Zaroon 17 January

465 15 0
                                    

Kashaf kareeban ek hafte se office nahi ayi magar kal mujhe uska call aya tha. Main janta tha uski chutti ki wajah. Usne letter bhej waya tha aur us din toh main khud uske saath hi tha jab uske abba ko heart attack hua tha.
Kal Kashaf ke number se call dekh kar main bohot hairan hogaya,kyu ki shayad pehli baar humara phone ke zariye raabta hone ja raha tha.
"Hello sir."
Uski awaz kuch khauffzada thi. Main pareshan hogaya aur fauran use pucha

"Kya baat hai Kashaf?"
Usne mere is sawal pe tavajju na dete huye apni baat shuru kar di
"Sir mujhe apse kal milna hai."
Kuch asmanjas main pad kar,bina uski baat ka matlab samjhe maine kaha
"Haan toh tum office ajao."
"Nahi sir office mein nahi
kahi bahar agar hum baat kar pate toh bohot acha hota."
"Acha theek hai toh kaha milna hai tum mujhe bata do."
"Cafe Coffee day at 4"
"Theek hai."
Phir usne phone kat diya.
Raat bhar mujhe yeh soch soch ke nind nahi ayi ki akhir kya baat ho sakti hai ki Kashaf mujhse milna chahti hai. Sach kahun toh main pareshan tha use lekar,pata nahi kyu. Aur phir jab meri usse mulakat hui toh mujhe toh pehle samjh hi nahi aya ki main usse kya kahun.
"Sir mujhe apse ek favour chahiye."
Maine haskar jawab diya.
"Bhai yeh bohot khub kahi tumne. Kashaf Murtuza ko favour chahiye aur wo bhi mujhse."
"Sir please ap meri baat sune phir fasle karein ki aap meri madat kar sakte hai ya nahi."
"Pehle toh sir kehna band karo bohot official lag raha hai yaar."
"Dekhiye main yaha koi dosti badhane nahi ayi. Majburi na hoti toh main kabhi bhi nahi ati apse milne."
Bohot hi sakth awaz mein kaha usne isliye main chup hogaya todhi dair ke liye aur phir sehmi awaaz mein maine kaha
"Batao Kashaf kya baat hai?Main puri koshish karunga tumhari maddat karne ki."
"Baat yeh hai ki jab ap us din mujhe beach par mile the toh mere chacha jaan ne mujhe waha dekh liya aur phir meri phupo ne mujhe haspatal mein apki gaadi se nikalte huye dekh liya."
"Toh?"
Maine confusion mein usse pucha.
"Sarasal baat yeh hai ki mere chacha jaan ka ek beta hai ,Sahir,aur chachajaan aur abba chahte hai ki mera nikah Sahir se ho jaye. Magar us roz maine is nikah se mana kar diya tha aur ghar se nikal gayi thi. Abba ko isi ka dukh huya aur unhe heart attack hogaya. Abba ki tabiyat jab teen din bad sambhali aur woh ghar wapas aye toh phupo aur chacha jaan ne abba se pata nahi kya kaha. Abba ne mujhe kamre mein bulaya aur mujhe tumhare bare mein pucha."
"Main beech mein kaha se agaya?"
"Ap meri puri baat sun le."
"Kaho."
"Maine abba ko samjhaya ki tum bas mere boss ho mera tumse koi talluq nahi hai. Magar jab ap ek conservative family se belong karte hai toh koi bhi aag mein ghee dhalne se piche nahi hath ta. Abba ko maine samjhane ki koshish par woh nahi mane ya kaho ki mere rishtedaro ne abba ko kuch samjhne ka mauka hi nahi diya, unhone mujhe bas itna hi kaha
'Kashaf tumhe agar koi aur pasand hai toh theek hai main usse milna chahta hoon.'
Yeh kehte huye abba ka chehra kuch khila sa tha main unhe age kuch nahi keh payi. Abba ko critical halat main phir nahi dekh sakti aur na hi main Sahir se shaadi kar sakti hoon. Dekhiye bas kuch dino ki baat hai ap Abba se jhut keh de. Bas chand dino ki baat hai phir hum yeh rishte ke toot jane ka drama kar lenge."
Uski puri baat sunne ke bad main bas use takta raha. Hairan aur pareshan dono tha main. Mujhe samjh nahi aa raha tha main kaise react karun. Uski awaaz ne mujhe alert kiya
"Sir please kuch kahe."
"Dekho Kashaf tum apne abba se seedhe seedhe baat kyun nahi karti. Wo tumhe zarur samjhenge."
"Seedhe seedhe baat karne ka khamiyaza bhukat rahi ho main.Apka jawab agar haan hai toh kal mere ghar mein abba ne apko 5 baje bulaya hai.Agar ap nahi aye toh main apka jawab samajh jaungi."
Yeh keh kar wo khadi hogayi aur chali gayi. Waise iska behaviour toh abhi bhi aisa tha jaise wo mujhse favour nahi main usse favour mang raha ho. Badi ajeeb hai Kashaf.

Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now