Kashaf 31st May

190 10 0
                                    

Zaroon bhi ajeeb hai. Kal bina kuch sune phone kat dia usne aur aaj subah subah khud call kar raha tha mujhe. Jab phone baja to pehli nazar meri ghadi ki taraf gayi. Subah ke 5:30 baj rahe the. Time dekh kar kuch ghabrahat si huyi ki kahi kuch gadbad toh nahi hai.Zaroon ki call thi, naam dekhkar maine jaldi se phone utha lia.

"Zaroon tum theek toh ho?"

Maine ghabrahat me pucha.

"Haan bilkul."

 "Itni subah subah phone?Uth kaise gaye tum itni subah?"  

"yaha to kareeban 10:30 baj rahe hai aur nashte ke bad yeh meri dusri cup chai chal rahi hai.  Waise main tumhe kab se call karna chah raha tha par aur wait nahi kar paya."

Usne haste huye kaha.

"Main time difference ka toh bhul hi gayi."

"Kafi kuch bhul nahi rahi aaj kal tum?Kashaf Murtuza aur cheezon ka bhulna. Kuch to gadbad hai.Tumhari tabyat to theek hai na?"

Usne dheemi awaz me pucha.

"Haan tabyat toh theek hai par yaha ke halaat kuch theek nahi hai."

"Kya hua hai? Abba Ammi ki tabyat toh theek hai na?"

"Haan tabyat abhi toh theek hai sabki par kiski kharab hone wali hai iski gurantee main tumhe nahi de sakti."

"Tumhara ishara mere taraf toh nahi hai?Meri tabyat toh tumne aise hi nasaaz kar rakhi hai."

Usne haskar kaha.

"Jiska darr tha wahi hua hai."

Yeh keh kar maine usse kal ki sari baat bata di. Woh kuch hairan laga mujhe, par use finally ab mera skepticism meri family ke taraf samajh aya hai . 

"Yeh toh befazul ka masla khada kar diya hai, yeh Zaheer ke ghar walon ne. Zaheer toh suljha hua lagta hai woh apne ghar walon ko kyun nahi samjhata?"

usne mujhse confusion me pucha.

"Zaroon tum kya bacche ho? tumhe samajh nahi araha ki yeh sab unki planning hai saath milkar."

Maine sar hilate usse kaha.

"Very strange. Zaheer toh Sidra ko pasand karta hai."

"Sidra ko nahi abba ki daulat ko."

"Kafi complicated situation hai. Toh tumne aur Sidra ne kya socha hai?"

"Kuch socha nahi filhal. Abhi humare pas waqt hai kyun ki Abba tumhare wapis ane tak ka wait karenge. Maine hi unse kaha ki main tumhari absence mein yeh saari cheezon me nahi padna chahti."

"Sahi kiya tumne. Main Abba se baat karunga. Waise bhi yeh rishta to bas abhi pakka hua hai. Shaadi toh nahi huyi. Shaadi se pehle aise demands hai Shaadi ke bad to woh abba ka hissa bhi mang lenge."

"issi baat ka toh darr hai."

"Khair tum tension mat lo. Main hoon na. Bas kuch din bache hai mere yaha pe phir saare masle solve kar dunga main waha akar."

"Hmm..Waise Zaroon main kal raat ke liye tumse sorry kehna chah rahi thi par tumne toh mera phone uthana zaroori hi nahi samjha. "

"Mujhe kya pata tha ki waha aisa masla khada hogaya hai. Tumhe Abba ke jaate hi mujhe call karna chahiye tha. Ek baar bhi khayal nahi aya ki main yeh Zaroon se discuss kar loon ya tum mujhe for granted lene lagi ho?"

"Acha toh tumhe lagta hai ki main tumhe for granted leti hoon. Let me tell you Mr. Junaid that no one can ever take you for granted. Itne demanding, childish logo ko koi kabhi for granted nahi le sakta. Tumhe toh attention ki itni adaat hai ki kal raat zara sa maine tumhe neglect kya kar diya tumhari toh ego pe thes pohnch gaya. Kyun hai na?"

"Ego pe thes lagne par log wapas call nahi kiya karte."

"Haan nahi kiya karte par lagta hai ki subah tumhari akal thikane agayi hogi."

"Meri akal thikane par hi hai humesha se, magar agli  dafa tumne mujhe is tarah ignore kiya na toh shayad thikane se hat jaye."

"Dhamki de rahe ho?"

"Ji haan de raha hoon."

"Theek hai."

"Kya theek hai?"

"Bas theek hai abhi se main tum par aur bhi tawajju diya karungi."

"Tawajju se tumhara matlab meri galtiyaan ginna toh nahi hai?"

"Woh toh tumhe khud pata chal jayega."

"I love you."

Usne haste huye kaha.

"Pyaar ka izhaar kar rahe ho ya maska laga rahe ho?"

"Dono."

"Allah Hafiz."

Maine haste huye phone rakh diya.

Zaroon ka kuch samajh nahi ata mujhe. aur shayad main samjhna bhi nahi chahti. Cheezein aisi unpredictable hi achi lagti hai.

Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now