"Aitbaar"46

508 32 12
                                    


Story :Tum miley

Chapter 46

"AITBAAR"

#tummiley
#mehekhaziq
#lovehateromance
#fawadkhan

❤❤❤❤❤❤❤❤

Dil bahut zoron se dhadak raha tha.Mene tension me apne saare nakhoono ko munh se kutar liye.Mac ne mujhe bahut himmat di lekin pairon ki larzish nhi ja rahi thi.Me alfazon ka muaayna kar rahi thi ki kis tarah bat karungi or kya baat karna munasib rahegi.Phir thodi der me sochte sochte khud hi hyper ho jati or milne ka plan dil hi dil me cancel kar deti.Sawal meri aage aane wali zindagi ka tha.Mene himmat bandhi or mazboot iraado k sath room k darwaze ko knock karke andar daakhil hui.Andar kafi khamoshi thi.

Me dabe qadmo se chupchap sofe per beth gayi.

"Mehek is that you?"Bedroom se Yaamar ki bhari awaz sunayi di.Kaleja halaq ko aa gya,Itna zyada khauff khaye huye bethi thi.

"Ji me"Badi mushkil se gale se awaz nikli.Dil itni zoron se dhadak raha tha ki laga sine se bahar hi nikal ayega.Me sada sa safed libas pehen kar aayi thi.Lag rha tha khud k janaze me shirkat karne nikli hu.Ya Allah rehem karna mujh per.Ye shaqs mujhe apni qaid se poori tarah rihaa kar de or me sukoon ki saans le sakun.

Ye hotel ka khoobsurat sa suit tha.Drawing room me uski jacket or laptop phele pade the.Uski ek  khas  tarah ki khushbu thi jo mujhe zeher lagti thi.Wahi khushbu se ek bar  phir do char hona pad raha tha.Switzerland se nikalte waqt socha tha is shaqs ka chehra dubara nhi dekhungi lekin qudrat ko kuch or hi manzoor hota hai.

Wo drawing room me salam karta hua daakhil hua.Thik mere pas  aakar beth gaya.Itne qareeeb ki jaise hamare bich kuch hua hi nhi ho.Wo pehle se kaafi badla hua nazar aa rha tha.Chehra per ghum k aasar the.Light blue denim ki shirt or white cotton ka trouser pehne hua tha.Shirt k ooper k do buttons khule huye the.Wo khamoshi se qareeb betha raha.Usne mere hatho ko apne hatho me le liya or mere badan me jaise current dod gya.Mene jhatke k sath chudana chaha lekin uski pakad kafi mazboot thi.

Y:"Dar rahi ho mujhse?"Usne seedhey meri aankhon me jhanka.Pata nhi kyu mujhse uski aankho ka samna nhi kia ja raha tha.Meri nazre khud ba khud jhuk gayi.Mere hatho ki kapkapahat ko usne bhaanp lia tha.Usne mere hatho ko gor se dekha or muskuraane laga jaise meri chori pakad li ho.

Y:"Bas karo Mehek poori kaanp rahi ho tum.Me tumhe kha nahi jaunga"Usne apni ungliyan meri hatheliyon per pherte hua bola.

Mujhe sakht koft mehsus ho rahi thi uski in harkaton se.Lag raha tha pas rakha guldan uske sir pe de maar dun.Lekin me khamoshi se uski baat sunti rahi.Hamesha ki tarah buzdil😭.

M:"Me nhi dar rahi apse bas thoda nervous thi ki kis tarah se apka samna karungi"

Y:"Bahaduri k to tumne saare jahan me parcham lehra  rakhen hain.Tum kaise dar sakti ho wo baat bhi hai"Usne mere hatho ko apni muthi me bhinch lia.

M:"Mudde ki baat per aate hain.Khula k papers kahan hain?"Me jis maqsad sez aayi thi mene sidha sawal daag dia.

Y:"Khula k papers ready hain..tumhara kuch saman bhi mere pas pada tha me le aaya hu.Tum lekar ja sakti ho"
Mehek ko uski baat per yaqeen nahi aya.Usne gor se uski aankhon me dekha.

M:"yakeenan ap mazak kar rahe hain.Itni asani se ap de denge iska mujhe aitbaar nhi tha"

Y:"Aitbaar lafz ka to tum naam hi mat lo.Tumse zyada beaitbar or sangdil kon ho sakta hai"Usne mujhe ek jhatke se mujhe apne qareeb kar lia.
Uski khushbu mujhe pehle hi nagavaar guzar rahi thi or ab to bardasht se bahar thi..uski mazboot pakad se me tang aa chuki thi.Khud ko bahut bebas mehsus kar rahi thi.

Tum Miley(completed)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें