Tum miley
Chapter 37
"Taskeen e dil"
#tummiley
#mehekhaziq
#fawadkhan
#lovehateromance❤❤❤❤❤❤❤❤❤
Mehek or Haziq ek dusre ko haasil karke beinteha khush the.Unki khushi unke chehron se bayan ho rahi thi.Dono ek dusre per se nigaahein nhi hata rahe the.Khushi jo bahut zyada gham sehne k baad mayassar ho us ehsaas ko lafzon me qaid nhi kia ja sakta hai.Wo sirf mehsus ki ja sakti hai.Apki chahat,Apki zid,Apki ana(proud) her pehlu jo apko aage jine k liye mayal karta hai Us khushi se juda mehsus hota hai.
Mehek wo hi khushi thi Haziq k liye.Kabhi kabhi itni khushi insan ko khuda se bekhabar bhi kar deti hai.Lekin dono ne sath milkar hotel me namaz e shukrana ada ki.Mehek ne ro rokar sajde me khuda se maafiyan maangi.Her aansu ka qatra jo us parvardigar k liye bahaya gya ho uska badal usey dunia me hi mil jata hai.
Mehek ne Haziq or khud ki salaamti k liye dua ki.Allah unhe apni hifzo amaan me rakhe.H:"Mehek utho ab,rona band karo"Haziq ne sajde me se mehek ko uthaya.
M:"Mene kai gunaah kiye hain Haziq,Mujhe unhi gunaahon ki saza mili thi jo ap mujh se door ho gae the."
H:"Insan galtiyon ka mujassama hai.Agar insan galti nhi karega to us din uski ginti farishton me hone lagegi Mehek"Mehek nam aakhon se usey dekh rahi thi.
H:"Mene bhi apni zindagi me kai ghaltiyan ki hain.No one is perfect in this world.Tumhare sath to masla hi alag tha.Bachpan tumne sara apni pareshaniyon me guzara hai.Koi samjhane wala nhi tha tumhare sath.Isliye its ok.Jo hua ho gya lekin aage hum apna kal acha bana sakte hain."
M:"Haziq mujhe maf kar dena"
H:"Yar mehek please"
M:"Mene tumhari amanat me khayanat ki hai.Or koi rasta nazar nhi aa raha tha mujhe.Me kya karti?"
H:"Wott?"Mehek ne apne hatho se apna munh chupa liya.
Haziq janamaz se uthkar bed per aakar beth gya.Bahut der tak wo sadme se kuch bol nhi paya.Kamre me chubhne wali khamoshi chaa gayi.
Mehek uthkar Haziq k samne wali chair per beth gayi.Haziq ki kaifiyat dekhkar uska dil betha ja raha tha.Usne badi himmat karke bolne k liye munh khola lekin awaz ne uska sath nhi dia.Usne Haziq ka hath pakda or apni baat saamne rakhne ki koshish ki.
M:"Haziq,wo shohar tha mera?
H:"To phir jao uske pas yaha mere sath kyu ho?"Haziq zor se dahada.
M:"Majboori thi meri.Usne mujhe qile jaise ghar me qaid karke rakha hua tha.Jabtak me usey apni mohabbat ka ehsas nhi dilaati wo mujhe kabhi bahar nhi nikalne deta"
H:"Mujhe kuch nhi sunna Mehek plz chup ho jao"Haziq ki aankhen gusse se laal ho gayin.Mehek usko dekhkar sehem gayi.
H:"Tumko intezar karna tha mera.Me kaise bhi karke ata or tumhe nikalkar lekar jata.How can u do this to me?"
Usne Mehek k baazuon ko pakadkar jhinjhod dia.
Mehek dar se kaanp gayi or zaar zaar rone lagi.Haziq usko chodkar khidki k pas ja khada hua.Mehek ki siskiyan poore kamre me goonjti rahin.Mehek ne Haziq ki taraf nazar ki to Haziq bhi khidki ki taraf munh karke ro rha tha.
Mehek uthkar Haziq k pas gayi or uske kandhe per hath rakh dia.Haziq ne piche mudkar Mehek ko dekha.
H:"Iam sorry"Mehek uske gale lag gayi.
M:"iam sorry too"Mehek ki siskiyan band nhi huin.
H:"Relax,rona band karo please."Usne mehek ki kamar per sehlaya.
आप पढ़ रहे हैं
Tum Miley(completed)
RomanceHello! My story "Tum Miley" is the story of Haziq & Mehek who hated each other at first sight. But circumstances bring both of them closer and they fall in love with each other. I am very spritual person,loves nature and exploring bful world.Story s...