"Tamasha"83

524 28 12
                                    


Story :Tum miley

Chapter 83

"Tamasha"

#tummiley
#mehekhaziq
#lovehateromance
#fawadkhan

❤❤❤❤❤❤❤❤

"Bhool betha tha magar yaad bhi khud mene kia..
Wo mohabbat jisey barbad khud mene hi kia"

Mein khud apni hi zaat ka qaidi ban betha tha.
Mene palat kar Mehek ki aankon mein aankhien dalne ki himmat kho di thi.
Apni hi nazro mein me gir chuka tha.
Mera zameer ye gawara karne ko qatai raazi nahi tha.Mein khud ko mujrim to tasleem kar chuka tha.
Per Mehek ki latalluqi (not in any relation)ki saza mein nahi bardasht kar sakta tha.
Mein her din ye koshish karta ki uske saamne jaakar khada ho jaun.Lekin zehen ki malaamat k aage majboor ho jata or waqt is tarah hi guzarta gaya.Nadamat mein me andar hi andar tanha ho gaya tha.Mene laakh koshish kee ki mein Sarah ko mehsoos na hone doon lekin pata nahi kyu uske aansu mere dil pe shamsheer (talwar) ki tarah chal gaye or mein apna dil uske saamne na chahtey huye bhi khol k rakh batha.
Zindagi ki sabse badi ghalti jo mujhse sarzad hui wo ye hi thi.
Mein Mehek ki mohabbat ka haqdaar to nahi hun lekin uske bina ji bhi nahi sakta.
Ek ek raat kis tarah karwat badaltey huye kat ti hai ye mein or mera khuda hi jaanta hai. Khud ko hi ehsaase jurm mein sazaayein deta rehta hun.

Khair ab mene soch lia hai jo hoga dekha jayega.
Ab mein khud se usey door nahi rehne doonga.
Her haalat mein usey wapas lekar hi lotunga.
Chahe kitni bhi shikayatien hoan usko mujhse.
Sab ek ek karke door kar dunga.Usko apni mohabbat ka aitbaar ek baar phir se dilaunga.
Aj bhi mein usi ko chahta hu.

Uskey bhi din raat aansuon mein guzar rahe honge. Khuda khair kare. Maaf karde mujhe wo is gunaah k liye. Hum dono phir se ek nayi zindagi ki shuruaat karen.
❤❤❤❤❤❤

Humein jab kabhi miley fursatein..
Mere dil se bhoj utaar do..
Mein bahut dino se udaas hun..
Mujhe koi shaam udhaar do.
Kisi or ko mere haal se na gharaz hai na koi wasta..
Mein bikhar gya hun samet lo..
Mein bigad gya hu sawaar do
(Shaayri not mine)
Yammar ne Mehek ki hatheli per apni ungliyon se lakeer khinchi.Mehek k poorey vujood mein bijliyaan si dod gayin. Mehek ne apna haath chudana chaha per Yammar ne nahi choda.

Y:"Mushkil mein jaan hai na?"Yammar k chehre per halki si tanziya muskurahat thi.

M:"Marna kyu chahtey ho?khudkushi gunaah hai"Wo bamushkil bol paayi.

Y:"Han gunaah to hai.Tumko chahna bhi to ek gunaah hai.Ab to gunaahon ki fehrist(list)bahut lambi ho chuki hai meri. Mot k farishtey bhi meri aamad(aane)k intezaar mein bethe honge"

M:"Ye wahiyaat baaton ka silsila kab khatam karoge Yammar?Kuch hosh k nakhun le lo"Wo ussey thoda oonchi awaz mein boli.

Y:"Nafrat kartin thin na tum mere vujood se?Ab jab moqa mil raha hai to piche hat rahi ho.Soch lo phir mein tumhara picha kabhi nahi chodne wala. Kisi jinn ki tarah kahi se bhi zindagi me tapak padunga. Isse behtar ye nahi hoga ki tum khud bhi azad ho jao or mujhe bhi azaad kar do apni qaide mohabbat se"Yammar ki aankho mein nami thi.

M:"Yammar tum kya ho? kis mitti k bane ho?Mein nahi kar sakti ye sab,Samjho is baat ko. Kyu mere imtehaan pe imtehaan liye ja rahe ho?Mein bahut pareshan ho chuki hun is shatranj k khel se. Mere paas ab kuch haarne ko baaki nahi raha hai. Mene khud tumhare samne haar tasleem kar li hai"

Y:"To phir meri khidmat mein hi zindagi kharab karne ka dil bana liya hai?Haziq k liye ab shayad wo baat nahi rahi.. mohabbat ka the end  ho gya hai ?"

M:"Nahi..Mein jana chahti hu lekin is tarah nahi tumhari jaan lekar"

Y:"Thik hai phir is tarah nahi karte hain. Tum jaa sakti ho mein khud hi apni jaan le lunga"

Tum Miley(completed)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें