98. Drifting from the Past

2.1K 103 358
                                    

- Maaaa...

Anupamaa removed her sandals and stepped in. Kaanta Maa rushed out from the kitchen.

- Anu...... Tu...!!!

- Surprise dene aayi main....

They hugged.

- Aa aa ander aa...

Bhaavesh greeted her with a warm hug.

- Kaisa hai tu....

- Main ekdum badhiya aur... Sunne me aaya kuch jaada romance chal ra tera jijaji ke saath....

Anupamaa gritted her teeth looking at Kaanta Ma as to why she told him what sh saw.

- Vo... Ais... Aisa... Kuch kuch ni hai...

- Chal chal jhoothiii... Chal tu baith main ye tiffin deliever kar ke aata hoon...

- Haan haan jaa aur jaldi aana... Tujhse bhi to baatein karoon main... Driver hoga baahar uske saath chala jaa...

- Nahi behna...

- Bhaaves... Jaa ne... Jaldi se... Tempass mat kar... Phir jaldi aana...

- Theek hai theek hai... Jaata hoon...

He left.

- Aa tu baith na.

Anupamaa sat on the mat.
- Kaisi hai Maa...

- Ekdum acchi... Tu bata na... Kaisa chal ra sab...

- Vo... Ac... Accha... Chal ra...
She blushed.

- Haan vo to dekha tha maine...

- Haan to... Pooch kyun rahi hai...

She pursed her lips. Ma held her face and turned it towards her.

- Khush lag ri hai bahut...

- Haan vo... Dance academy hai na...

- Haan...

- Usme upar ek aur room banvaane ka socha hai... Vo nayi teacher hai Dimpi... aur Saara... Vo bhi join karegi as teacher...

- Ye to bahut accha ho jaayega...

- Hai na Maa...

- Haan... Vaise tu achaanak se yahan aise... Ghar jaane ke liye der nahi ho ri... Tu damaadji ko pooch ke aayi hai na...? Aur-

- Maa.... Maa maaa....

- Kya?

- Vo... Pooch ke nahi... Bata ke... Aayi hoon... Vo ab... Pehle jaisa nahi hai... Ki... Bina bataaye... Aa gayi... To... Ghar jaa kar daant padegi... Inphact... Anuj ne khud mujhe yahan bheja hai... Ki aapse mil loon...

She caressed Anupamaa's head.
- Accha laga sun kar...

Anu rested her head on the edge of the bed and stretched her legs straight.

- Dance academy se seedhe yahi aa ri hoon... Pair dard ho gaye aaj... Vo Dimpi... Usko bahut dekhna padta... Saara hai to sahi rehta hai thoda... Abhi do din pehle se jaa ri academy vo... Acchi bacchi hai...

- Haan seedhi lagti hai... Vaise tere baaki sasural waale ni dikhe main aayi thi to...

- Vo yahan nahi hain Maa abhi... Aayenge thode time me... Vahan America se business wrap kar ke...

- Ohh accha...

- Ji... Kaaki ki bahut yaad aa ri vaise to mujhe aur... Bhaabhi aur... Ankus bhaiya ki bhi...

Ma smiled.
- Meri bacchi!!
She patted Anupamaa's cheeks.
- Ab to bata yahan achaanak se kaise aana hua...

- Aise milne nahi aa sakti hoon kya?

MaAn- The Night that followed !!Where stories live. Discover now