"Relax,Mujhe bhi nahi pata.Me mil lun ek bar phir apko batata hun"
Shariq andar chala gya.Kuch der baad phir wahi peon aya or Mehek ko chalne ka aakar bola.Mehek uske sath sath ho li.
Mehek ne darwaza knock kia or andar daakhil hui.Office k ek kone me gulab k phoolon k bahut se bouquets rakhe huye the.Gulab ki khyshbu se poora office mehek raha tha.Usne samne nigah daali.Waha Shariq mojood nahi tha.Usne Yammar ki taraf sawaliya nazro se dekha.
Y:"Assalmoalaykum Habeebi"
Yammar samne hi boss chair per betha hua tha.Mehek ko dekhkar uske chehre per muskurahat aa gayi.Mehek Habeebi sunkar khasa chidh gayi.Usne koi jawab nahi dia.Chupchap khamoshi me khade rahi.Chehrey per usne gusse k tassuraat aane nahi diye.Usne ek nazar Yammar per daali.Andar tak se nafrat k bulbule phutne lage.Usne gehri saans li or yammar se nazar hata li.
Y:'Have a seat Mehek"
M:"Shariq kahan hai?"
Y:"Wo legal head se meeting kar raha hai."
M:"Mein sab baatien apne samne chahti hun."
Y:"Kyu pareshan ho rahi ho mein sab handel kar lunga"
M:"Jaisa ki in teen saalon se kartey aa rahe the?"Mehek ne tanz kia.
Y:"Tumhe pata hai na mere or bhi businesses hain.Mujhe hazaar jagah focus karna padta hai"
M:"Kab se chala aa rha tha ye black n white ka kaam"
Y:"Jab se tumhare papa ne ye naya brand launch kia tha tabhi se"
M:"Tumko pata tha ye sab ?"
Y:"Hahaha uncle hami se security lia kartey the.Papa k hain kuch pehchan k log.Lekin phir tumhare papa ka main buizniss hi down gya or urushay ne U.S jane ki zid kar rakhi thi.To is tarah ye tohfa aptak pahunch gya."
M:"got it"
Y:"Mere terms n conditions simple hain.Go through it .By the way You are looking beautifull today"
आप पढ़ रहे हैं
Tum Miley(completed)
RomanceHello! My story "Tum Miley" is the story of Haziq & Mehek who hated each other at first sight. But circumstances bring both of them closer and they fall in love with each other. I am very spritual person,loves nature and exploring bful world.Story s...