Tum miley
Chapter 20
"Yammar"
❤❤❤❤
"Yammar ul hasheemi "Ye wo nam tha jise dubai k ala khandano me gina jata tha.
Wo khubsurat shaqs jiske shouq baki emiratiyon se kafi juda the.Uska talluq kafi nam cheen gharano se tha.Ooncha qad ka ye nojawan jiske charo taraf her waqt doston ka hujoom sath hota tha.Wo jaanbaz or bahudur hone k sath sath 6 zabaane bolne me mahir tha.Uske peshe me iski khasa zururat thi kyunki uska jwellery ka buizniss tha.Dunia bhar k jwellery export import karta tha.padhai uski europe me hi hui thi usse kafi kuch uske andar tabdeeli aa chuki thi.
Zyadatar wo emirati kapdo me hi nazar aata tha.Safed saaf shaffaf thob(arabian costume)pehne huye'sir per pink n white safa bandhe huye uski ek alag hi shakhsiyat thi.Lekin jab bhi muhim jui(adventure )karta nazar ata usko dekhkar koi nhi keh sakta tha ki wo emirati hai.Wo ek normal european ki tarah hi nazar ata.Uski maa earopian thi isliye uske chal dhal me wo nazar ata tha.
Dunia ka aisa konsa shouq nhi tha jo usne poora nhi kia tha.Kahi outing par jata to agle din hi magzin me uski tasveerien aa jatin.Ghodo ka poora astabal uske shoq ka gawah tha.Her nasl ka ghoda waha mojood tha.Log uske ghar ka photoshoot karne aate the.Ghar nhi tha qila tha.Zyadatar emirati aise hi qile jaisi oonchi oonchi deewaron wale ghar banate hain.
Yammar dil ka bahut hi acha banda tha.Donation me wo ek hospital chalata tha.Unki joint family thi.Sab chachazad or tayazad sath me hi rehte the.Yammar ghar me sabse mukhtalif insan tha.Baqi ghar k log media se door hi rehte the. Yammar time ka paband hone k sath sath gusse ka bhi tez tha.Her kam usko waqt pe chahiye hota tha.Ye bat se ghar k sabhi log wakif the lihaza uska khas khyal rakha jata tha.
Yammar dubai ki high class parties me aksar nazar aaya karta tha.Log usse khasa impress hua karte the jab wo hindi or urdu zaban itni saf bolta tha.Hindi or Urdu zaban uske mulazim(servents) bola karte the jinse usne sikhi thi.Wo bahut hi munafa or nuksan ka hisab kitab rakhne walo me se tha.Jab bhi nikalta logo ki nazre us per tik si jatin thi.Isiliye uska nam yammar tha♡
Mehek k abbu ka is family me kafi ana jana tha.Unki campany india se gold supply karti thi Yammar ki campany k liye.Yammar or Mehek k abbu k talluqat kafi ache the.
Mehek k abbu ko yaha tijarat karte huye 25 saal se ooper ho gaye the.India bahut kam hi aya karte the.Dariyah se shadi unhone Mehek ki mom ki wafat(inteqal) se pehle hi kar li thi.Wo Mehek ki maa se bewafai kar rhe the.Mehek ki maa kafi achi shakhsiyat thin.Unko jab ye khabar hui ki Tahir ki pehle hi waha family hai to wo is bat ko qubool nhi kar payin.Unko sadme k vajah se dore padne lage.Mehek us waqt choti thi.Us waqt ye sab dadi ne sambhala.Mehek ko sirf apni maa k ye hi lafz kano me gunjte rehte the"Mere sath acha nhi kia tahir tumne"
"Kya waqai koi kisi ko is qadar andhere me rakh sakta hai?Kya dhokha dena itna asan kam hai?Papa ka zameer unko kachoke nhi deta kya jo unhone meri maa k sath ye zulm kiye?"Mehek ye bat bhula nhi pati thi.Usne apni maa ki her chiz salamat rakhi hui thi.Maa cheez hi aisi banayi hai khuda ne jiski mohabbat ka koi badal nhi hai.Mehek ne yatimo jaisi zindagi basar ki thi.Ammi k inteqal k bad papa usko dubai le gaye the.Lekin waha 10th tak usne padhayi ki phir dadi ki zid pe usko India bhej dia gya.Dadi ne usko bahut mohabbat di.Dubai wala waqt yad karke aj bhi usko khauff aane lagta tha.Bhai beheno ne uske sath kya nhi kia.Dono usko bahut pareshan karte the.Wo rat bhar ro ro kar apni ammi ko yad karti rehti.Papa se shikayat karti to wo uski shikayato ko ignore kar dete.
Is tarah teenage uska bahut hi khaufnak guzra.Wo kafi buri sohbato me pad gyi thi.Uski ek friend ne usko drink or smoke kara dia tha tab se hi usko aadat lag gyi thi.Yaha dehradoon aakar usne apne apko kafi badla.Dadi ne kafi tavajjoh di usper jiski usko sakht zaroorat thi.Lekin usko ird gird mayoosi hamesha ghere rakhti jab bhi kisi ki maa ko dekhti uske dil me toofan sa aa jata tha.Kash kash kash....Kabhi kabhi zindagi me kash ka hona bahut dukh deta hai.
Papa kabhi mujhe agar pyar bhari nazron se hi dekh lete to me unko maaf kar deti.Lekin unhone khud ko paisa banane ki machine me tabdeel kar liya tha.Dariyah mom kafi dominating thin.Papa unke aage ajeeb se ho jate the jaise kuch sach jhut nazar hi nhi aya ho.Ye bat mere dil ko katne lagti thi.Rat rat bhar me sochti rehti thi ki ghar se bhag jaun ya ooper se kood jaaun.Kabhi himmat nhi kar payi. Mene classes lena shuru kar di dipression se door rehne ki,thoda fark pada.Lekin mera zeheni tawazun per kafi asar pada tha ghar k ladai jhagde dekhkar.Me jab bhi roti papa ko khat me wo sari baatien likhti jo me unko kehna chahti thi.Unko batana chahti thi ki kis qadar meri zehni halat din ba din bigad rhi hai.
Lekin mujhe moqa hi nhi mila.Khat pe khat ikaththa hotey gae.Mene dadi se zid karke india aane ka faisla kia.Yaha sukoon tha.Aisa laga mano jail se chootkar aa rhi hu.Aise logo se ghire rehna jo apko sakht napasand karte ho, kitna mushkil hota hai.Lekin ab mene soch lia tha kabhi wapas dubai nhi jaungi"Dadi jan mujhe bahut pyar kartin thin.Jab bhi me roti wo mujhe seeney se laga leti.Duaayien deti bahut saari, meri qismat achi hone ki.Apne apse her waqt chipkaye rakhti.Mujhe us waqt ye shafqat itni qeemti mehsus hoti ki uska bayan lafzo me nhi kia ja sakta.
Dadi or me apni dunia me khush rehne lage.Mene college me admission le lia.Waha meri Aleena se dosti hui.Zindagi phir ek mod le chuki thi.Aleena se batien karke mujhe dunia k haseen hone ka ehsas hua.Wo mujhe apni behno jaisa chahti thi.
Us bache k liye doston ki kya qeemat hoti hai jinke chahne walo me ma bap shamil nhi hotey,ye us bache ko hi pata hoti hai.Aleena ne mujhe her tarah se zehni or dili dono taraf se sukoon dia.Ye ladki mujhe zindagi me sabse zyada
Mehboob thi.Phir meri zindagi me Haziq aaya.Jisko dekhte hi me ladne lagi😃mohabbat ka ehsas us din hua jab usne kaha tumhari sab uljhane ab meri hain.Ya Allah kisi ne bhi mujhse ajtak ye nhi kaha tha.Wo mera raazdar ban chuka tha or mujhe khabar bhi nhi hui.Usne wo sare khat padh liye the jo bhi mene dubai me papa k liye likhe the.Usne mujhe kabhi judge nhi kia.Itni layaq shaksiyat ko me samajh nhi payi.
Ye log jo Allah ne meri zindagi me shamil kiye hain inke liye me Allah ka kafi shukr ada karti hu.Ab meri zindagi un azeeyato se kafi door nikal aayi thi.Piche mudkar nhi dekhna chahti thi me.Sirf aage chalna chahti thi Haziq k sath.Allah meri mushkilen aage bhi asan kare"
आप पढ़ रहे हैं
Tum Miley(completed)
RomanceHello! My story "Tum Miley" is the story of Haziq & Mehek who hated each other at first sight. But circumstances bring both of them closer and they fall in love with each other. I am very spritual person,loves nature and exploring bful world.Story s...