Story :Tum miley
Chapter 59
"Jannat"
#tummiley
#mehekhaziq
#lovehateromance
#fawadkhan❤❤❤❤❤❤❤❤
HAZIQ pov
"Mehek Eid k jode me aj beinteha khoobsurat lag rahi thi.Wo khoobsurati ki misaal lag rahi thi.Chehrey per hamesha ki tarah mayoosi chayi hui thi.Meri nazar usper se hat nhi rahi thi.Shyad itne waqt baad me usey itni khoobsoorti se saja hua dekh rha tha.Wo mera imtehaan bani mere samne bethi hui thi.Me us imtehan me fail hota hua khud ko mehsus kar raha tha.Jab us per nigah padti dil me halchal si mach jati.Mera gussa uski khoobsurati or chehrey ki mayoosi ki niche dabta hua mehsus ho rha tha.Is waqt to aisa mehsus hua jaise hum dono k bich kuch hua hi na ho.Koi gile shikwe hi na ho.Me halaaki bahut sakht ho chuka tha Mehek ki taraf se lekin ek lamha hota hai hai ki jisme ap khud per se qabu kho dete hain or barso purani jami hui barf ek lamhe me pighal kar beh jaati hai.Usi tarah mera andar ka lawa bhi kab thanda ho chuka tha mujhe khabar bhi nahi hui.
Me apne dil se majboor jo gya gha.Mehek ko Eid k moqe per ranjeeda nahi dekh sakta tha.
Wo lakh mere samne mazboot hone ka dhong karti rahe lekin mujhe andar se pata tha wo bahut hassas tabiyat ki malik hai.Uske dil k saare taar mere dil se jude huye hain.Agar ek ko dukh hota hai to dusra khud ba khud ghamzada ho jata hai.Hum dono ne hi judaayi ki taklif mehsus ki thi.Dono ek hi tarah se tadpe the.Raatein uski bhi haram hui thi.Bas mene yehi sochkar uske liye Eid ka tohfa le liya.
Wo mere samne thi.Wo ab bhi meri nazro k ghere me qaid thi.Khud ko meri nazro se bachane k liye usne kamre se nikalna chaha.Wo kuch ghabra si rahi thi.Mujhse phir bhagna chahti thi.Lekin is baar mene usey rok liya.Mene usko itne waqt baad apne sine se lagaya.Waqt jaise tham gya tha.Wo roney lagi mere gale se lagkar.Mein uska rona sehen nhi kar paya.Merw halaq me bhi kuch atak sa gya.Mene usko maaf kar dia tha.Mehek ne rokar jab dil ki bhadaas nikal li to mene usko apni baahon me bhar liya.Wo kamzor si lag rahi thi.Mujhse nazrein bhi chura rahi thi.Uske badan me jaise rotey rotey jaan khatam ho gayi thi.Wo mere baazuon me aa gyi.Mene usko god me uthkar bed pe lita dia.Uskey hathoan ki larzish se me mehsus kar sakta tha ki wo kis burey dor se guzri hogi.Wo wakai kaanp rahi thi.Uski aankhein hazaar shikwe shikaytein karti hui si mehsoos ho rahi thin.Mene tadap kar usey apne qareeb kar lia.Kaise me itna zulm kar gya usper.Kitna sakht ho jata hu me Mehek per?Iska andaza mujhe is waqt ho raha tha.Mehek per hi jakar mujhe apne gusse ki inteha kyu dikhani hoti hai?
Me khud bhi nahi janta tha iska jawab.Shayad insani fitrat hoti hai jisko ap jitni zyda mobabbat kartey hain utna hi gussa unper nikal bhi detey hain.Me uske chehre per se baal hataye.Usper is qadar tootkar pyar aa rha tha ki lagta tha aj sabr k ssare baandh toot jayenge.Mene uske chehre ko kiss kia.
Uska chehra ekdum se surkh pad gya.Mera dil ye dekhkar or beiman ho gya tha.Uski palkein is tarah jhukti chalin gayin ki bas ....Usne mujhe rokna chaha lekin me apne hoshi hawas me hi nahi raha.Me kisi or hi dunia me pahunch chuka tha.Aisa mehsoos hua jaise me hawaon me ud rha hu.Dimagh mera sukoon per aa chuka tha.Mehek k hathon ko chumta rha.Usko beinteha pyaar kiya.
Meri nazarien uska jayeza le rahi thi.Me uski aankhe khulne k intezar me tha.Wo kis tarah se mujhe dekhti hai isliye bechaini meri badhti ja rhi thi.Mera dil bhi beqabu hokar dhadak raha tha.Mehek ki saanse bhi tez chal rahin thi .
Mehek ne aankhen kholin or badi mushkil se lafz uske hotho se nikle "Aj nahi Haziq"uski awaz me wo nasha tha ki us lehje ne meri or himmat afzaayi kar di.Mene uske hotho per kiss kia.Usne tadap kar mujhse apne hatho se piche dhakka dia.Mene uske dono hatho ka kaskar apne hatho me bheench lia.Usne apni poori taqat laga di mujhe khud se door karne me.Mujhe usko dekh kar hasee bhi aa rahi thi.Nazrein bhi nahi milana tha or mujhe se alag bhi hona tha.Jo ab Mehek sahiba k bas se bahar ki baat ho chuki thi.Mene uske hatho apni taqat ka eksas karaya.Mehek ne mujhe gor se dekha.Uski aankhen is waqt qayamat lag rhin thi.Jinme shikwe shikayaton k dher k alawa mohabbat bhi thi.Mene uski aankhon me jhanka to wo meri nazro ki taab na la payi.Usne chehra meri taraf se mod lia.Mene Mehek ko pareshan karne k liye uski gardan per kisses ki bochar kar di.Usne mujhe palat kar dekha gusse se.Us chehrey k tasssurat pe humne apna dil haar dia.
आप पढ़ रहे हैं
Tum Miley(completed)
RomanceHello! My story "Tum Miley" is the story of Haziq & Mehek who hated each other at first sight. But circumstances bring both of them closer and they fall in love with each other. I am very spritual person,loves nature and exploring bful world.Story s...