Part 66

337 43 35
                                    

Dropping his princess and Samar to school, Sameer and Aditya made their way to their workplaces. Today, Sameer and Aditya had been carrying Suman and Samar in their arms respectively. Aditya was how he was with the kids always. And Samar loved to be with his phuphaji always. Actually, Samar and Suman were the kids who were turning more familiar with the ones they used to be around nowadays. This obviously showed a positive sign of their growth. But Sameer, spending time with Suman made him realize again that what family mattered, what children mattered. He used to talk with his daughter in the way she used to and always tried to understand things from her point of view. This was what Naina did sometimes too.

Nowadays, when Suman was turning 3 now, she had various lame demands for a 3-year-old. And, Sameer wanted to fulfill each wish his daughter did to him. He would always let her be seated on his lap when he tried to make her eat food. Neither did he tend to, nor let Naina speak when it was the argument for letting Suman eat by herself. Naina insisted that it was good he was so caring and lovable towards his daughter but she warned him in simple and soft words that being so liable in this was not that good though. Sameer had swayed that like anything and Naina had sighed letting it go for now thinking the same every mother thinks, "Bigad ke rakh do apni beti ko.

Now, Sameer and Aditya turned back after happily bidding goodbye to the children. They walked along and Aditya started his takings with a normal matter of daily life, "Aur bata bhai, kaisi chal rahi hai teri naiyya?"

Sameer smiled at his words, "Naiyya? Kya matlab?"

Aditya chuckled, "Arey matlab kaisa chal raha hai dhanda paani. Kitne dinon ke baad mila hun tere se yaar. Warna roz aajkal toh main subah subah hi nikal jaata tha shoot pe. Aaj jaake time alag hai mere shoot ka. Toh tu bata bhai."

Sameer rolled his eyes in annoyance to answer his question, "Arey yaar, kahan kuchh bada ho raha hai. Nahi matlab, abhi tak sab kuchh thik thak hi hai. Yaani ki, Naina ki aur meri script toh abhi Sparkle telefilms mein istemaal ho hi raha hai. Aur agle scene ke liye wapas se aaj hum donon ko wahan jaana hai. Par life mein kuchh exciting nahi ho raha hai yaar."

Aditya encircled his shoulder, speaking in his full mood, "Chinta kaayko karta hai mere yaar. Sab sahi ho jaayega bappa ki kripa se. Dekhna tu, aur meri baat gaanth band le, aaj jo aise producer logon ke paas tereko dhakka khana padta hai na, ek din aisa aayega jab tu ye apne naye hero logon ko serial mein kaam karne ka chance dega."

Sameer gave an astonished look to him, "Kya yaar Aditya tu bhi. Bina matlab aise sapne mat dikha mujhe. Abhi ke liye mere paas jo hai wahi sahi hai. Abhi toh bas itna chahiye ki aisa koi producer mile jo humare script ko main line mein rakhe. Yaani ki ye pakka kehke bole ki ye serial itne din tak chalega iss storyline ke hisab se. Warna jahan par hum abhi hain, wo serial bhi abhi band hone ki kagar pe hai. Wo kya hai, haan...trp achhi nahi aarahi hai na. Upar se naye naye channels abhi abhi aane suru huye hain TV pe bhi."

Sameer's VO:

Uss din Aditya ke baaton ko hawe mein uda diya tha maine. Kaha toh maine usse sidha ye tha ki bhai, mujhe itne bade bade sapne mat dikha. Par agar mere paas future mein jhaankne ki power hoti, main aisa kabhi nahi kehta. Unn dinon main khud mein bohot badlaav mehsus karne laga tha. Swabhavik hai. Har kisime roz kuchh na kuchh badlaav hota hi hai. Mere mein bhi wahi tha. Aur aas paas ki chizein dekhke, aage ka sochke, ghar ka sochke, kaam ka sochke, apni beti ka sochke, yun keh sakte hain ki main, wo kehte hain na, 'guardian' ban raha tha. Apni kamayi aur ghar ke kaaran ye sab kehneko toh pehle bhi ho chuka tha. Par sayad main bhulne laga tha ki inn sab mein meri Naina ne bhi mera kitna saath diya tha.

Ab meri aur Naina ki life mein kuchh sidha toh kabhi hua nahi hai. Toh ab dekhne waali baat ye thi ki ye waali zimmedari, ye waali feeling aur ye jazbaat mujhe kaise badalne waale the. (Gives a carefree laugh)

Chal Adhure Ko Pura KareinWhere stories live. Discover now