Story :Tum miley
Chapter 79
"SHAAM"
#tummiley
#mehekhaziq
#lovehateromance
#fawadkhan❤❤❤❤❤❤❤❤
Ye shaam bahut khoobsurat thi.Halki baarish k baad suhani si dhoop nikal aayi thi.Sunehri chamakti hui kirne Mehek k chehre ko roshan kiye huye thin.Uske gulabi honth gulab k phool ki pattiyon ki tarah beniyaz lag rahe the.Wo muskurati hui mujhe hi dekh rahi thi.Halke dhaani rang k jodey mein uska vujood khil sa utha tha.Usne ek gulaabi rang ki shawl apne kandho per phaila rakhi thi.Uski hasee is fizaa mein gunjti hui mehsus ho rahi thi.Gaalon per khobsurat sa padne wala dimple mujhe or bhi apni taraf mutawajjah kar raha tha.Mein qudrat k is haseen shaahkaar ko dekhey ja raha tha.Kahan se meri qismat mein Mehek aa gayi.Kuch to mene apni zindagi mein kisi k sath acha kia hoga jiske aiwaz (badal)mein mujhe Mehek jaisi bv mili hai.Her waqt khilta hua sa gulaab.
H:"Mehek tumhari rounaq din ba din badhti jaa rahi hai.It means its going to b a girl"
M:"Hahaha Ap bi purani daadiyon wali baatien karne lage ho"
H:"Kashaf apa aisa bolti thin to mujhe yad hai.Waise mene socha hai i want girl"
M:"I too want girl.Ladkiyan khuda ki rehmat hoti hain."
H:"Yar lekin jab koi beti ko takleef hoti hai to bardasht nahi hoti"
M:"Aulaad ki takleef khuda kisi ko na de"
H:"Han yar mein bahut darta hu in chizon se.Khuda hame ladka de ya ladki,bas sehatmand bacha hona chahiye.Yehi dua hai meri"
M:"Inshallah.Tumhe is tarah fikarmand hotey dekhna acha lag raha hai."Wo muskurayi.
H:"You know mehek mujhe bache kis hud tak pasand hain.Mera bas chale to ek nursery khol lu"
M:"Hahaha that means bache tumhi sambhaloge.Great"
H:"Allah wo din to dikhaye sab sambhal lunga.Mehek ab tum nahi jaogi mene decide kar liya hai."
M:"Yar please Haziq aisa mat bolo.I have so many unfinished work to complete."
H:"Pata nahi kyu mera dil nahi chaah raha tumhe wapas nahi jaane dena chahta"
M:"Allah per yaqeen rakhtey ho na.Phir kyu fikar kartey ho?"Usne Haziq ko sawaaliya nigaahon se dekha.
H:"Tumhara shohar hu na Mehek isiliye fikr karta hu.Mein nahi chahta ab meri life me koi mushkilaat aaye."
M:"Nahi ayegi inshallah."
H:"Tumhari hifazat mera zimma hai.Apne bache ki hifazat karna tumhara zimma."
M:"Dont worry Mr Haziq.Tumhari amanat mere pas salamat rahegi."
H:"Mehek Yammar se tumhari mulaqaat hui uske baad?"
M:"Han hui thi.Usne uski ammi k liye mujhse set design karaya tha.Tab wo khud office aya tha"
Haziq k chehrey k rang thode aaye or gaye.Bechaini saaf uski paishani per numayaan hui.
H:"Kuch kaha usne tumko?"
M:"Nahi kuch khaas nahi"
H:"Mein nahi maan sakta.Tum mujhse kuch chupa rahi ho mehek or agar kuch chupa rahi ho to please sabkuch bata do.Humdono k liye acha nahi hoga."
M:"Kuch nahi chupa rahi.Mein kuch mahine or waha kaam karna chahti hu,Phir inshallah sath mein hi rehna hai humko"
H:"Mehek soch lo aram se.Khuda na kare kuch hua phir tum baad mein mujhe batao"
आप पढ़ रहे हैं
Tum Miley(completed)
RomanceHello! My story "Tum Miley" is the story of Haziq & Mehek who hated each other at first sight. But circumstances bring both of them closer and they fall in love with each other. I am very spritual person,loves nature and exploring bful world.Story s...