Toh Arsal ne Kaha Ki bhabhi samajhne ki Koshish kijiye.....
Apne liye na sahi Arhaan ke liye kar dijiye binn baap ke woh bada hua hai......
Sahi galat kya hai ye sikhana maa baap ka farz hai maana ki aap uski parvarish acche se kar rahi ho.....
Lekin andar hi andar usko Armaan ki yaad aati hai har raat maine usko rote hue dekha hai.....
Armaan ki tasveer ko apne seene se lagake woh rota hai infact usne yeh bhi kaha tha ki......
School mein sab usko ajeeb nazar se dekhte hain uske baare mein baat karte hain.....
Uska mazaak udate hain ki woh binn baap ka beta hai kahin aisa na ho ki.....
Armaan ki yaadon ki wajah se sab usko najayaz kahen ye hum jaante hain ki yeh baccha jayaz hai.....
Woh aap hi ka khoon hai Isliye apne liye na sahi Arhaan ke liye aap nikah kar lijiye please bhabhi.....
Toh fariha ne Kaha Ki nahi kar sakti mai please mujhe akela chodh do kuchh der ke liye please jao yahan se......
Phir Arsal aur Alisha wahan se chale gaye.....
Toh fariha ne Kaha Ki mai dusra Nikah nahi karungi kyunki maine sirf ek insaan se Mohabbat ki hai......
Ek hi insaan se Nikah kiya hai aur mai sirf Armaan ki hoon.....
Kisi aur ki nahi mujhe meri koi parwah nahi hai Kyunki mai ek bewa hoon Lekin ek acchi maa bhi hoon......
Mujhe koi gham nahi hai Armaan ki bewa kehlane mein ye duniya kya sochti hai mujhe iski koi parwah nahi hai......
YOU ARE READING
MOHABBAT KI TALASH....
RomanceIss kahani ki shuruaat hoti hai ek middle-class ladki se jiska naam Fariha tha.... Uski shaadi ek bade se ghar mein hui lekin shaadi ke kuchh din baad uske Shauhar ki maut ho gayi.... Aur woh apni nand aur apne 7 saal ke bete ke saath rehti thi.... ...