"Eid"57

543 30 12
                                    


Story :Tum Miley

Chapter 57

"Eid"

#tummiley
#mehekhaziq
#lovehateromance
#fawadkhan

❤❤❤❤❤❤❤❤

Haziq uska hath thaame huye chal raha tha.Waha bazaar mein kafi bheed thi.Log ek dusre se takraatey huye nikal rahe the.Mehek ko Haziq ka is tarah hath pakad kar chalna acha lag raha tha.

"Bande k dil me kuch to care abhi bhi baqi hai"Usne socha.
Wo khud bhi jaldi jaldi qadam badhane lagi.

"Uske hathon k chooney me jaadu tha jo mujhey poori tarah ghafil kar gya.Me bhool gayi sab kuch.Bas ek connection sa banta nazar aya apne dil me.Me usko gor se dekhti rahi..Wo waqt k sath or handsome ho gya tha.Thora chehra bhi bhar gya tha ab.Itna sakht or gussey wala chehra kaise banaye rakh sakta ye insan?"Wo Haziq k chehrey k tassurat( expression) padhna chah rahi thi.

Haziq:"ye hi hai kya?"Mehek ghabra gayi uske ekdum mudkar dekhne se.

M:"Han yehi hai."Dono boutiq me daakhil ho gaye.

H:"Tum pasand karo me bahar hu"Wo smoking k liye bahar nikal gya.

Mehek ne apne liya ek hare rang ka dress pasand kia.Wo khud per aaine me laga k dekh rahi thi ki Haziq aakar khada ho gya.Mehek ne suit khud se hatakar table per rakh dia.Sales girl ko pack karne ka kehkar wo counter per aa gayi.

Haziq ne aage badhkar card usey thamaya.

M:"No need me kar deti hu payment."

H:"Ab yaha behes karne nahi aya hu me"Haziq ne mehek ko gusse se ghoora.

M:"Thik hai ap khud kar dijiye"Wo piche hat gayi.

Haziq shopping bag thaamey huye bahar nikla.Mehek ek shop per choodiyan pasand karne lagi.Haziq uske sath hi aakar khada ho gya.

Choodi wale ne Mehek ka hath pakad kar pehnana chaha lekin Haziq ne itni zor chillaya ki usne dar kar hath hi chod dia.

H:"Sharam nhi aati tumhe?"

Mehek bahut embarass ho gayi.Usko bahut gussa aya Haziq ki is harkat per.Wo wahi choodiya phenk kar aage badh gayi.Haziq uske piche piche chal raha tha.Mehek ne piche mudkar nahi dekha.

Poora bazar rang birangi choodiyon se saja hua tha.Her taraf ortein kapde pasand karti nazar aa rahi thi.

H:"Mehek "

M:"han sun rahi hu"

H:"Tum kisi khushfehmi me mat rehna.Ye sab me kashaf apa k liye kar raha hu bas Or kuch bhi khyal dil me mat le ana tum."

Mehek ka dil jaise doob sa gaya."Kitna tadpayega ye shakhs mujhe?Apni talkh(kadwi) baatoan se kab tak meri zindagi me zeher gholta rahega."Mehek ka jo dil thodi der pehle uski taraf se saaf hua tha wapas maila ho chala tha.Dil to rone ka chaha per usne control kar lia.

"Inko dikha dena hai ki me kamzor nahi hu.Na hi in ki mohabbat ki talabgaar.
Dunia me bahut kuch hai karne ko tumhari baaton pe dhyan dene k alawa"wo khud se baatien karti hui chal rahi thi.

M:"Ap bhi galatfehmi me mat rahiyega.Apki ehsaandaariyon se me bahut aage nikal chuki hu.Na hi apse kisi bat ki koi ummid baqi rahi hai mujhe.Me bhi sirf Kashaf apa k kehne ki wajah se apke sath aayi hu.Warna me apka sath bhi gawara nahi karti"Mehek ne himmat dikha kar usi lehje me Haziq ko jawab dia.

H:"Achi bat hai phir to.Mera. sath gawara nahi hai tumko to rishta kyu qayam hai abhi tak?Tod kyu nahi detin"

Mehek jawab me chup rahi.Kya batati apni mohabbat ki inteha.Koi paimana(scale) aisa nahi bana hoga jo mohabbat ki gehraayi ko naap sake.Us insan pe mohabbat ka kya rob jamana jo ki sire se hi apke vujood ko nakaar de.Apki hasti ko bemaine karde.Bas chupchap aage badhti rahi.

Tum Miley(completed)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें