"Parwaaz"53

386 27 6
                                    

Story :Tum miley

Chapter 53

"Parwaaz"

#tummiley
#mehekhaziq
#lovehateromance
#fawadkhan

❤❤❤❤❤❤❤❤

🍁Chalo ye farz kartey hain
ke tum mashriq, Main maghrib hoon,
Chalo ye maan letey hain,
bara lamba safar hai yeh,
Magar ye bhi haqeeqat hai,
tumhaari zaat ka sooraj,
bohat sa raasta chal kar,
Meri hasti mein doobay ga...!!🍁🍁

Uske jane k din qareeb aa gaye the.Kashaf apa mujhe roz call karke samjha rahin thin ki dono apas me suleh kar lo.Is tarah rishton ko uljha hua nahi choda karte.Aage jakar yehi rishte or takleefdeh ban jaatey hain.
Me chupchap phone per unki baatien sunta rehta.Han me han milata rehta.Lekin mera dil abhi bhi Mehek ki taraf mayil nahi ho pa rha tha.Me bas door rehna chahta tha usse.Halaaki aisa nhi tha ki me nafrat karne laga tha usse,wo waqti nafrat thi.Us waqt ghusse me mene usey apni zindagi se hi alag kar dia.
Shayad kabhi apna bhi na paun usey.Apne hi dil k halaat se begana ho gya tha.Kya chahta tha me kuch samajh nahi aa raha tha.Bas ek aag thi jo sine me us waqt se hi jal rahi thi.Jab bhi usey dekhta us aag ko jaise or hawa mil jati.Is aag me jalte jalte me khud pathar ban gya tha.Dil me se ehsaasaat khatm ho chuke the.

Me nhi gya usse milne.Kai bar socha ki jaane nahi du lekin kis vajah se usey rokta?Jab me khud hi kuch decide nahi kar pa raha tha.Uske sath bhi zyadati hui thi..iska ehsas tha mujhe.Lekin me itna bada dil nahi kar saka ki usey maaf karke jaane se rok lu.Wo chali gayi akele.Usne bahut chaha hoga ki me uske samne aa jaun or rok lu usey.Me nhi rok saka.Mene apne rawaiyya bahut hi sard kar liya tha uski taraf se.

Khud se hi hazaaro sawal kiye ja rha tha.Kya usko hamesha k liye chod dia tumne?
Kya ab tum usko kabhi dekhna nahi chahte?
Kya mohabbat khatm ho chuki hai sire se?

In sab sawalon ka jawab tha nahi.
Usko nahi chod sakta.Usse mohabbat kabhi khatm nahi ho sakti.Bas kuch waqt ussey door rehna chahta hu.Khud ko waqt dena chahta hu.Me khud k dil ki kaifiyat se wakif hu ki me agar usse mil bhi lu to bhi usko wo mohabbat nhi de paunga jiska me ussey wada kia karta tha.Wo sirf ooperi tor ka dikhawa hoga.
Me dukhawa nahi kar sakta jabki dil raazi hi na ho.Haqeeqi mohabbat karna chahta hu na ki usper ehsaan
Karne wali.

Haqeeqi mohabbat karna chahta hu na ki usper ehsaan Karne wali

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।


🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁

Wo nahi aya tha mujhe chodne.Mujhe yaqeen tha is bat ka ki wo nahi ayega.Wo Haziq hai ,zid  or hat se bhara hua insan.Usse ummidein khatm ho gayin hain meri.

Pehle to uski mohabbat ne mujhe per diye,Udna sikhaya.Apni mohabbat ka bharosa dekar meri parvaaz(flight) buland ki.Jab me shaahin bankar aasmano ko chune lagi,Uski mohabbat k nashe me choor khud ko qasre sultani k gumbad per betha dia.Khud per aitbaar aa gya mujhe thik us waqt jab mujhe apne paron ki taqat ka andaza ho chala...us waqt tumne mere par kaat diye.Me tadapti hui us sultani gumbad se niche zameendoz ho gayi.Apne per dhool me masaltey huye nazar aaaye.
Ye pehli or aakhri parwaZ thi meri ...aisa hi mehsoos hua.Jis tarah bharosa diya tha usi tarah cheen bhi liya.

