Story :Tum miley
Chapter 39
"Mukammal khwab"
#tummiley
#mehekhaziq
#lovehateromance
#fawadkhan❤❤❤❤❤❤❤❤
Ye shakhs mere khwabon ki tabeer bana mere samne betha hai.
Alfaz mera sath dena chod chuke hain.Is lamhe ko mene khwabo me kitni baar jiya tha.Is lamhe ki khaatir hi meri rooh me jeene ki tamanna abtak baqi rahi thi.Agar khwabo ki taabiro per shaq hota to kab ki me haar maan chuki hoti.Haziq or mera rishta shuruaat se hi kuch ajeeb kashmokash k bich raha hai.Mukammal ho hi nhi paya.Wajah hum dono khud the is bechaini ki.Hum dono ki nafrat or mohabbat dono hi sath parvaan chadin or is wajah se hum dono hi is chiz ko samajh nhi paye.Jab samjhe to bahut der ho chuki thi.Mene us mohabbat ki shiddat door jaane k baad hi mehsus ki.Uski to khabar nhi thi ,per apne dil ki bahut khabar thi mujhe.Itni musibat padne per bhi kahin na kahin dil me poora yaqeen tha ki wo mujhe lene ayega zaroor.Uski chamakdaar aankhen jo her waqt kuch kehti hui si mehsoos hotin hain,Us din bhi wo aankhen mujhse hazaaro vaade kar rahin thin jab me unko chodkar door jaa rahi thi.Un aankhon ko me kabhi bhula hi nhi paayi.Tumne apni mohabbat ka jaal kuch aisa bichaya mere ooper ki usme se nikalna mere liye namumkin tha Haziq.Samandar ki lehro me gote khati rahi kinare lag jane k khwahish me;Lekin kinara mayassar nhi hua.Phir ek din mujhe khud tufan kinare tak khinch laya or tum sahil bankar mere samne khade the.Me us waqt tak poori tarah bikhar chuki thi.Tumne mujhe sanvaara ,himmat di mujhe.Me sherni ki si himmat karke toofan k aankho me aankhen dalke tumhe cheen kar le aayi meri jaan."Mehek Haziq dono khamoshi se bethe huye the room me.Bas ek dusre ko dekhe ja rahw the.
H:"So miss Mehek ab Mrs Mehek Afandi bankar kaisa lag raha hai?"Haziq ne Mehek ki taraf dekha.
M:"Zahir hai acha lag raha hai."
H:"Itna rookhe phike jawab ki to ummid nhi thi mujhe"
M:"Isme rookha or phikha kaha se aa gaya.Saare khwab poorey ho gaye or kya chahiye zindagi me"
H:"Mujhe to lag raha tha meri shaan me kuch qaseedey padhe jayenge.Ya kuch mohabbat me aakar gale hi mil logi.Lekin yaha to mamla hi palat hai."
M:"Aisa nhi hai Haziq.Me waqai bahut khush hu.Mujhe zyada show karna nhi aata."
H:"Ya ye to nhi ki saare shouq tumne Yammar per hi khatam kar liye?"
Mehek usko hairani se dekhti reh gayi.Wo uthkar uske qareeb aa gayi.
M:"Zara dubara boliye jo abhi bola"
H:"Sun lia na tumne phir kyu dohraun"
M:"How dare you"
H:"Isme dare ki kya baat hai.Jo mujhe laga keh dia.Ab tumse bhi sambhal sambhal k baat karni padegi kya?"
M:"Haziq tumhari khatir poori dunia se ladkar aa rahi hun or tum mujhper aise tanz karoge?"
H:"Meri bhi kuch expectations hain.Tum agar aise chup chap bethi sochti rahogi or me bevkoofon ki tarah tumhare khyalon se bahar nikalne ka wait karta rahunga.To me aisa nhi hun."
M:"Iam sorry kuch nhi soch rahi thi me.Itna sab kuch life me itna jaldi jaldi ho raha hai ki yaqeen nhi aa raha hai.Abhi bhi lag rha hai khwab me hu."
H:"To please bahar aao khwabo se.Yaha ek banda saat samadar paar karke tumhare intezar me pighla ja raha hai or tum Apni hi dhun me mashghool ho."
Mehek Haziq k samne wali chair per aa kar beth gayi.
H:"Thoda or door betho
Kahi me tumper attack hi na kar du."M:"Hahaha "Mehek ne Haziq ko dekha to usey hasi aa gayi.
आप पढ़ रहे हैं
Tum Miley(completed)
RomanceHello! My story "Tum Miley" is the story of Haziq & Mehek who hated each other at first sight. But circumstances bring both of them closer and they fall in love with each other. I am very spritual person,loves nature and exploring bful world.Story s...