1. Introduce yourself to our readers.Mein apna tarruf Urdu zabaan mein dena chahungi kyunki mein zyadatar urdu mein hi apne afsane likhti hu.Mein Bhopal sheher se talluq rakhti hu.Meri taleem tarbiyat sab Bhopal me hi hui.Shadi k baad Lonavla k pas ek jagah hai Aamby valley waha mere shohar ki posting thi.Wahan mene ek arsa qayaam kia.Wo jagah charo taraf se pahaadon ghiri hui thi.Subah ka manzar bahut khubsurat hota tha.Waha ki aabo hawa mein kuch aisa jaadu tha ki mein seher hotey hi apni diary or pen lekar beth jati thi.Wahi se mene likhna shuru kia.Un nazaaron ka aks apko mere afsanon mein dekhne ko milega.
Ab mein Saudi k Riyadh sheher mein rehti hu.
Meri ek beti or ek beta hai jinki tarbiyat or tawajjoh mein mene likhna chod dia tha or apni zindagi me mashghool ho gyi thi.Fitratan mere likhne k shouq ne mujhe kabhi sukun nahi lene dia or bil akhir mene ek bar phir qalam pakad liya.Mene apni adhuri kahani k kuch kuch panne mumo group me post kiye. Sabne itni khushdili se mera hausla afzayi ki,ki phir ye qalam ruka nahi😊Itni zyada mohabbat ki mujhe ummid bhi na thi.2. When did you discover a writer within you?
Mein jis khandan se aayi hu hamare yaha urdu adab k novels bacho ko bachpan se sunaye jatey hain.Wahi se padhne ka shouq paida hua.Mere nana ki ek harry potter type liabrary hua karti thi jismein english novels ki urdu translated books thi.Usi laibrary k khazane se Ammi barsato k dino me hame qustun tunia k novels sunaya karti thi.Bachpan k kachche zehen mein wo kahaniya itni mazedar lagti thi ki hum ghanton ammi se chipke huye novels suntey rehtey the.Wo sab kahaniya jaise ab bhi mere zehen mein mehfooz hain.Phir jab badi hui to likhne ka shouq jaga.
Jab mene pehli martaba apna afsana logo k samne rakha to ummid k khilaaf mujhe itne khubsurat comments miley or mujhe dheerey dheerey ehsaas hua ki wo sab log mujhse jaise ek dil k taar se jud se gaye hain.Jab apke likhe afsane k kirdaaron ko log jine lag jaayein or unse jude her pehlu per wo khushi or afsos zahir karne lagein.Tab apko apne writer hone ka ehsas ho jata hai ki kuch to acha kaam kia hai.
Mujhe bhi Tum Miley k kirdaaron ne apni pehchan dilayi.Ye novel bahut hi maqbool hua.Wattpad per isko qareeb qareeb 20'000 reads mil chuke hain.Bahut khushi hoti ye dekhkar ki apke kam ko tawajjoh mil rahi hai.3. Any writing rituals you follow? Do you use poetries and shayaris in your stories?
Mein apne ird gird ek mahol banakar hi likh sakti hu.Jaise ki mein likhtey waqt andhere mein likhna pasand karti hu.Thand baarish razaayi oud ki khushbu ye sab mere likhne mein kuch na kuch saajhedaar hain.😅Mein razaayi me chupkar raat k do do baje tak likhti thi.Subah 5baje post karti thi.
Mujhe shayeri faiz ahmed faiz,Daagh dahalvi,jaun eliya,Allama iqbal k kalaam behad pasand hain.Kuch mein khud apni bhi likhti hun.Lekin mein in ala muqaam shayeron k sher apni kahani mein zaroor leti hu.
4. Tum Miley has beautiful character names and sketches. How did you select the name of the characters and how you decide the same in your works?
Tum Miley ki jild 85 baab (chaps)ki hai.Iske her baab se meri rooh judi hui hai.Jaise nayi si mohabbat hoti hai phir usme daraarein padti hain phir mohabbat ka imtihan hota hai or ek shaqs jo us imtihaan ko or mushkil bana deta hai.Is afsaane mein Haziq hai, Jo her ladki k liye ideal ho sakta hai.Mein khud usey jab tasavvur karti hun mujhe aisa mehsus hota hai ki wo mere samne hai or mujhse dargo hai.Mujhe shuru se hi aise mard pasand hain jo apni mohbaat ko paane k liye dunia ek kar dein.Usi ki misaal is kahani mein Haziq ki hai.Mehek ka jo kirdar hai wo ek sataayi hui ladki ka hai jiske sath bachpan mein zulm huye or wo un halaat mein palkar badi hui.Us kirdar ki khas bat ye ki wo apni zindagi k halaaton ko ek puraane padhey huye novel per rakhkar dekhti hai.Wo novels mein apni zindagi jeeti hai.Ye kahani love triangle hai jisme raqeeb (villian)ek bigda hua emirati hai jo Mehek se mohabbat mein mubtila ho jata hai or phir shuru hoti mohabbat nafrat or inteqaam ki ye jung jiska naam hai Tum Miley.
5. When you get demand for a bonus, do you feel pressurized or you feel good?
Mujhe un logon se bahut mohabbat hai jinhone mujhe likhne ka hausla dia.Mein tahe dil se in sab logon ka shukriya ada karna chahungi jinhone mere urdu adab ko intna pyar dia.Rashi sethi,Poonam saluja,jigna vora,chaitali mishra, shilpa abraham ,Minal shah,ayesha bano ,hasin fatema,reshma bhathija ,sapana sinha bain payal sewak sharma, Benazir sanwari,Sangeeta toprani or list itni lambi hai ki khatam nhi ho sakti.Bharpoor mohabbat😍
Bonus jab log mangtey hain to usse unki mohabbat jhalakti hai.Jaise hi mujhse koi bonus ka kahta tha mein likhne beth jati thi.Her tarah se koshish hoti ki padhne walon ko mayoos na karun.
6. Have you feared falling short of reader's expectation?
Han bilkul kai baar.Kai baar log personal message pe aakar ladtey hain ki apne ye character k sath acha nhi kia.Usko strong bataiye aap orton ko weak bata rahin hain wagairah wagairah.Wo log itna zyada characters se jud jatey hain ki kuch bhi galat hota dekhne se wo dar jaatey hain or comments mein likhtey hain plz ye mat karna wo mat karna isko mar dena usko mar dena.Mein isko positively leti hu.Unki mohabbat hai ye.
Kuch log isliye kahani nahi padhtey ki urdu mein hai, samajh nahi ayegi ya tough words hain to khaas me un logo k liye asan urdu mein likhti hu.Kuch lafzo k maayne bhi brackets me likh deti hu.Mere kuch fellow writers ki madad se mene kuch angrezi mein bhi apne afsaane pesh kiye jo logo ko behad pasand aye.Marilyn purvi kandhar sapana sinha bain thnx for your help and appriciation.Ye log begaraz mohabbat karne walon me se hain.Her waqt himmatafzayi k liye aage.love u all.Sapana sinha to mere sath aisi judi ki hum dono ek hi baat ek hi waqt pe sochtey the.Unhone dead ends ko suljhane me meri hamesha madad ki.Kabhi kabhi hum dono hairan ho jatey the ki itna door hotey huye bhi kaise hum log ek jaisa sochtey hain.Kisi ko nicha dikhana asan hai lekin kisi ko ooper uthane me madad karna apke ek ache insan hone ki pehchan hai.7. What is the most surprising thing you discovered about yourself while writing?
Jab likhna shuru kia to mujhe khwaab aana shuru huye.Ajeebo gareeb se.Jaise me khud ko apni kahani jitey huye mehsoos karne lagi thi.Sotey hi jaise time travel start😀I know its funny and lil wierd but sach mein mene un lamho ko jaise ji liya ho.Unhi khwabon mein mujhe aage ki kahani nazar aa jati thi.Hairat hoti thi mujhe khud per.
8. Do you read stories by other writers in this group?
Han mene kuch afsaane padhe lekin afsos mein poora nahi kar payi kyunki me khud us waqt likh rahi thi.Mene Sabira ki stories padhi hain, bahut hi point to point likhti hain mashallah with a message.Marilyn ki stories wattpad pe padhti hu.Baki sabhi writers bhi bahut zabardast hain or apna kaam bahut ache se anjam de rahe hain.Storyteller group itne kam waqt me itna kaamyaab ho gya hai ki jiski unmid bhi na thi.Ye sab mehnati admins writers or readers ki wajah se mumkin ho paya hai.Ooper wale se dua hai ki hum sab aise hi hamesha ek dusre se judein rahein.
9. What inspires you to overcome a writer's block?
Mein isko dead end kahti hu😅In moqon per mein apne shohar ki madad leti hu.Unko puchti hu ap kya karenge agar waha honge to?Kya possibilities ho sakti hai.Phir jo wo suggest karte hai usse mera or dimagh kaam karna band kar deta hai😀😀or mein likhti hu unke suggestion ka opposite jo yaqeen maniye hit bhi ho jata hai😀(i hope my husb dont read this😆)jokes apart he helped me in every dead end.He is my strength.
Jab usse bhi kam na bane to us situation per fit bethne wale gaane sunti hu or sapana ko pareshan karti hu😀finally ooper wala ek na ek raah nikal hi deta hai.
10. What message you would like to give to your readers with your stories? Do you intend to publish your works in future?
Mein apne readers se Maraasim ki liye maafi mangna chahti hu kyunki kuch vujuhaat k chalte mein usey poora nahi kar pa rahi hu per inshallah ill be back soon with a bang or usko poora karungi.Mujhe khud bhi adhure afsane padhna pasand nahi lekin ummid karti hu mere readers is baat ko samjhenge.Ek lamba waqfa ho gya hai mujhe post kiye huye.Jab bhi likhne bethungi poora khatam karungi.Mayoos mat hoiye khush rahiye zindadil rahiye.
Mein apni kahaniyon k zariye logo ko ye hi message dena chahungi ki mohabbat kariye to begaraz kariye.Mohabbat haalaat ki mohtaj nahi❤
Her writer ka khwab hota hai ki uski book publish ho mera bhi hai.Inshallah mein sochti hu ek din ye khwab zaroor poora hoga.Thnx a lot once again for goving me such a bful plateform😊
आप पढ़ रहे हैं
Tum Miley(completed)
RomanceHello! My story "Tum Miley" is the story of Haziq & Mehek who hated each other at first sight. But circumstances bring both of them closer and they fall in love with each other. I am very spritual person,loves nature and exploring bful world.Story s...