part67

2.3K 70 16
                                    

Ahsan Saad ka baap is baat par hamesha fakhar karta tha ke uska beta aaj ke zamane mein Pakistan ke behtareen English medium aur co-education idaron mein parhne ke bawajood ek sucha aur pakka Musalman tha. Daarhi rakhta tha. Paanch waqt ki namaz masjid mein padhta tha... Hajj aur Umrah ki sadadat apne shoq se hasil kar chuka tha.

Larkiyon se koso door bhagta tha. Kisi aisi sargarmi mein mulawwis nahi tha jo haram thi aur maa baap ka farmaan bardar tha... din ko din aur raat ko raat kehne wali saadat mandi aur is ke sath sath parhai mein shuru se ab tak usne scholarship hasil ki thi... sirf wahi nahi un ki dono chhoti betiyan bhi jo bade bhai hi ki tarah deeni tor par ba'amal hone ke sath sath position holders thi.

Saad aur uski biwi is baat par jitna fakhar karte, woh kam tha aur yeh fakhar woh bar mala logon tak pohanchate bhi the. Unke halqay aahbab mein zyadatar log unhi ki tarah conservative aur mazhabi the lekin kam log aise the jinke bachay un ke bachon ki tarah laa'iq-e-faiq hotay aur is se bhi barh kar ye ke walidain ke itne farmabardar hotay.

Unka ghar unke social circle mein ek ideal ghar samjha jata tha, aisa ideal ghar jaisa ghar aur family sab banane chahte lekin ye sirf us ki maa ka khandaan tha jo is ideal ghar ki khokhli bunyadon se waqif tha aur Ahsan Saad ke baap ko pasand nahi karta tha.
Saad ne ek bohot ameer aur achhe khandan mein shaadi ki thi lekin iske baad usne apni biwi ko ek achhi aur nek Musalman aurat banane ke liye jo kuchh kiya tha.

Woh uske khandan se posheeda nahin tha. Agar shaadi ke pehle hi saal Ahsan paida nahin ho gaya hota toh uski biwi ke maa baap apni beti ki alahdgi karwa chuke hote. Kai baar Ahsan ki paidaish ke baad bhi mamlaat us had tak jaate rahe ke talaaq ho jaati lekin Saad aur uske ghar walon ka shor sharaba hamesha unhein kamzor kar deta. Saad apni biwi ko ek baa hijab, farmabardar, deen se qareeb aur duniya se door rehne wali biwi banana chahta tha aur yeh woh mutalba tha jo woh mazhab ka naam istemaal karte hue karta tha.

Saad mein is ke alawa koi kharabi nahin thi ke woh apni biwi ko is sanche mein dhaalne ke liye har harbe istemal kar sakta tha. Gaalim-gulooch se lekar maar kaatai tak aur maa hai har jaane par pabandi lagane se ghar mein qaid kar dene tak aur khandanon ke baray jab bhi in masaa'il par ikatthe huye Saad apne har rawayye ka jawaaz Islam se le kar aata.... Woh shauhar tha. Biwi ko apne tareeqe se ikhtiyaar karwana nahin chahta tha. Islami tareeqe par rakhna chahta tha. Kya biwi ka khandan apni beti ko be-raah raw dekhna chahta tha.

Us ki biwi ke maike walon ke paas hazaar dalilon ke bawajood Saad ke Quran o Hadees aur mazhabi hawalon ka jawaab nahin tha. Woh roshan khayal parhe likhe the magar un ke paas sirf duniyawi taleem thi. Un ke paas deen ka ilm hota toh woh Saad ke Quran o Hadees ke hawalon ka siyaq o sabaaq bhi use bata dete. Saad ki biwi is se umr mein chhoti thi aur har baar us ke ghar walay usay kuch aur waqt sabr aur bardasht ke saath guzarne ka kahte aur Saad ki kuch aur farmabardari ikhtiyar karne ki naseehat karte.

Un sab ka khayal tha, waqt guzarne aur bachay hone ke saath saath Saad badalta jaayega. Waqt badalne ke saath Saad nahin badla tha. Uski biwi badalti chali gayi thi. Usne zehni tor par yeh maan liya tha ke woh shaadi se pehle waqai Islam se door thi aur deen ki taleemat wahi thin jo Saad us ke kaanon mein daalta tha aur use waqai wahi karna chahiye jo us ka shauhar kehta tha. Waisa parda, waisi khidmat, waisi farmabardari.

Ek stage woh aagaya tha jab donon miyan biwi soch ke hisaab se ek jaise ho gaye the. Uski biwi bhi Saad ki tarah logon par apne fatwe naafiz karne lagi thi, woh doosron ke baare mein apne fatwon ka khula izhaar karti thi, woh kisi ki zara bhi aisi cheez ko bardaasht nahin kar pati thi jo use ghair Islami lagti. Unka khayal tha, Islam unhein is ka hukm deta tha ke jo ilm un ke paas hai, woh doosron tak pahunchayein. Jo khilaaf Islam kaam woh rok sakte hain, usse rok dein jise bura keh sakte hain, use bura na kahen balki sab ke saamne is tarah
Mat'aun karen ke agla sharm se paani paani ho jaaye.

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now