Eid ke do hafte ke baad Islamabad ke ek hotel mein unke walime ki taqreeb munakkat hui thi. Agar Salar ki zidd naa hoti to Sikandar kabhi is takreeb ke liye Islamabad ka intikhab naa karte, lekin Salar ki zidd ke samne Sikandar ne bilakhir ghutne tek diye the.
Woh walime ke baad do hafte ke liye Bahamas gaye the. Pakistan se bahar Salar ke saath Imama ka yeh pehla safar tha. Un dono mein se koi bhi nahi jaanta tha ke zindagi mein dobara kabhi in pandrah dino jaise pur sukoon aur be fikri ke din unki zindagi mein dobara kabhi nahi aane waale the. Woh zindagi mein is se zyada khoobsurat jagahon par is se zyada sahoolat ke saath jaate, tab bhi zindagi ke in dinon ko waapas nahi laa sakte the. Jab un dono ke darmiyan rishta naya tha lekin ta'alluq purana, jab ek doosre par itemad zyada nahi tha, lekin tawaqquat aur umeedein bohot thi, aur jab un dono ke darmiyan abhi shikayaton aur talkhiyon ki deewaren khadi nahi hui thi, zindagi ek doosre se shuru hokar ek doosre par hi khatam ho rahi thi. Salar ka phone international roaming par tha lekin din ka zyada waqt woh off rehta tha. Bank aur us se mutalliq kaamon ko pandrah dino ke liye usne apni zindagi se nikal diya tha aur ek cell ke off rehne se unki zindagi mein hairaan kun tabdili aayi thi. Unke paas ek doosre se baat karne ke liye bohot zyada waqt tha aur us waqt mein cell phone mudaakhilat nahi kar pa raha tha. Ek doosre se kahi jaane waali saari baatein be maani thi, saari baatein be maqsad thi aur saari baatein zaroori thi. Woh dono ek doosre ko apne bachpan, apne maazi ke saare qisse, saari khushgawar baatein batate rahe the..jo aise hi trips aur resorts se judi hui thi..samundar ke paani ke is jheel numa hisse par bane bohot se ranches mein se ek par baithe, shafaaf paani mein nazar aati mukhtalif qisam ki aabi makhlooq ko dekhte aur ek doosre ko dikhate unhein pata nahi kya kya yaad aata raha, phir unhein hansi ke doray partay. Be wajah hasi jiska talluq kisi cheez se nahi, sirf us zehni kehfiyat se tha jisme wo batate rehte the..
Salar hamesha pehle bhi do baar aa chuka tha aur us ke liye woh jagah nayi nahi thi. Woh use le kar un tamam jagahon par ja raha tha, jo sea foods ke liye mashoor thi aur Imama ko pehli baar andaaza ho raha tha ke use kis had tak sea food pasand hai. Khud usne Salar ke israar aur dabaao ke bawajood machhli ke alawa kisi doosri cheez ko chakhne tak ki himmat nahi ki thi.
"Hum apne ghar mein is tarah ka ek ranch bhi banwayenge," woh is subah phir lakdi ke takhte par aakar paani mein tangain daboye bethay thay, jab Imama ne kaha. Salar ne gardan modh kar use dekha. Ek lamhe ke liye woh ise mazaq samjha tha lekin woh be had sanjeeda, jhuki hui paani ko mutthi mein liye uchal rahi thi.
"Kis par banayenge?" Salar ne jaise use kuch yaad dilaane ki koshish ki.
"Jheel par"..wahan bala ki sanjeedgi thi. Aur jheel kahan se aayegi?" Woh hakka bakka tha.
"Wo tum banaoge na," woh use dekh kar reh gaya.
"Aur us jheel mein paani kahan se aayega?" Imama ne ek lamhe ke liye socha.
"Nehar ke zariye." Woh has pada lekin Imama nahi hasi.
"Pani ki neher nikalna doodh ki neher se zyada mushkil hai, Sweetheart!" usne Imama ke kandhon par bazu phelaya. Imama ne uska haath jhatak diya. "Tum nahi bana kar do ge?" Wo sawaal nahi tha, dhamki thi. "Hum yahan aa jaya karenge, balki agle saal mein tumhe Mauritius le kar jaunga, phir uske agle saal Maldives," Imama ne uski baat kaati. "Tum nahi bana kar do ge jheel?" Imama..jheel kaise bana kar doon main tumhe? Haan, yeh ho sakta hai ke hum kisi aisi jagah par ghar banayein jahan qudrati tor par aas paas is tarah pani ho. Salar ne usay talne ki koshish ki thi. Filhaal woh use saaf lafzon mein us ranch par baith kar apne honey moon trip ke doran aur ghair-romantic batoon ke darmiyan yeh nahi keh sakta tha ke woh aqal se paidal hai aur jagte mein khwaab dekh rahi hai aur woh bhi ahmekana.
"Haan, yeh theek hai." Us par barwaqt asar hua tha aur Salar ne jaise itminan ka saans liya. "Salar tum bohat achhe ho."..Imama ne ab uska haath pyaar se pakadte hue kaha. "Imama! Yeh blackmailing hai." Salar ne haath chhudaaye bagair gehra saans lekar ehtejaj kiya.. Woh us ke jhoot ko uske gale ki haddi bana rahi thi. "Haan! Hai toh." Usne bade aaram se kandhe uchka kar haste hua kaha.
![](https://img.wattpad.com/cover/364248900-288-k460051.jpg)
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...