part21

4.7K 137 39
                                    

"Subah tum chal rahi ho mere saath?" Salar night dress mein malboos chand lamhe pehle washroom se nikla tha. Pehle ki tarah is baar bhi woh usi khidki ke aage khadi thi.

"Han." Usne Salar ko dekhe bagair kaha.

"Tabeeyat theek hai tumhari? Apne bed par baithte huye usne Imama ko ghor se dekha. Use uska lehja behad bhuja hua lag raha tha.

"Han." Usne usi andaaz mein jawab diya.

Salar kambal kheenchte huye bed par let gaya. Imama ne palat kar use dekha. Woh apne cell par alarm set kar raha tha, uski taraf mutawajjah nahi tha. Woh soche samjhe bagair uski taraf aagayi. Bed ke qareeb aane par alarm set karte hue Salar ne chaunk kar use dekha. Woh kuch kahe bagair uske qareeb bed par baith gayi. Cell phone side table par rakhte huye woh hairaan hua tha. Woh pareshan thi, yeh poochhne ke liye ab use us se tasdeeq ki zarurat nahi thi balki uska chehra sab kuch bata raha tha. Woh pehle ki tarah ab bhi uski udasi ko Islamabad aane ka natija samjha tha. Lete lete Salar ne uska haath apne haath mein le liya. Woh uske haath ki grift mein apne haath ko dekhti rahi, phir usne nazrein utha kar Salar ko dekha.

"Tumhe mujhse shaadi nahi karni chahiye thi. Woh chand lamhon ke liye bhocka sa reh gaya tha.

"Phir kis se shaadi karni chahiye thi?" Woh hairaan hua.

"Kisi se bhi.. mere alawa kisi se bhi."

"Acha mashwara hai lekin der se mila hai." Usne baat mazaq mein udaane ki koshish ki. Imama ne haath chhura liya.

"Tum pachta rahe hona ab?" Woh uth kar baith gaya.

"Main kyun pachtaaunga? Woh sanjeeda ho gaya tha.

"Tumhe pata hoga." Usne uthne ki koshish ki to Salar ne use roka.

"Nahi, mujhe nahi pata, tum bata do." Woh waqai hairat zadah tha.

"Tumhara bhi dil chaahta hoga ki koi tumhe bhi kapde de, ta'haif de aur woh baat mukammal nahi kar saki." Uski awaaz pehle bharrayi, phir uski aankhon se aansu tapakne lage the. Woh hakka bakka uska chehra dekh raha tha. Jo baat uske wehem aur gumaan mein bhi nahi thi, woh uske liye ehsaas e jurm ban rahi thi.

"Mere Khudaya, Imama! Tum kya kya sochti rehti ho?" Woh waqai shash dar tha. Woh apni aankhon ko ragad kar saaf karne ki koshish karti hui buri tarah nakam ho rahi thi.

Aankhein aansu bahana jaanti hain, aansuon ko rokna nahi jaanti. "Bas tumhe mujhse shaadi nahi karni chahiye thi." Yeh usne aansu rokne aur aankhon ragadne ki jiddo o jehad mein kaha tha. Woh bahut dilbardashta thi. Baat tohfo ki nahi thi, subki us ehsaas ki thi jo lounge mein sab ke darmiyan baithte usne un chand ghanton mein mehsoos kiya tha. Salar ne jawab mein kuch kehne ke bajaye use gale laga kar tasalli dene wale andaaz mein thapka.

Use tasalli nahi hui, woh uska haath hataate hue uth kar chali gayi.

☆☆☆

Imama bibi! Aap itni aqalmand hain nahi, jitna main aap ko samajhta tha. Bohat saari cheezein hain, jin mein aap khaas hi hamaqat ka mazahira karti hain.

Agli subah gaon jaate hue driving ke doran woh be had sanjeedgi se usse keh raha tha. Woh samne sadak ko dekhti rahi. Use filhal khud ko aqalmand sabit karne mein koi dilchaspi nahi thi.

Kya ho jata hai tumhe baithe bithaye? Kyun is tarah ki ulte seedhe baatein sochti rehti ho?

"Tum yeh sab kuch nahi samajh sakte." Imama ne usi andaaz mein kaha. Haan, ho sakta hai lekin tum bhi yeh baat samajh lo ke kuch cheezein tum nahi badal sakti, tumhein unhein qubool karna hai.

Kiya toh hai?

"Toh phir itna rona kyun?"

"Sab ne mehsoos kiya hoga ki meri family ne.." usne ranjeeda hote hue baat adhoori chhod di. Tum se kisi ne kuch kaha?

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now