Kashaf 02 January

486 21 0
                                    

Main aaj Zaroon se nahi khud se gussa hoon. Meri hi galti thi magar Main aisi galti kaise kar sakti thi. Usulan use mujhe naukri se hi nikal dena tha. Magar usne aisa nahi kiya.
Usne mujhe maaf nahi kiya. Woh bohot gusse mein tha. Meri shakal bhi nahi dekhna chahta hoga. Meri is harqat se uski naukri bhi daav par thi.
Mujhe usse phir maaf mangni hogi main kisi ke ehsaan tale nahi reh sakti. Mujhe apne apko itna kamzor nahi dikhana chahiye tha. Magar ansu khud ba khud nikalne lage. Kya soch raha hoga woh. Itni dino se ek kabil,strong aurat hone ka dhong kar rahi thi main. Nahi rona chahiye tha mujhe sabke samne. Main ab aur waha kaam nahi kar sakti. Maine apna isteefa likha liya hai aur yeh bhi soch liya hai ki apne galti ka pura ilzam main apne sar lungi. Mere wajah se kisi ki pareshaniyon mein izafa ho main yeh nahi chahti.

Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now