"Waseem mera phone nahi utha raha. Imama ne us raat khane par Salar se kaha tha."
Salar ko woh bahut pareshan gayi thi.
"Ho sakta hai, masroof ho." Salar ne use tasalli dehte hue kaha.
"Nahi, woh naraaz hai."
Is baar Salar chonka tha. "Naraaz kyun hoga?"
Imama ne use apni aur Waseem ki guftagu suna di. Salar gehra saans le kar reh gaya tha. "Tumhe zarurat kya thi us se is tarah ki guftagu karne ki, baligh aadmi hai woh business kar raha hai. Biwi bachon wala hai. Use achhi tarah pata hai, usne zindagi mein kya karna hai aur us ke liye kya sahi hai. Tum log aapas mein milte rahna chahte ho to mazhab ko discuss kiye baghair milo."..Salar ne use badi sanjeedgi ke saath samjhaaya, "Baat usne shuru ki thi, woh na karta to main bhi naa karti." Imama ne jaise apna difaa kiya. "Aur khud baat shuru karne ke baad ab woh tumhari phone call nahi le raha to behtar hai, ab tum intezaar karo sukoon se, jab uska gussa thanda ho jayega to kar lega woh tumhe call."
Salar keh kar dobara khana khane laga. Imama isi tarah bethi rahi.
"Ab kya hua?" Salar ne salad ka ek tukda uthate hue uski khamoshi notice ki.
"Meri khwahish hai woh bhi Musalman ho jaaye, is gumraahi ki daldal se nikal aaye."
Salar ne ek lamha ruk kar use dekha, phir badi sanjeedgi se use kaha, "Tumhare chahne se kuch nahi ho sakta. Yeh uski zindagi hai, uska faisla hai. Tum apni khwahish us par impose nahi kar sakti."
"Impose to kar bhi nahi rahi main. Woh plate mein chamacch be maqsad hilate hue dil gharifta thi."
"Kabhi kabhi insaan ka dil chahta hai, woh cheezein ko jadoo ki tarah theek karne ki koshish kare."Salar ne uski dil girifti mehsoos ki, phir jaise use dilaasa dene ki koshish ki. "Zindagi mein jadoo nahi chalta. Aqal chalti hai ya qismat, uski karegi aur qismat mein likha hoga to woh apne liye koi stand le lega, warna main ya tum koi uske liye kuch nahi kar sakte."
Woh use narmi se samjhaata raha tha. "Aur tum dobara kabhi us se is masle par khud baat nahi karo gi, na hi school ke hawale se kisi gile shikwe ke liye use bulaogi. Main apne maslo ko handle kar sakta hoon aur Waseem kuch nahi kar sakta."..Woh yeh keh kar khane ki table se uth gaya. Imama isi tarah khali plate liye bethi rahi. Pata nahi zindagi mein achanak itni be sukooni kahan se aagayi thi. Woh fairy tale jo chand maah pehle Salar ke saath shuru hui thi aur jo uske pairon ko zameen par tikne nahi deti thi. Ab woh pariyon ki kahani kyun nahi rahi thi. Is mein pareshaniyon ka jungle kaise ugh aaya tha ya shayad woh uske sitare the jo ek baar phir gardish mein aaye hue the...
School ki building ke structure ko waqai bahut nuksan pahuncha tha. Sab kuch jaise square one par aa gaya tha. Yeh Salar ke liye haaliya zindagi ka pehla bada zati maliyati nuksan tha. Chand ghanton mein sab kuch raakh ho jaane ka matlab use zindagi mein pehli baar samajh mein aaya tha aur is par sab se badtareen cheez yeh thi ke is saare issue mein uske sasural ka mulawwis honay par kam az kam uski family mein se kisi ko shubah nahi tha, lekin use sabit karna mushkil nahi, taqreeban namumkin tha. Gaon ka koi fardh mulawwis hota to police ibtidaai tafteesh ke baad kisi na kisi ko zaroor pakad leti, magar is aatish zadgi mein wahan ke kisi shakhs ki involvement zahir nahi hui thi, aur jitne professional tareeqay se ek hi waqt mein mukhtalif chemicals ke istemaal se us imarat ke mukhtalif hisson mein woh aag lagai gayi thi, woh kisi aam chor aachakke ka kaam nahi tha. Agar maqsad use nuksan pahunchana tha to use be had nuksan hua tha, agar maqsad use chot pahunchana tha to yeh peeth par zarb lagane jaisa tha. Woh dhora hua tha magar munh ke bal nahi gira tha.
"Use chhod do Salar! Woh doosre weekend phir Islamabad mein tha aur Tayyaba is baar jaise girgida rahi thi.
Woh is sab se is baar mazeed khaif hui thi. "Tumhein shaadi ka shauk tha, woh poora ho gaya hai. Ab chhod do use."..."Aapko andaaza hai ke aap mujhe kitni takleef pahunchati hain, jab aap mujhse is tarah ki baat karti hain."..Salar ne unko baat mukammal nahi karne di thi. "Tumne dekha nahi, unhone kya kiya hai?" "Ab bhi kuch sabit nahi hua hai" Usne phir maa ki baat kati thi. "Tum aqal ke andhe ho sakte ho, hum nahi, aur kaun hai dushman tumhara, Imama ki family ke siwa?" Tayyaba barham ho gayi thi. "Is sab mein Imama ka kya qusoor hai?" "Yeh sab uski wajah se ho raha hai, tumhein samajh mein kyun nahi aati yeh baat?"..."Nahi aati... aur naa hi aayegi. Main ne kal bhi aap se kaha tha, aaj bhi keh raha hoon aur aainda bhi yahi kahunga. Main Imama ko nahi chordunga. Kam az kam is wajah se to nahi ke uski family mujhe nuksan pahuncha sakti hai. Aapko koi aur baat karni hai to main baithta hoon. Is issue par mujhe na aaj, na hi dobara baat karni hai."
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...