Story :Tum miley
Chapter 55
" Urooj"
#tummiley
#mehekhaziq
#lovehateromance
#fawadkhan❤❤❤❤❤❤❤❤
Yammar ul hashimi"Waqt ne sabko kuch na kuch badla lekin agar koi nahi badla to wo tha yammar ul hashimi..Wo aj bhi waisa hi tha jaisa pehle tha.Wo apne shoots me buzy rehta.Kabhi travelling diaries kabhi golden chefs of the world program mein usey guest banaya jata. Kabhi koi luxury cars ki inaugration party wo her event pe nazar aata tha.Usne khud ka boutique hotel launch kia tha.Log uske liye pagal the.Her luxury lifestyle k magzine cover per zyadatar uski picture hi hoti thi.Cars bikes ya property k launch pe usko khaas tor per invite kia jata tha.
Ajkal zyada time uska ek model k sath hi beet raha tha.Raat raat bhar party karna hi uska pesha ban chuka tha.
Yammar k gharwale uske is tarah zindagi guzarne se tang aa chuke the.Wo uske liye ladkiya talaash kar rahe the.Jab bhi koi tasveer uske samne ki jati wo halka sa muskura deta or inkar me sir hila deta.
Her chehrey me wo Mehek ko talashta tha.Wo ankhen uski zehen se utarti nhi thin.Uski bevafai dil me tees bankar uthti thi.Uske badle ki aag abhi tak nhi bujhi thi.Halaaki usne mehek se wada kia tha ki ab wo uska picha chod dega lekin wo dil se ussey nhi nikal paya.
Mohabbat bhi wo shay hai ki jab jisko asal me ho jati hai or hasil nahi hoti to barbad kar deti hai.Ooper se nahi lekin dimagh ka ek hissa us barbadi ka chashm deed gawah ban jata hai.Wo hissa kabhi bhi apni haar apni beizzati apni ana bhoolne nahi deta.Hum dilme khud sochte hain sab bhool gaye hain aage badh gaye hain.Lekin asal me wo dimagh ka hissa wahin thehra hua hota hai Or jab raat hoti hai to hame usi kone me lekar jata hai or wahi sab manzar hamari aankhon k samne lakar rakh deta hai jinse hum bhaagte aa rahe the.Aaina dikha deta hai.Hum ghabra kar karwat badal lete hain.Lekin us karwat bhi wahi khyalaat picha nhi chodtey.Jaise aankho me aankhe daalkar humse apni galtiyan taslim karwana chaahte hon.Hum na chahtey huye bhi un galiyon me pahunch jaate hain jaha hamara dil dukha tha.Kisi ne dhokha dia tha.Kisi ne beimaani ki thi.Jab dil ache se bura ho jata hai to dil me ye ahad kar lete hain ki maaf to nhi karenge hargiz.Chahe kuch bhi jaye.Raaton ki nind jisne haraam ki hai.Badle ki aag me tadpaya hai jisne usko kyukar sukoon se sone dein.Hergiz uska haq nhi banta sukoon paane ka.Ek halki si baddua to nikal hi jati hai.Kash uske sath bhi koi aisa hi kare or hum usko apne samne tadapte huye dekhen.
Yammar ka bhi yehi haal tha.Wo raat bhar bechaini se karwatein badalta rehta tha.Gusse ki badolat usko nind nahi aati thi.Kabhi kabhi her aadhe ghante se uthkar pani pita rehta.Kabhi raat raat bhar ghabra kar tv dekhta rehta.Usne dipression ki tablets khana shuru kar di thin.Usko apne her marz ka ilaaj ek hi shakhs me nazar aata tha or wo thi Mehek.
Wo kisi bhi tareekey se mehek ko haasil karne ki chaah rakhta tha.Lekin na hasil kar pana uske liye apni zindagi se jaddo jahad ka sabab ban gya tha.
Usne medical counselling lena shuru kar di thi.Usse thoda faeda mehsus hua tha.Lekin raat ki bechaini nhi gayi thi.
Wo khuda se abhi bhi duayien karta ki mehek uske pas aa jaye.Lekin usne mehek ka picha chod dia tha.Baat ka pakka tha.Usne us din k bad se Mehek ko call bhi nahi kia tha.
आप पढ़ रहे हैं
Tum Miley(completed)
RomanceHello! My story "Tum Miley" is the story of Haziq & Mehek who hated each other at first sight. But circumstances bring both of them closer and they fall in love with each other. I am very spritual person,loves nature and exploring bful world.Story s...