Part 62

301 48 22
                                    

Preeti had started working once again. By god's grace and her friends' constant support, Nirmala aunty, whose little bit hesitation was still remaining that her DIL is working for family's sake was fading away little by little. May be they could say, she had probably started to understand why this was important. But better late than never. Along with this, Preeti and others still had one fear left in them. How will they convince Nirmala aunty regarding Pandit and Preeti? Preeti, whenever this topic arose, she had a guilt ridden inside her. She would often think that whatever she is thinking to do is her selfish point or not.

Naina, being her sister would be able to read her mental state and would say that its nothing wrong she thinks like that but it was better she talked to Pandit regarding it. And Pandit had made a clear statement upon this as always, "Main jaanta hun ki ye asaan nahi hai tumhare liye. Nirmala aunty ka swabhav hum sab jaante hain. Unko waise bhi main pasand nahi hun. Aur agar meri maano, toh main kehta hun ki tumhe jitna waqt lena hai tum le sakti ho. Pehle khud kaam karlo, kuchh ban jaao. Samar ke future ke baare mein socho. Nirmala aunty ke baare mein socho, apni khud ki family se baat karo, aur phir chahe tumhara jo bhi faisla ho, main tumhare saath rahunga." Pandit replied with pain, but truthfulness in his words. Preeti was so sorry for him but she wasn't left with the other option in hand.

Later on, when Sameer and Munna questioned Pandit about his decision, he replied them softly, "Yaar ek batao tum log, aisi situation mein jahan pe saara ka saara bojh aaj ke jamane mein bhi ladkiyon par daal diya jaata hai, aise mein main Preeti ke bojh ko halka kaise na karun? Mujhe toh ye baat bohot late se realise hui. Par jo kuchh bhi hum logon ne dekha hai, suna hai, usmein humne yahi jaana hai ki roz kuchh na kuchh karke log saara ka saara dosh ladkiyon pe daal dete hain jab ki unki koi galti bhi nahi hoti. Toh aise mein main sirf apna fayda kaise dekhun?"

Munna and Sameer were once again so so proud of their friend. Munna gave a look of appreciation and gentle smile to Pandit. And Sameer spoke supporting Pandit's statements, "Pandit sahi keh raha hai yaar. Hum ise aise keh toh rahe hain ki inko aage badhna chahiye. Par jo reason Pandit ne diya hai wo bhi toh galat nahi hai na. Duniya ki baat chhodo. Humare saamne hi examples hain. Jab Naina shaadi karke ghar aayi, tab mummy mujhe chhod kar chali gayi thi aur mama mami ka bhi achha bartaav nahi rehta tha humare saath. Sab yahi kehte the ki ladki mein hi khot hai. Shaadi karke aate hi ghar ko bikher diya. Swati ke saath kya kya hua hum sab jaante hi hain. Aur sayad Preeti ko bhi ye sab dekhna pade aage jaake. Sayad usko bhi log kehne lage ki abhi abhi pati gaya hai aur abhi se dusre mard ke saath..." He squeezed his eyes on the bitter essence of the words.

Munna continued again, "Haan yaar sahi kaha. Chahe koi kuchh bhi kahe, society mein aisa nahi hai ki ladkon ko dikkatein nahi aati. Par jo bhi ho, hume ladkiyon se thoda sa hi sahi, zyada aazadi milti hai. Aur, humne hi humari bahu betiyon ka saath nahi diya ko kaise chalega."

Pandit concluded all their sentences, "Haan. Aur isiliye maine socha ki Preeti ko uska apna waqt deke maine wahi kiya jo uske liye aur hum sab ke liye iss waqt sahi hai. Jaise use sahi lage wo waisa hi kare toh thik rahega. Waise bhi main kahan bhage jaa raha hun yaar." The three of them gave out a small laugh on his last sentence.

Naina, who had been listening silently to their talks, was sitting with pride evident on her face. She and everyone knew that Sameer was so supportive towards her. But maybe she also wouldn't have thought that Sameer thinking on this particular subject is so broad. 

In the process, when Sameer's eyes met hers, she blew a flirty kiss to him, to which he responded with a shy smile. She chuckled on his cuteness.

When Munna's gaze landed on Sameer's smiling face, he spoke in an irritated voice, "Itna serious topic chal raha hai idhar. Aur tereko hasi sujh rahi hai hein?" On this, Sameer stopped smiling and nodded in No.

Chal Adhure Ko Pura KareinWhere stories live. Discover now