Adam aur Havwa
Uske pairo ke neeche woh zameen jaise sabz makhmal ki thi, makhmal ya kuch aur tha tahadde nazar zameen par sabze ki tarah phela hua darakhton par ugne wali peeli konplo jaisa sabz, aur phir yakdum samundar ke andar paida hone wali kai jaisi rangat liye nami ke nanhe nanhe qatre apne wujood par liye sabze ki pattiyan mahak hawa ke jhonkon se hilti jaise kisi raks mein masroof thi. Pani ke nanhe shafaaf moti sabz pattiyon ke wujood par phisal rahe the, sambhal rahe the, yun jaise makhmoor ho kar bheekh rahe hon. Pattiyon ke wujood se lete, dagmaagte, sambhalte, phisalte phir hawa ka ek jhonka chalta, sabze mein ek lehar uthti, samandar mein jwala bhatta ki pehli lehar ki tarah uthti, raks, lehrati woh sabze ko sehlati, behlathi ek ajeeb si sarshari mein mubtala karti, ek taraf se doosri tarafguzar jaati. Zameen jaise raks karne mein masroof thi.
Sabze ka wujood nanhe nanhe phoolon se sajaa hua tha, har rang ke phoolon se, itne rang aur aise rang jo nazar ko shashdar kar dein. Sabze ke wujood par bikhre woh nanhe nanhe phool yahan se wahan har jagah the. Sabze mein hawa se paida hone wali har lehar aur har mauj ke saath woh bhi ajeeb masti aur ajeeb sarshari se raks karne lagte.
Aasman saaf tha. Aankhon ko sukoon dene wala halka neela aur ab bhi kisi gumbad ki tarah phela hua... gehra uncha.. bohot uncha... yahan se wahan tak har taraf. Hawa mohattar thi, makhmoor thi, gunguna rahi thi. Wahan mojood har shai ke saath atkheliyan kar rahi thi. Hasti, chhed kar jaati phir palat kar aati kabhi behlati kabhi thapakti kabhi thamti phir chalti phir gungunati phir lehrati wahan thi, nahi thi kahan thi?Woh kisi raaste par tha, kya raasta tha...woh kisi intezaar mein tha. Kya intezaar tha. Usne ek gehra saans liya. Us raaste ke dono taraf do ruiyan darakhton ki qataar ke ek darakht ke saath woh tika khada tha. Sahara liye ya sahara diye.
Woh aagayi thi usne bahut door us raaste par use numoodar hote dekhliya. Woh safaid libaas mein malboos thi. Bahut maheen, bahut nafis... woh resham tha? Atlas tha? Kumkhwab ya woh kuch aur tha? Itna halka itna nazuk ke hawa ka halka sa jhonka us safaid gown numa libaas ko udhane lagta. Uski dhoodiyaan nazar aane lagti thi. Woh nange paon thi aur sabze par dhare uske khoobsurat paon jaise sabze ki narmi ko bardasht nahi kar pa rahe the. Woh paon rakhti chand lamhon ke liye larkharati jaise makhmoor ho kar hasti phir sambhal jaati phir bade ishtiyaq se ek baar phir qadam aage badha deti.Uske siyah baal hawa ke jhonkon se uske shaano aur uski kamar tak hulchulayi kar rahe the. Uske gaalon aur chehre ko chumte aage peeche ja rahe the. Uske chehre par aate... uske seene se lipatte uske kandhe par, phir hawa mein lehra kar ek baar phir neeche chale jaate. Woh khoobsurat siyah chamakdaar reshmi zulfain jaise uske safaid libaas ke saath mil kar uske wujood ke saath raks karne mein masroof thi.
Uske marmari wujood par woh safaid libaas jaise phisal raha tha sambhale nahi sambhal raha tha hawa ke har jhonke ke saath woh uske jism ke khado khaal ko numayaan karta, use pairo se kandho tak chumta... uske wujood ke lams se makhmoor hota hosh khota... deewana waar uske wujood ke gird ghoomta. Kisi bhanwar ki tarah uske jism ko apni giraft mein leta usse lapet raha tha. Hawa ka doosra jhonka uske siyah reshmi zulfon ko bhi is raks mein shamil kar deta.. woh uske kandhon aur kamar par wale wahana andaaz mein phisalti... hawa mein halka sa udti, phir narmi aur mulaimat se uske chehre aur seene par girti. Uske wujood se phooti khushboo se yakdum sarshari hoti phir uske jism ko jaise apne wajood se chhupane ki koshish karne lagti. Hawa ka ek aur jhonka us hawale se utha kar phir peeche phenk deta. Is raks mein ab phir uske safaid libaas ki baari thi. Woh aage badh aya. Woh uski taraf mutawajjah nahi thi.. Wo ajeeb si hairat me mubtila..waha ki har shai ko shehr sada andaz me dekh rahi thi...baccho jaisi hairat aur ishtyaag ke sath us raaste par chalte chalte usne use dekhliya...Uske kadam thame.. dono ki nazrein mili phir uske chehre par beshakta muskurahat aayi....pehle muskurahat phir hasi, usne use pechan liya tha..waha maujood wo waahid wajood tha jise wo pehchanti thi...usne hath badhaya wo uska hath thaam kar uske kareeb aa gayi dono ek ajeeb si sarshari mein, ek doosre ki aankhon mein aankhein daale dekhte rahe...
Uski gehri siyah muskurati hui aankhein, heere ki kaniya ki tarah chamak rahi thi, aur yeh chamak usse dekh kar badh gayi thi. Uske khoobsurat gulabi honthon par nami ki halki si teh thi, jaise woh abhi kuch pee kar aayi ho aur uski thodi hamesha ki tarah uthi hui thi. Uski surahi daar gardan dekhte huye usne uska doosra haath bhi apni grift mein le liya. Uski aankhon ki chamak aur uski muskurahat gehri hui... woh jaise is lams se waqif thi, phir woh dono beikhtiyar hase.
"Tum mera intezaar kar rahe the?"
"Haan."
"Bohot der kar di?"
"Nahi. Bohot zyada nahi." Wo uska haath thaame us raste par chalne laga..
Hawa ab bhi un dono ke wujood ke saath aur wahan mojood har shai ke saath atkheliyan karne mein masroof thi. Woh ab bhi bachon jaisi hairat aur khushi ke saath wahan mojood har shai ko khojne mein masroof thi. Uski khilkhilaahat aur shafaaf hansi wahan fazaa ko ek naye rang se sajane lage the. Fazaa mein yak dum ajeeb dilfareb sa saaz bajne laga tha. Woh thatki phir beikhtiyar khilkhilaayi... uske haath se haath chhurate huye usne us raaste par qadam aage badhaye...phir mard ne use dono baazu hawa mein phelaye raks ke andaz mein ghumte dekha wo beikhteyar hasa...wo use raaste par kisi maahir pehle rahna ki tarah raks karti door jaa rahi thi...
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...