Toh Fariha ne kaha ki mai bhi ek middle class family se hi hoon....
Maine bhi Apne maa aur baap dono ko khoya hai....
Unn dono ki mai ek lauti beti thi unki bimari ke karn unki maut ho gayi.....
Berang si thi meri zindgi Phir Armaan meri Zindagi mein aaya....
Uske aane ke baad hum dono ke beech bahut ladaiyan hui....
Phir dheere dheere hum dost banne aur hamein ek dusre se mohabbat hua....
Aur aaj kismat ki Wajah se hum dono ek hone ja rahe hain.....
Toh neeti ne kaha ki Mujhe bahut khushi hui ye jaanke ki aap iss Shaadi se khush ho.....
Aur ye Shaadi aap ki marzi se ho rahi hai lekin jiske saath meri Shaadi fix hui hai....
Woh insan mujhe bilkul bhi pasand nahi hai mom ne bina kuchh pata kiye meri Shaadi fixed kar diya....
I mean ki jiske saath meri Shaadi hone ja rahi hai na woh pehle se hi shadi shuda hai....
Uski ek 6 saal ki beti hai dono bahut khush hain lekin ladke ki biwi ki maut ho gayi jab uski bacchi 1 saal ki thi....
Aur uss bacchi ki parwarish ke liye woh log mera Nikah unke bete se kar saken....
Taaki mai ek maa hone ka farz nibha sakun aur unki ek aur condition hai ki Shaadi ke baad mera bacha nahi hona chahiye.....
Zindagi bhar mai kya uss bacchi ko dekhun Kyun aisi life jeene se accha hai ki mai mar jaun......
Toh Fariha ne kaha ki just relax ok kisne kaha ki woh bacchi tumhare liye bojh hai haan....
Nahi ye sab logon ki soch hai jo hum jaise ladkiyon ko majbur karti hain sauteli bann ne ke liye....
Bacche bahut acche hote hain meri baat maano I know ki mujhe tumhari personal life mein jhank na nahi chahiye lekin ye kehna mera farz hai.....
Uss bacchi se itna mohabbat karo ki usse apni maa ki kami mehsus na hone paaye....
Ye sab hamari imtehan ki ghadi hai apni life ko khul ke jeena seekho aur haan khud ke liye nahi balki dusron ke liye jeena seekho.....
Pata hai meri mom kehti thi ke har ek se mohabbat karna chahiye I mean badon se izzat aur choton se mohabbat.....
Dua milti hai aur haan jitna ho sake utna uss bacchi se mohabbat karna taaki usko ye kabhi mehsus na ho ki tum uski sauteli maa ho theek hai.....
Toh neeti ne kaha ki thank you mam aaj aap ki Wajah se meri itni badi problem solve ho gayi.....
YOU ARE READING
MOHABBAT KI TALASH....
عاطفيةIss kahani ki shuruaat hoti hai ek middle-class ladki se jiska naam Fariha tha.... Uski shaadi ek bade se ghar mein hui lekin shaadi ke kuchh din baad uske Shauhar ki maut ho gayi.... Aur woh apni nand aur apne 7 saal ke bete ke saath rehti thi.... ...