Toh Fariha ne kaha ki aap aisa kaise soch sakti hain....
Maine iss rishtey ko haan isliye kaha tha kyunki mere bete ko ek baap ka pyar mil sake....
Mai nahi chahti ki usko kabhi bhi Armaan ki yaad aaye....
Isliye maine Dr Nasheel ka proposal accept kar liya taaki usko mai ek accha bachpan se sakun....
Toh niha ne kaha ki theek hai tum kuch khaogi mai banake leke aaun....
Yeh sunke fariha ne kaha ki nahi auntie mai khud bana loongi waise bhi mujhe bhook nahi hai....
Arhaan kahan hai woh aap ke saath hi tha na....
Toh niha ne kaha Ki haan woh mere saath hi tha ab Nasheel ke paas hai....
Nasheel uska room ready karwa raha hai isliye....
Ye sunke fariha ne Kaha Ki kya Arhaan ke liye ek alag sa room par Kyun....
Hum dono yahan reh lenge auntie iski zarurat nahi hai.....
Toh niha ne kaha ki beta shaadi ke baad toh tumhe Nasheel ke saath hi rehna hai na....
Ek hi room mein hmmm kyunki shaadi ke baad husband aur wife ek saath ek hi room mein rehte hain.....
Isliye Arhaan ke liye dusra room ready kar rahe hain tum fikar na karo tumhare room ke theek saamne Arhaan ka room hoga....
Jab tak mai hoon mai wada karti hoon Arhaan ko kisi cheez ki kami nahi honi chahiye....
Isliye kal mai khud uske liye kuchh toys etc order kar rahi hoon jo shaam tak aajayega....
Aakhir woh mera bhi kuchh lagta hai na....
Ye sunke fariha ke aankh mein aansu aa gaye Phir niha ne pucha ki kya hua beta tum ro Kyun rahi ho.....
Toh Fariha ne Kaha Ki auntie aap ne aur Dr Nasheel ne jo mere liye aur mere bete ke liye kiya hai na....
Uske liye zindagi bhar mai aap dono ki Ehsan mand rahungi aap dono ne mujhe uss waqt sahara diya jab mujhe ek family ki zarurat thi.....
Toh niha ne kaha ki isme shukriyaa karne ki kya baat hai hamare saath wahi hota hai jo pehle se likha ho.....
Tumhare Shauhar ka saath shayad itna hi tha kyunki tumhari kismat mein Nasheel pehle se hi likha ja chuka tha.....
Mai ye nahi keh rahi hoon ki mere bete ne tumhe aur tumhare bacche ko sahara diya uska ehsan hai tum dono par.....
Mere kehne ka matlab ye hai ki kayi waqt se mai Nasheel ke liye acchi ladki dhundh rahi thi....
Koi bhi usko pasand nahi aayi lekin pata nahi usne tum me aisa kya dekha jo ek hi baar mein shaadi ke liye maan gaya....
Mera beta khadoos hai lekin dil ka bura nahi hai tumhe aur Arhaan ko apne palkon pe bitha ke rakhega tum dekh na.....
Aisa hi hoga Kyunki ye ek wada hai ek maa ka dusri maa se.....
YOU ARE READING
MOHABBAT KI TALASH....
RomanceIss kahani ki shuruaat hoti hai ek middle-class ladki se jiska naam Fariha tha.... Uski shaadi ek bade se ghar mein hui lekin shaadi ke kuchh din baad uske Shauhar ki maut ho gayi.... Aur woh apni nand aur apne 7 saal ke bete ke saath rehti thi.... ...