Phir agle din Fariha apne bete ko lekar hospital gayi.....
Toh Nasheel ne milkar kaha ki don't worry kuchh nahi hoga.....
Aap ko bas himmat rakhna hai Mrs khan just relax mai hoon na.....
Toh fariha ne Pucha ki woh theek toh ho jayega na....
Aap yahan ke best doctor hain mujhe aap par pura bharosa hai.....
Toh Nasheel ne Kaha Ki kuchh nahi hoga just think positive.....
Treatment hi toh hai na uske baad bacche ka operation hoga.....
Yeh sunke fariha ne Kaha Ki Kya operation bhi karna hoga......
Par kyun nanhi si jaan hai woh agar khuda na khasta usko kuchh ho gaya toh mai kya karungi......
Uske paas waqt bahut kam hai please mere bete ko bacha lijiye doctor......
Toh Nasheel ne Kaha Ki just relax itni jaldi himmat nahi haarte Mrs khan bharosa rakhiye......
Apne bete ki sehat ke liye dua kijiye kuchh nahi hoga.....
Aap iss zamane ki hote hue aise baat kaise kar sakti hain.....
Science bahut Aage badh chuki hai pehle inn sab ke ilaaj nahi the.....
Kyunki uss time facilities nahi thi lekin ab hai aap tension mat lijiye sab theek ho jayega.......
Aap please unko sambhaliye everything will be alright......
YOU ARE READING
MOHABBAT KI TALASH....
RomanceIss kahani ki shuruaat hoti hai ek middle-class ladki se jiska naam Fariha tha.... Uski shaadi ek bade se ghar mein hui lekin shaadi ke kuchh din baad uske Shauhar ki maut ho gayi.... Aur woh apni nand aur apne 7 saal ke bete ke saath rehti thi.... ...