12. Strong Denial, Stronger Love

1.9K 81 33
                                    

*Anupamaa- Anuj shared a moment together and when they woke up their casual banter came to an end with Muku's entry. She teased them and when they finally got to get ready for the day, they were taken aback by the surprise visit of Baa, Vanraj, Baapuji, Kinjal and Samar. Their moment got ruined when Baa saw those glistening lip marks on Anuj's jawline and neck and soon they were caught in an unprecedented situation of Accusations and Confrontations!! But Anupamaa is adamant that she won't leave Anuj and leaves it upto Baa if she wanna accept them or break all ties with her! What would she do?? 🤔🤔 Humko bhi ni pata vro... Jaanne ke liye aagey padhe😌😌*

ANUPAMAA:- Boliye Baa aapne kya socha hai...!!

VANRAJ:- Maine....

ANUPAMAA:- Aap kya sochte hain usse mujhe koi pharak nahi padta isiliye apni ghatiya soch apne pass hi rakhiye aap! Aur Baa... aap jo bhi phaisla le bahut soch samjh ke lijiyega... Kyunki shayad baad me ye phaisla aap chaah kar bhi badal na paaye...!!

Baa was confused Dil ye rishta maanne ki gawaahi nahi de ra tha aur dimaag Anupamaa se rishta todne ki
She didn't know what to say... Unwilling to say anything she kept mum...

ANUPAMAA:- Baa... Mein jaanti hoon ki aapke mann me kya chal raha hai... Par mein bhi to insaan hoon na... Aap mujhe beti maanti hain ne... To aap hi bataaiye... Kanhaji na kare par kabhi agar meri jagah Doly ben ko aese haalaat se gujarna padta to kya aap unko apne jeevan me aagey badhne NAA deti...? Kya aap unko ek nayi jindgi ki shuruaat karne se rok deti...? Jo shabd aapne aaj mujhse kahe hain mere parivar ke saamne... Mere bachon ke saamne... Anuj... kaaka... Muku ke saamne kya aap Doly Ben ko bhi aise hi kah deti itni asaani se bina ek baar soche? Mishter Shah ne itna kuch kiya par aapne Kavya ko apni bahu ke roop me apna hi liya... Unko Mishter Shah ki patni ke roop me sweekaar kar liya... Unka shaadi ke saath aphair karna kya aapke hisaab se utna galat ni tha jitna mera Anuj se pyaar karna hai?? Mein to bas unse sacha pyaar karti hun... Mere mann me kisi ko dhokha dene ki ichha nahi hai... Kisi ko takleef pahunchaane ki ichha ni hai... Mein to bas Anooj ka saath chaahti hoon... Vo bhi jeevan bhar ka... Aur aapke aur Baapuji ke aashirwaad ke saath... Par agar aap nhi dengi to mere pass aapke ashirwaad ke bina aagey badhne ke alawa koi aur raasta ni hoga... Boliye na baa agar meri jagah Dolly ben hoti to kya aap unke saath bhi iss tarah se vyahaar karti aise taane maarti sabke saamne beizzat karti?

BAA:- Nahii...

ANUPAMAA:- To mere saath kyun baa... Aap to beti maanti he ne mujhe to phir??

BAA:- Lekin tune apni hadein paar ki hain... Tu aur ye aadmi dono...

ANUPAMAA:- Ye aadmi ni Baa... Anuj... Anuj naam hei unka...

Anuj was proud to have fallen in love with a woman like her!!!

BAA:- Haan voiii... Tum dono ne apni hadein paar ki hain... !!! Kal raat ko akele hone ka fayda uthaya haiii... Arey saadi ke bina aese ye sab karna sobha deta hai... Teen bachon ki maa hai... Ek beti hai teri jo ab badi ho chuki hai vo ye sab dekhegi to usspar kya asar padega socha hai tune!!!??? Tu ab sirf aur sirf Anuj ki girlfriend ban ke reh gayi hai... Baaki pariwar se tujhe koi matlb hi nhi h...

Anupamaa knew she crossed some limits in that moment but being swayed away in a moment doesn't amount to loose character... Does it? After all she loved him and that moment became so irresistible that they couldn't resistttt. Her eyes filled with tears just thinking if she is now merely Anuj's girlfriend and is not nibhaaoing her duty as a mother? She felt bad for not just doing something which she would have advised her kids not to do but also for being accused of not being a mother anymore...!!

Anupamaa held Baa's hands and looking convincingly in her eyes she presented.

ANUPAMAA:- Baa aesa nai hai... Mein abhi bhi apne bachhon se apne pariwar se utna hi pyaar karti hoon aur baa aap jaanti hain mein aapse jhooth ni bolungi... Mera viswas maaniye meine koi galat kaam nahi kiya hai jisse aap mujhe iss tarah sarminda kare vo bhi aese sabke saamne...

MaAn- The Night that followed !!Where stories live. Discover now