"Dastak"81

401 25 8
                                    

Story :Tum miley

Chapter 81

"Dastak

#tummiley
#mehekhaziq
#lovehateromance
#fawadkhan

❤❤❤❤❤❤❤❤

"I am really sorry Haziq"Sarah ne Haziq k samne hath jod diye.

"Sab khatam ho gya Sarah.Mehek is never going to trust me again.How i can be so foolish?"Usne apne balon me ungliyan pheri.

S:"Meri ghalti hai.Mujhe itna bachpana nahi dikhana chahiye tha.Mein kyu aayi yahan?"Usne pair patakhtey huye bola.

H:"Sarah mein khud ko bahut perfect insan samajhta tha.Mohabbat k paimane mein me khud awwal darje per rakhta tha.Sochta tha mujhse zyada mohabbat Mehek se shayad hi koi kar sakta hai.Lekin mein ghalat tha.Khuda ne mera takabbur(itrana) door kar dia.
Mujhe bata dia us zaat ne ki mein insaan hu.Mujhse bhi ghalti ho sakti hai.Mein khwab mein bhi nahi soch sakta tha Mehek k alawa kisi ko.Lekin pata nhi kyu ..ye sab kyu ho gya Sarah?"

S:"Haziq mein shayad khud ko is gunaah k liye kabhi maaf na kar paaun.Mujhe tumhein force nahi karna chahiye tha."

H:"Taali ek hath se nahi bajti sarah.Mien bhi utna hi gunahgaar hun.Kash mein is tarah do hisso mien na bat gya hota."Haziq ki awaz ka ruaansapan sarah ko saaf nazar aa raha tha.Haziq khidki ki taraf munh karke bahut der tak khada raha.Sarah usko dekhti rahi.Sarah ne usko do chaar baar aansu saaf kartey huye dekha wo shayad ro raha tha.
Sarah ka dil beth gya Haziq ki halat dekhkar.

S:"Haziq mein apni shakal apko ab kabhi nahi dikhaungi"

H:"Sarah please dont talk like this.Meri ghalti hai,shuru se hi.Na hi tumhe mohabbat karta na hi Mehek mujhse door hoti"

S:"Haziq jo bhi kuch hua ghalat hua.Mujhe chale jana chahiye ab hamesha k liye.Na chahtey huye bhi tumhari zindagi mein toofan la khada kia mene.Maaf kar dena mujhe"kuch der dono k bich khamoshi rahi.

H:"Mac ka samna kaise karogi?"

S:"Kar lungi,you dont worry.Break up to tay hai hamara ab.Uski mohbbat mein mujhe hamesha aisa laga ki wo mehek ki dhaal banna chahta tha.Ek connection jo hamara hai wo missing tha.Khair jo hota hai thik hota hai"

H:"Apna khyal rakhna.Mein shayad tumhe kabhi call na karun lekin tumhare liye dua zaroor karta rahunga.May you find your right one soon inshallah"

❤❤❤❤❤❤❤

Mehek nind se jaagi to dekha subah k char baj rahe the.Usne uthkar Yammar per nazar daali to hairaan ho gayi.Wo ajeeb sa lag raha tha.Usko nind mein kuch ho raha tha ki wo apni aankhien kaskar bhinche hua tha.Chehrey per tanaav tha.Paseena paseena ho raha tha.Daant aapas mein kitkita rahe the,jaise bahut sardi lag rahi ho.Dono hath gardan per jame huye the.Mehek Yammar ko dekhkar dar gayi.Usne Yammar ko jhinjod dia.Mehek Yammar ka naam zor zor se pukarne lagi.Uski gardan se bamushkil usne hath hataye.Usko poori taqat lagakar bithaya.Usne pani ka glass uske munh se laga dia.Yammar ka paseena usne towel se pocha.Bahut der bad Yammar normal hua.Mehek uske qareeb hi bethi rahi.Yammar usey ajnabi nigaahon se dekhta raha jaise pehchan nahi pa raha ho.Mehek uski nigaahon k sawaalaaton mein ulajh si gayi.
Uski aankhein aatish ki tarah apne vujood pe mehsoos kar rahi thi.Mehek ne kambal uske kandho tak udha dia.Yammar usey betha dekhta raha.Khamoshi bhare kamre mein sirf ghadi ki tik tik sunayi de rahi thi.Mehek apni jagah per aakar late gayi.

Y:"Mehek"Yammar ki gehri sanjida awaz mehek k kano mein padi.

M:"Han boliye kuch chahiye apko?"Mehek ko yammar ki haalat per bahut taras aaya.

Y:"Tum wapas kyu aayin?"

M:"Kyunki khuda ko shayad yehi manzoor tha"

Y:"Tum mere liye aayi ho?"

Tum Miley(completed)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें