Itna maza shayad hi pehle kabhi aya hoga mujhe. Din ki shuruat bhale hi kuch mukhtalif nahi thi magar daftar mein jab meri usse mulaqat hui toh meri toh hasi hi chuth gayi. Mann hi mann jung jeet jane wali khushi ho rahi thi mujhe. Kal usne socha bhi nahi hoga ki main uske samne uske boss ke roop me uske samne aa khada honga. Warna woh kabhi bhi mere saath waisa suluk na karti. Waise uska chehra dekhne layak. Mano safed pad gayi ho. Waise ladkiya mujhse kabhi khoff-zada to nahi hua karti magar iske saath to kuch aur hi masla hai. Dimagi masla shayad. Abhi bhi sochte huye bohot hasi aa rahi hai mujhe. Woh kuch lamhon ke liye darr to yakeenan gayi thi magar main daad deta hu uske himmat ki. Todhe hi dair main uska wahi andaz wapas ate huye dikh gaya mujhe. "So Ms.Kashaf Murtuza apke masle to aur badh gaye honge.""Meri hi kyu apke bhi badhenge."Napasand hai mujhe aise log jo kisi bhi halat mein apni haar ko nahi apna pate. Ye uski haar hai ye to pata nahi par mujhe faida toh zarur hua hai. Akhir wo meri employee. Badla toh main lunga. Kafi beizati ka ehsas hua tha mujhe us din to usulan use bhi hona chahiye. Khair zada nahi bas todha sa hi villain banunga uski zindagi mein main. Kal se hi shuruat karni hogi. Kal aram se saare cheezein bataunga. Ab so jata hoon. Good night.
YOU ARE READING
Diaries :Journey from hatred to love
FanfictionHello guys.This is a new story which revolves around Zaroon and Kashaf,the lead pair of the drama Zindagi Gulzar Hai. Its a journey of hatred to falling in love.I shall write this in form of a diary.Hope you will enjoy it. I will update only If a fe...