"QURBAT"11

870 25 0
                                    

Tum miley

Chapter 11

"Qurbat"

#tummiley
#mehekhaziq
#lovehateromance
#fawadkhan

❤❤❤❤❤❤❤❤

Subah bakhair hui.Halaat kaafi bezar the.Raat k kapde bhi nhi utre the.Us shaqs ki khusbu abhi tak aas pas mojood thi.

"Kya ye shaqs her waqt mere ird gird hi hota hai?"Dheere se wo nind se jaagi.Hosh aane per usko Haziq ki khushbu apne ird gird mehsoos hui.Wo ek jhatke se uth bethi.aanken khol k dekha ye khushbu Haziq ki jacket me se aa rhi thi jo wo pehne huye hi so gyi thi.Uski aankho k saamne raat ka wakeya poora khinch gya.Wo sharmsaar ho gayi or usne razayi kheench kar munh chupa liya.

"YA ALLLAH!kya blunder kiya hai mene kal.Kya soch raha hoga wo mere baare me.Ye Alina mujhe hamesha aise hi phaswati hai.Haye Allah"Wo bahut der tak sochti rahi.

"Kya aise karne se sach me tum uski nazro se bach jaogi? Kya sach me uske sawaalo ko nazarandaz karke aage badh jaogi?Wo shaqs bina jawab k bakhshega nhi,Jahan tak tumne usey pehchana hai wo to sawalon ki bochaar kar dega.Uff khudaya.Ab to uske pas black mailing k liye zariya bhi hai."Wo afsos kare ja rahi thi.

"Khuda khair kare meri jan hi na lele sawaal jawabo se"Mehek k sir me jamkar dard tha.

Aankh khulte hi zahan me pareshaniyon ka doar taari ho gya."Ya Allah sochte sochte dimagh ki nase hi na phat jayen"Usne sir pakad kar dono taraf se dabaya.

"Wo kya sochta hoga mere baare me..kis qism ki ladki hu me."Is bare me mera zehen sochne k liye bhi taiyyar nhi tha.

"Thik hai jo kia mene apni marzi se kia or me koi dhudh piti bachi nhi hu ki kisi se bhi dar jaungi.Aanko me aankhen dalkar saamna karungi.
Zyada se zyada kya karega dadi ko batayega,to bata de.Dekha jaega jo hoga"Kuch dil ne himmat bandhaayi.Wo bister se uthi or khud ko aainey k samne le jaakar khada kar dia.Usne aankhien maltey huye khud ka huliya dekha.

"Nahi Mehek tum itni vaahiyaat nhi dikh sakti😥.Uff uff uff Alina ill kill you!"usne gusse me Alina ko kosa.Haziq ki jacket ko utarkar fold karne lagi.

"Aj to khudko do thappad lagaane ka dil kar raha hai.Itna zaleel wo bhi us k samne.Bardasht nhi ho raha mujhse"Usne jacket uthakar bed pe phenki.Phir kuch sochkar usne jacket uthayi or apne chehre k qareeb lakar usko soongha.

"Kya herkaten kar rhi hun me cheap ladkiyon wali"Usne apni is harkat per khud se hi sawal kia or sharminda hoker jacket ko bag me rakh dia phir nahane chali gyi.

Fresh hokar nikli to jogging suit pehenkar acha mehsus hua.Wo walk k liye nikal gayi.

Bahar kaafi kohra tha.Thand bhi kafi badh gyi thi.Ghaans per oas ki boonde suraj ki halki kirne padne se chamak rhin thi.Kafi khushgavar mosam ho gya tha.Wo chalti hui bahar sadak ki taraf aa gyi.Kuch bache school uniform me khade huye bus ka wait kar rhe the.Waha se aage badhi to thoda sunsan ilaqa tha.Wo tez tez qadmo se jogging karne lagi.Kaafi dodne k baad wo thak kar thodi der k liye ek bench pe beth gyi.Wo apni saanse bahaal karne lagi.Yaha kafi sukoon mehsus hua.Usne zehni sukoon k liye apni aankhen band karke bench se ser tika lia.

Yaha gulmohar k surkh narangi phool zamin per bikhre pade the.Kuch patjhad k patte yaha wahan hawa k sath ud rahe the.Her taraf se chidiyon k chehchahaane ki awazien aa rahi thi.Ankhen band karte hi uske zehen me sirf ek chehra aakar theher sa gya.Wo Haziq tha.Uske zehen me wo tasvveer dod gayi jab Haziq ne usey apni baahon mein uthakar uske kamre me choda tha.Uski wo nigahon ki tapish wo chah kar bhi nhi bhula pa rahi thi.Wo dushmane jaan itne qareeb aa sakta hai kabhi soch bhi nahi sakti thi.

"Khyalon me to mera picha chod de ye admi"Usne ghabrahat se aankhe kholin.

Wo hairat se uth khadi hui jab dekha aankhen kholne k bad bhi wo chehra samne tha.

Tum Miley(completed)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें