Khanay ki mez par un ke saath khana khaate aur khush guppiyan karte hue, door bel bajne par bhi Erik ko yeh khayal nahi aya tha ke woh Cerolin ho gi. Woh be had na khush thi aur hamesha ki tarah un ke ghar aane par us ne mamool andaz mein khush gawar rasmi jumlon ka tabadla bhi nahi kiya tha. Us ne andar aate hi Erik ka poocha tha aur Erik ke wahan hone ki tasdeeq hone par woh andar aayi thi aur us ne lounge mein khade khade Erik ko daantna shuru kiya tha. Woh Sabil aur Mark ko us ke paas chhod kar kisi dost ke saath dinner par gayi thi aur woh Sabil aur Mark ke sote hi ghar se nikal aaya tha aur ab jab Kerolin waapas aayi to us ne Sabil aur Mark dono ko ghar mein rote hue pareshan aur Erik ko wahan se ghaib paya tha.
Erik ne maa ki daant phatkar khamoshi se suni thi. Sharmindagi agar usay hui thi to sirf is baat ki ke us ka jhoot un sab ke samne khula tha, jo us ne Mark aur Sabil ke hawale se bola tha. Keroline sakht mizaj nahi thi lekin pichle kuch arsa se us ke aur Erik ke darmiyan ajeeb ki sardi mehri aagayi thi woh jaanti thi. Erik, James ki maut ki wajah se upset tha lekin woh is baat se bezaar ho chuki thi...
Wo 11 saal ka ladka tha wo chahti thi wo apni zimmedariyan mehsoos kare aur agar kuch zimmedariyan apne sar nahi le sakta toh kam az kam koi masla bhi paida naa kare..Erik ko maa se tabtak hamdardi rahi thi jab tak us ne Karoline ke naye partner ko nahi dekha tha..baap ki maut se bada sadma yeh tha ki koi aur uske baap ki jagah lene wala tha..Uske aur Caroline ke darmiyan sard mehri aur kasheedgi ki buniyadi wajah yehi thi jise Caroline bujh nahi payi thi.Erik ke jaane ke kuch der baad bhi waha khamoshi ho rahi thi..yeh kisi ki bhi samajh mein nahi aaya tha ki wo is saari surat e haal par kis radde amal ka izhar kare...
Erik ke sath sabko hamdardi thi lekin ab unki samajh mein yeh bhi nahi aa raha tha ki wo use apne ghar se door kaise rakhe khaas taur par aisi surat e haal mein ke Caroline ko is mail-jol par etraaz bhi nahi tha aur woh khud bhi kai baar emergency ki surat mein Sebil aur Mark ko unke paas chhod jaati thi. Itna accha bacha tha pehle kabhi jhooth bolte nahi dekha maine use pata nahi ab kya ho gaya hai ise..Tables se bartan uthate hue Imama ne jaise tabsera kiya tha.James ki maut ne aisa kar diya hai use Salar ne mez se uthte hue uske tabsere ke jawab mein kaha.
Bartan sink mein rakhte hue Imama ajeeb andaaz mein thandi padi thi. Do din baad Salar ka tibi muaina hona tha. Pehle har teen maah ke baad uska tibi muaina hota tha, ab is baar chhe maah ke baad. Yeh dekha jata tha ki uske dimag mein mojood tumor kisi haalat mein tha. Barhne laga tha? Ghatne laga tha? Uske dimag mein koi aur tumor to nahi ban gaya tha. Tumors ne kuch aur cells ko to mutasir karna nahi shuru kar diya tha.
CTS MRI CBC LP BPT TMT..pata nahi kitne tests the jin ki reports woh dam sade dekhti rehti thi. Har clear report uska saans bahaal kar deti. Koi mamooli si bhi kharab report use be haal kar deti. Zindagi jaise phir teen maah ke baad daire mein simat kar aagayi thi. Teen maah ke baad medical check-up hota aur phir do teen maah ke liye jeene lagi aur jab jab medical check-up ki tareekhein qareeb aane lagti Imama ki badhawasi mein bhi izafa hone lagta. Aur yeh sab kuch teen saal se ho raha tha aur teen saal se theek tha. Uska operation kaamyaab raha tha. Hosh mein aane ke baad uski zehni salahiyaton par bhi koi asar nahi hua tha.
Chhote mote asarat aaye the lekin woh aise nahi the ke unhein tashwesh lahaq hoti lekin iske bawajood Imama Hashim ko lagta tha, zindagi badal gayi hai. Aur ab Salar ki zubaan se James ki maut ka zikr sun kar aur is maut ne uske bete ko kaise mutasir kiya tha. Woh ek baar phir isi tarah munjamid ho gayi thi. Chand ghante pehle hone wali taqreeb yak dam jaise uske dimag se mahv ho gayi thi. Woh check-up jo do din baad hone wala tha, agar woh theek rehta to phir iska check-up teen ke bajaye chhe maah ke baad hota. Salar ki nahi jaise uski apni zindagi ki moayed teen se chhe maah badhne wali thi.
Kitchen mein sink ke samne khade usne lounge mein baithe Salar ko dekha. Uske gird baithe usse khush guftaguon mein masroof apne bachon ko dekha. Woh khush qismat thi ke woh ab bhi unki zindagiyon mein tha. Jeeta jaagta, hasta muskurata khushbash sehatmand kam az kam koi ab use dekh kar yeh andaza nahi laga sakta tha ki use koi bimari thi aur aisi bimari thi. Woh sirf apni surgery ke baad sehat yaabi aur ilaaj ke doraniye mein bimaar lagta tha.
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...