Me zameen me padi hui wo shaheen hu jo aasmaan ki taraf dekh rahi hai apni barbadi k manzar k baad.Khuda ko usper rehem aya ki nahi.Aasman me khud k katre huye per k tukde her taraf  udte nazar aa rahe hain.Me kahi chup kar beth gayi hu is manzar se dar k.

Me kahi chup kar beth gayi hu is manzar se dar k

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Me chupkar is tarah nahi jina chahti thi.Me aage badhna chahti thi.Jina chahti thi.Haar nahi manna chahti thi.Me us phoenix parinde ki tarah jalkar dubara zinda hona chahti thi jo rakh me milkar bhi rakh nhi hota or dubara apni tarah ka ek nayab parinda bankar khada ho jata hai.Phoenix ko ubharne k liye jalna zaroori tha.

Me giri
Me tooti bhi
Mere tukde tukde ho gaye
Me royi
Me rengte huye aage badhi
Me taklifon se jhujhti rahi
Or phir mene khud ko khuda k hawale soanp dia

Or phir

Me khadi ho gayi dubara mazbooti k sath. Kabhi na girne k liye.Phir mene apne paro ko ugta hua sa mehsus kia.Dil me nayi ummidein jaagi.Nayi zindagi k baare me socha.Mazboot iraadon k sath aage badhti chali gayi.Piche mudkar nahi dekha.Jo gya so gaya.Sirf aage badhtey rehna hai.Piche mudkar nahi dekhna hi meri shart hai khudse.

Me car me bethi hui apne khyalon se mazboot himmat baandh chuki thi.Adil bhai driving seat per the or meri dost meri humdum Aleena mere qareeb mujhse chipki hui bethi thi.Raaste bhar wo mujhe mohabbat se gale lagti rahi.Me uski jaan thi or wo meri.Itni badi barbadi me wo kaise mere sath na hoti.Raaste bhar haziq ko bura bhala kehkar apna dil halka karti rahi.Bar bar mobile uthati haziq ko call karne k liye lekin me qasam dekar rok deti.Khuda aise dost bhi kam hi banata hai jaan dene wale.Aleena unme se ek thi.Sabkuch chodke bas mujhe set karane k liye mere sath chal padi.Afaq bhai ne Adil bhai k sath jane dia kyunki wo unko kafi ache se jante the haziq ki wajah se.

Baarish ne abhi bhi mera sath nahi choda tha.Wahi boonda bandi jaari thi.Gadi kisi signal pe ruki to mene dekha ek bacha jo chotey chotey rang birange chaatey bech raha tha wo meri taraf aakar khada ho gya tha.Usne glass per apni ungliyan chalakar muskurata hua smiley banaya jo suraj  ki shakal ka tha.Mujhe uska ye smily dekhkar chehre per muskurahat aa gayi.Mene glass utarkar ussko dekha.Wo bheega hua tha.

Mene uske hath me kuch paise rakhe or usne chaata mujhe thamana chaha.Mene inkar kar dia.Muskura kar usey paise rakhne ka ishara kia.

Jawab me us bache ne paise wapas meri hatheli per rakh diye.Me hairan hui uski is khuddari per.Itni si umar me itni khuddari kaha se.Kya khoob maa baap ne parvarish ki hai is bache ki.Mene khush hoker usse saare chaate khareed liye.

Jawab me usne jo kaha wo me kabhi nahi bhool sakti.

"Jo khoya hai apka wo apko mil jayega bas khush rahiye"Itna kehkar wo jaise gayab ho gya.Me hairan reh gayi.Meri aankhon se aansu behne lage.Mene utarkar usko dekhna chaha wo door nikal chuka tha.Me bahar khadi bhigne lagi.Aleena ne mujhe hath pakad kar andar ghaseeta.Aleena bahut gussa hui mere rone per.Mene usse wada kia tha kabhi na rone ka.Mujhe laga Allah ne us ladke ko bheja tha.Mene wo sare chaate gareebon me taqseem kar diye.Dil hi dil kuch acha hone ki ummid bandh gayi thi.Khuda ka ishara tha ye.

Bahut khoobsurat ishara😍

Bahut khoobsurat ishara😍

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Tum Miley(completed)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें