"Izhar"13

800 32 0
                                    


Story :Tum miley

Chapter 13

"IZHAR"

#tummiley
#mehekhaziq
#lovehateromance
#fawadkhan

❤❤❤❤❤❤❤❤

"Kyu ye fizaaiyen or haseen ho gayi hain.Kyu her cheez mukammal si nazar aane lagi hai.Kyu aajkal dil shaayeriyan karta rehta hai.Kyu her waqt sirf aanken mich kar usey hi tasavvur karne laga hu..nind to jaise mujhse mujhse naraz hi ho chali hai."

"Kya us taraf bhi yehi haal hai?
Kya wo mere ishare ko smajhi ya bura man k abhi bhi kisi kone me munh fulaaye bethi hogi.Gusse me or bhi khubsurat dikhti hai.
Kya ye achaaiyan mujhe pehle nazar nhi aayin thi?Mene khamakhwaah usko itna pareshan kia."

Wo uthkar bahar balcony me aa gya.Wahi cigrett light karke khada hua ,uski balcony ko ghoor rha tha ki shayad wo dikh jae lekin wo nazar nhi aayi.Halaki uski parchayi khidki k parde mese kabhi kabhi nazar aa rahi thi lekin wo samne nhi aayi.Dil mayoos sa ho gya.Wo apne kamre me aakar so gya.

Agli subah badi khushgawar thi.Khud ko bahut fresh mehsus kar rha tha.Kashaf apa breakfast ready ka chukin thin.

"Assalamo alykum apa,kya hai aj nashte me?"Haziq ne dishes k lid kholte huye pucha.

Kashaf:"Tumhari pasand ka nashta banaya hai meri jan.Betho jaldi se me serve kar deti hu."kashaf apa ne bade pyar se usko nashta serve kia.

H:"Bade maze k banayen hain sandwiches"

K:"Acha suno , housejob ka kya socha hai?kab se shuru karne ka irada hai.Aaye huye bhi bahut waqt ho gya hai tumhe.Lets get serious now."

H:"Mene bat kar li hai ek hospital me.Mere sir ne recommend kia tha,so ill b joining from next week inshallah."

K:"Thats good.Chalo ek fikr hati dimag se."

H:"Itni tension na lia karen, zimmedar insan hu aise tym waste nhi karunga."

K:"I know! Haziq,tum meri zimmedari ho u knw dat right?

H:"Han thik hai pata hai mujhe"

K:"Kal Mehek aayi thi tuition k liye,phir chali kyu gyi?"

H:"Mene kuch nhi bola usko ,apne ap hi chali gyi"

K:"Haziq mere samne bano mat zarur tumne kuch bola hoga usko.Dadi ne badi minnaton se bheja tha usey padhne.Uske exams anqareeb me hi hain."

H:"Ap khud puch lijiyega usse,apka bhai jhuta nhi hai."

K:"Acha sorry yar bura mat mano.Tum usko pasand nhi karte na to isliye thoda doubt hua."

"Ab inko kya batau dil k halaat me tabdeeli aa chuki hai.mamla hi palat gya hai.Wo pasand aa chuki hai"Wo dil hi dil muskuraya chai ka sip letey huye muskuraya.

"Suno mene mehek ko tuition k liye 10 baje tak bulaya hai.Mani kashi padhne nhi dete usey isliye.Jabtak wo dono school hain usko ek do ghante padha deti hu."

H:"Apne bhai ko time dene k bajaye ap dusre logo ko time de rhi hain."

K:"yar uske exams hai mere bhai,samjho tum."

H:" Thik hai,padha lijiye usey.Balki aisa kariye usko yahi apne ghar me shift kar lijiye usko apko dono ko asani ho jayegi."Wo uthkar tv launge me aa gya.

K:"Hud karte ho Haziq"Wo kitchen me chali aayi..

Tabhi door bell baji..kashaf ne kitchen se hi Haziq ko door kholne k liye awaz lagayi.

Haziq ne uthkar door khola samne uska mehboob chehra tha.

M:"Me andar aa jaun wo me tuition k liye aayi hu"mehek ne dhimi awaz me Haziq se kaha.

Tum Miley(completed)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें