22 january Kashaf

433 17 0
                                    

Aaj jab Zaroon party mein Osama aur Asmara ke saath aya toh bechare ne bilkul nahi socha hoga ki uske saath kya hone wala hai. Woh zarur todha nervous shuru se lag raha tha par jab woh "durghatna" ghati toh uska chehra dekhne layak tha. Woh kuch chaka chond sa tha. Asmara aur Osama bohot ache the. Osama bada hi khush mijaaz admi hai Zaroon ke friend circle se mujhe ye tavakku nahi thi. Amma abba ne chand sawal puche dono se jo unhone bade ache se tackle kiye. Zaroon bhi ab todha relax horaha tha ki abba ne haath me mic le liya aur hum dono ki duniya hi palat di. Mujhe is baat ka zara bhi andaza hota toh main koi bhi bahana kar Zaroon ko na ane ko keh deti. Magar shayad Allah ko yehi manzur hai.
Abba ne mic par kaha
"Aaj ek bada din hai sirf isliye nahi ki aj humari wedding anniversary hai magar isliye bhi kyun ki aaj main apne baap hone ek bohot bada farz pura karne ja raha hoon. Kashaf ki engagement main aaj Zaroon se karane ja rha hoon. Zaroon I hope you will take care of her."
Main aise situation mein kuch nahi kar saki. Zaroon chok kar mujhe dekh raha tha aur main sar jhukaye waha khadi thi. Meri Zaroon se baat nahi hui hai pata nahi woh kal office mein mera kya hashar karega. Kitni zillat sehni hogi mujhe. Mujhe andaza nahi tha abba itna bada step mujhse bina puche le lenge. Shayad maine jhut bol kar bohot galat kiya. Mujhe sab sach keh dena chahiye tha kam az kam mujhe kisi ke naam ki anghuti toh nahi pehnni padti na chahte huye bhi.

Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now