Zaroon! Ajeeb ladka hai. Subah toh usne itna gussa chadha diya tha ki aaj uski khair nahi thi. Kya soch raha tha woh pata nahi. Pure explanation ke bad wo mujhse kehta hai ki use kuch samjah nahi aya. Aur aaj pata nahi use kya hogaya tha. Badi ajeeb tarah se mujhe dekhte hi ja raha tha aur phir jab maine kuch dair baad use samjha kar uske cabin se bahar nikal rahi thi toh pata nahi use kya sujhi ki usne mujhe rok liya
"Kashaf."
"Haan."
"Aaj lunch ka kya plan hai?"
Bada ajeeb laga mujhe yeh sawal isliye maine use confusion me pucha
"Kya plan?matlab?"
"Matlab ki agar tum masroof nahi ho toh hum aaj saath lunch kar lete hai. Mana mat karna."
"But sir."
"Please Kashaf."
Maine kabhi Zaroon ke saath nahi jaati but uske chehre ko dekh main mana nahi kar payi. Maine bas sar hilaya aur kareeban do baje woh mere cabin main aya aur hum lunch ke liye bahar nikle."Kaunsi cuisine pasand hai tumhe?"
Usne gadi mein haithe hi pucha.
"Chinese."
"Oh wow chinese toh mera bhi favourite hai."
Maine bas use ek muskurahat di aur bahar dekhne lagi. Soch rahi thi ki akhir kya baat hai jo main uske saath bahar jane ke liye tayyar hogayi?
To be continued.
YOU ARE READING
Diaries :Journey from hatred to love
FanficHello guys.This is a new story which revolves around Zaroon and Kashaf,the lead pair of the drama Zindagi Gulzar Hai. Its a journey of hatred to falling in love.I shall write this in form of a diary.Hope you will enjoy it. I will update only If a fe...