25 february Zaroon

332 17 3
                                    

Aaj Kashaf ke ghar ja kar kuch ajeeb sa ehsas hua. Kya ek family ka hona is kadar ki khushi de sakta hai? Maine nahi socha tha ki Kashaf ke ghar wale mujhe is kadar mohabbat denge. Akhir Main hoon toh ek gair hi na? Haan, Kashaf se shaadi zaroor huyi hai meri magar abhi waqt hi kitna hua hai ki woh mujhe itna pyaar kar sake?

Kaafi fazul lag rahi hongi meri baatein aaj magar aaj jo maine mehsus kiya usse main zindagi bhar dhundta raha magar kabhi haasil na ho paya.

Kashaf ke ghar gaya toh tha main bohot tensed hokar magar waha jaate hi unlogon ne meri aisi khatir daari ki mujhe yaakeen hi nahi horaha. Jaise maine ghar me kadam rakhe ek ajeeb si hulchul aur khushi ka alam tha. Bacche bhi is kadar mera besabhri se intezaar kar rahe the jaise pata nahi woh mujhse kitne kareeb ho. Kashaf ke liye ye sab shayad bohot normal hai isliye mere chehre ke badalt huye roop ko dekhte huye usne kaha

"Tumhe kya hogaya abhi to ache bhale the? Itne hairaan kyu lag rahe ho? Tabyat toh theek hai na tumhari? "

Maine larkharati huyi zabaan me kaha
"Haan main theek hoon. "

Usne ek halki si muskaan di mujhe aur kaha
"Toh phir ruk kyu gaye ander chalo abba ammi sab intezaar kar rahe hai. "

Maine bina kuch kahe usse follow kiya.
"Assalam walekum."
Maine waha baithe tamam rishtedaro ko kaha.

"Kaise ho beta?Ao mere pas baitho."
Kashaf ki ammi ne mere sar par hath rakht huye kaha.

"Main acha hoon aunty. Ap log sab kaise hai? "
"Aunty nahi beta ammi kehne ki adat dhalo ab tum.. akhir Kashaf ki ammi hoon toh tumhari bhi huyi na? "
"Aur main Abba. "
Muskurate huye dono ne kaha.

Unki yeh baat mere liye kitni maine rakhta hai yeh main kisi ko nahi samjha paunga. Ek aisi khushi huyi jo nahi ho payi aj tak. Kashaf ne mujhe apni tedhi nazron se dekha shayad wo kuch kuch samjh rahi thi.

In baaton ke beech waqt ka andaza hi nahi hua aur kha kar hum waha se nikle. Gaari me bhi main chup tha yeh dekhkar Kashaf ne akhir kaha

"Zaroon car roko."
"Haan? "
"Gaari roko. "
Usne kuch chillate huye kaha.

Maine jaldi se car ko roka aur uske taraf dekhta raha jab tak main usse kuch puchta woh car se nikal kar bahar ja khadi huyi.

Main uske kharab mood ko notice kar bahar nikla.
"Baat kya hai Kashaf? "
Maine usse dheemi awaz mein pucha.

"Ye sawal tum mujhse kar rahe ho? Kya yeh sawal mera nahi hona chahiye? "

Maine apni nazrein jhuka li. Mujhe samajh nahi araha tha ki main use kya explanation doon. Kya koi bhi meri is baat ko samajh payega?

"Zaroon main tumse baat kar rahi hoon. Tumhe hua kya hai din bhar to tum theek the na.. phir ammi abba ke ghar jaate hi kis chiz ka shikaar hogaye tum jo ye chuppi sadh li hai? Pure samay tum ghar me chup rahe. Pata hai ammi mujhse puch rahi thi ki humara koi jhagra to nahi hua? Maine unhe jhoot kaha ki kuch kaam ka tension hai. Magar Zaroon main unse kehti bhi kya mujhe toh tumhare is mood swings ke reason ke bare me koi khabar hi nahi hai. Waha sare rishtedar the Zaroon woh kya sochte honge. Humari pehli mulakat thi unse aur tum ne yeh sahi nahi kiya.Aur abhi bhi chup khare ho tum. Agar tumhe koi masla hai mujhse, Mere ghar walon se ya koi bhi aur masla hai toh tum mujhe batao. "

Kashaf ki soch ek galat direction me ja rahi thi. Isliye maine kuch samjhane ki koshish karne ka fasla kiya.

"Kashaf.. "
Maine uska haath thamte huye kaha.

"Pata nahi main tumse yeh baat kaise karoon. Pata nahi tum samjhogi bhi ya nahi. Kyu ki humari zindagi bohot mukhtalif rahi hai. "

Usne mujhe rokhte huye kaha
"Tum kahoge toh main kyu nahi samjhungi. Tum koshish toh karo. "

Maine uski odh dekha aur apne dil ki baat kahi.
"Kashaf ek family ki kami meri zindagi me hamesha rahi hai. Ammi thi jinhe maine ignore kiya. Lekin maine kabhi ek bhai bahen father in rishto ko dekha hi nahi. Aur tumhare ghar walon ne jo mujhe aaj, aur humesha pyaar dia hai i am overwhelmed. Aaj unke pyaar ne mujhe ek mukammal hone ka ehsas diya hai aur ek regret bhi.Regret is baat ka ki main apne logon ko ek saath nahi rakh paya. Jo mere kareeb the unhe maine kho dia unki value nahi samjhi. Asli khushi toh apno ke saath rehkar hi milti hai na? Wahi toh humare sab kuch hote hai. Kashaf tumhe paa kar maine bohot kuch paya hai. Aur tum meri zindagi ka ek ahem hissa ho. Main kabhi tumhe dukh nahi pohchana chahta. Jo galtiyan maine past me ki woh main dohrana nahi chahta. You complete me. I love you and i really do. Thanks for coming in my life. "

Usne mere ankhon ke ansuon ko apne dupatte se pocha aur pehle muskurayi aur phir kaha
"I love you too and will always do. Zaroon tum yeh kyun samjhte ho ki main in ehsason ko samjh nahi paungi. Aur tum ye bilkul bhi galat karte ho jab mujhse apne dil ke baatein nahi share karte. Humne shaadi ki hai. Ek saath rehne ka faisla kiya aur yeh lambi zindagi hum apne ehsaso ko chipate toh nahi guzar sakte. Tumhe mujhe itna trust karna hoga aur Zaroon tum apne maazi ko bhulne ki koshish karo aur main hoon na tumhare saath. Aur kam az kam in chizon ko akele face to mat karo. Masle batne se zada asaan hojati hai. Aur koi bhi masla ho toh yaad rakhna koi humesha hoga tumhare saath khada. "

Yeh kehte hi maine usse zor se apni bahon me lelia. Woh ek alag ladki hai bakiyon se alag. Aur main Allah ka kitna bhi shukriya ada karoon woh humesha kam hi rahega.

"Zaroon hume raaste ki beech aise khade nahi hona chahiye log kya sochenge? "
Usne mujhe chorte huye kaha.

"Yehi sochega ki kitna khoobsurat shauhar hai tumhara.. Aur humara joda. ."
"uff.. Tum bhi na Zaroon hadh karte ho.. chalo ghar ab sari raat yehi guzarni hai kya? "
"Tum pehlu mein ho toh kya farq parta hai.. jagah koi bhi ho. "
"Zaroon. "
"Acha acha chalo. "

Guys, i know its not one of the best updates but it was necessary for the story build up. I hope u all enjoyed it.

Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now