part40

3.5K 94 3
                                    

Hum paanch lakh log hain magar yeh jungle to Congo ke saarhay teen crore logon ko rozgaar de raha hai. World Bank Timber Industry ko maumlat de raha hai kyun ke is se hamari ghurbat khatam ho gi. Jab chand dehaiyon mein se jab jungle hi gaib ho kar Europe aur America ki factories aur showrooms mein mehngay daamon beekne wali lakdi ki ashiya mein tabdeel ho jayenge to Congo ke log kya karenge? Tum log humse woh bhi cheena chahte ho jo Khuda ne hamein dia hai. Agar kabhi hum west mein unse sab kuch cheenne pahunch gaye to tumhe kaisa lagega? Ibaka ne apna case bohat tehzeeb se pesh kiya tha magar baat ke ikhtitam tak uski bay chaini uske lab o lahje se jhalakne lagi thi. Salar Sikandar ke paas uske sawalon ke rate rataye jawabat thay. Is project ki tarah Congo mein bhi hone wale aur bohat se projects ki tafseelat uski ungliyon par thin. Woh wahan World Bank ka country head tha aur yeh mumkin nahi tha ke in projects ki ahmiyat aur feasibility reports ke bare mein usse pata na hota tha, magar aisa pehli bar hua tha ke Petrus Ibaka ke in shafa'at aur sawalat ne use pareshan karne lage thay. Bohat kuch aisa tha jo uski naak ke neeche ho raha tha aur use pata nahi tha lekin woh is sab ka hissedar tha kyunke wo sab kuch uske dastakhaton ke saath manzoor ho raha tha. Congo mein woh pehli baar nahi aya tha, na hi Africa aur uske masail uske liye naye thay, na hi wahan ke wasail par maghrib ki tapakhti hui raal uske liye koi posheeda baat thi, lekin woh hamesha yeh samajhta raha tha ke her cheez ke do pehlu hote hain aur koi bhi faalih kaam karne wali bayn ul aqwami maaliyati tanzeem apne mufaadat ko balaye taq rakh kar kisi mulk aur qaum ke liye kuch nahi kar sakti aur woh unhein itni chhoot deta tha magar Ibaka ke eterazat aur inshefat ne use haula diya tha. Jo kuch wahan ho raha tha, woh World Bank ke apne charter ke khilaf tha lekin yeh sab kuch ho raha tha aur World Bank ki dilchaspi aur marzi se ho raha tha. Ibaka ki di hui files ke anbaar woh kai hafte parhta raha tha. Kai hafton tak woh apne aap se jung karta raha tha. World Bank ki imaa par wahan aisi companiyo ko lakdi istemaal karne ki ijaazat di gayi thi jinka track record Africa ke doosre bohat se mumalik mein is haawale se qabil e itraz raha tha. Lakdi kat rahi thi, jungle saaf ho raha tha, abadi be dakhal ho rahi thi aur jin sharayet par in companies ko wahan license diya gaya tha woh companies in sharayat ko bhi pura nahi kar rahi thin. Inhein lakdi ke badle us ilaqa ke logon ki mushi haalat sudharne ka farz diya gaya tha aur woh companiya croro dolarz ki lakdi le jane ke bajaye kuch arzi nauyiat ke schools aur dispensaries logon ko faraham kar rahi thin. Khoraak,khushk dudh, namak aur masaala jaat ki shakal mein di jaa rahi thi aur yeh sab World Bank officials ke nigrani ke bawajood ho raha tha kyun ke pygmies ko is mulk mein achoot ka darja haasil tha, woh in companies ke khilaf adalat mein nahi ja sakte thay. Hakoomati ohadah daran ke paas nahi ja sakte thay. Sirf ek kaam kar sakte thay: ahtejaaj. NGO's ke zariye ya phir media ke zariye aur yeh kaam bohat mushkil tha. Woh muhazzab duniya ka hissa nahi tha jahan par kisi ke saath hone wali zyadti, char ghante mein har bade news channel ki headlines ban jaati thi. Wo Africa tha jahan par aisi zyadti, tashaddud ke zariye hi dabadi jaati thi.

Agley do maah Salar ko Ibaka ke saath aur infraadi haisiyat mein un jagahon ko khud ja kar dekhne mein lage jinke baare mein Ibaka ne usay dastawezat di thi. Phir use ye andaza ho gaya tha ke wo dastawezat aur in mein paaye jane wali maloomat bilkul theek thi. Zameer ka faisla bohot aasan tha. Jo kuch ho raha tha wo ghalat tha aur wo uska hissa nahi banna chahta tha lekin mushkil ye thi ke wo ab kya kare. Ek istefa de kar is sare soorat hal ko isi tarah chhod kar nikal jata aur use yakeen tha aisi soorat mein jo kuch wahan chal raha tha, wo chala hi rahta ya phir wahan hone wali be zabbtgiyon par awaz buland karta. Be zabbtgi ek bohot chhota lafz tha. Jo kuch World Bank wahan kar raha tha wo ikhlaqiat aur insaniyat ki dhajyan udane ke barabar tha. Africa mein Ibaka se milne ke baad, zindagi mein pehli bar Salar ne Nabi Kareem ﷺ ke aakhri khutbe ke in alfaz ko samjha tha ke kisi kaale ko gore par aur kisi gore ko kaale par koi sabqat hasil nahi hoti. Wo hamesha un alfaz ko sirf zat baradri aur unch nich ke hawale se dekhta tha. Wo pehli dafa is siyah fam abadi ka haal aur istehsaal dekh raha tha, jo duniya ke ek bade khitay par basti thi. Ma'daniyat aur qudrati wasail se mala mal khitah. Aur phir is gore abadi ki zehni pasmandgi aur hawas dekh raha tha jis ka wo bhi hissa tha aur use khauf mehsoos hua tha. Kya Nabi Kareem ﷺ ke alfaz, anay wale zamano ke hawale se isi khitay aur is siyah fam abadi ke hawale se koi pesh goi thi ya koi tanbeeh jise sirf saphaid fam log hi nahi, musalman bhi nazar andaz kiye thay. Sadiyon pehle ghulami ka jo toq siyah famon ke galay se hata liya gaya tha, 21vein sadi ke muhazab zamane mein Africa mein istimaliyat mein wo toq ek bar phir daal diya tha.

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now