Kashaf 18 January

407 16 0
                                    

Pata nahi main Zaroon ke samne ye darkhast rakhte waqt kya soch rahi thi. Jab ki mujhe andaza tha ki Zaroon kaisa mard hai. Woh bhale hi acha banne ka natak karta ho magar woh yakeenan mauke ke talash mein hoga yeh main janti thi phir bhi pata nahi maine uspe rely karna kyun sahi samjha.
Main uska intezaar karti rahi abba bhi kar rahe the. Ghar mein toh pata nahi kis tarah ki tayyariyan chal rahi thi jaise koi raja ya maharaja aa raha ho. Mera dil keh raha tha ki woh ayega magar mera dimag yeh manne ko tayyar nahi tha.
Achanak jab ghanti baji toh main ekdum se uth khadi hui mujhe laga ki woh Zaroon hoga aur mera andaza galat nahi tha. Khidki se maine neeche jhaka to use dekhte hi maine thandi aah bhari.

Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now