"Brain tumor kya hota hai?" Hameen ne dua ka aakhri lafz parhte hi Jabreel se poocha.. Jabreel ka rang ud gaya. Woh abhi kuch der pehle hi kamray mein aaya tha.
"Tum kyun pooch rahe ho?" Jabreel ko laga jaise Hameen ne woh sawaal us se jaan boojh kar kiya tha, yun jaise uski chori pakar li thi. Koi disease (bimari) hoti hai?" Woh Jabreel se poochhne ke bawajood andazah laga chuka tha.
"Tum kyun pooch rahe ho?" Jabreel ne ek baar phir uske sawaal ka jawaab dene ke bajaye apna sawaal dohraaya, lekin usne dil mein jaise dua ki thi ke use kuch pata na ho. "Hamari family mein kisi ko brain tumor hai," Hameen ne bilaakhir elan kiya. Jibreel ne Anaya aur Reisah ko dekha, woh dono so chuki thi.
"I think dada has got brain tumor, (mera khayal hai dada ko brain tumor hai.")
Usne Jabreel ke tabsere se pehle apna agla nateeja uske saath banta, "He told mummy and mummy got upset (Unhone Mummy ko bataya hai aur munmy upset ho gayi hain.)" Jibreel uska chehra dekh kar reh gaya. Toh uski maa tak bhi yeh khabar pohonch chuki thi, aur uske dada tak bhi aur poori family tak woh bacha soch raha tha.
"Is dada going to die?" (Kya dada marne wale hai) Hameen ne is baar lete lete be-had razdarana andaz mein Jabreel se poocha.
"Nahi," usne be-ihtiyar kaha. "I Thank God!, i love him so much." ( Thank god ,Mujhe unse bahut pyaar hain.") Hameen ne apne nanhe nanhe haath seene par rakh kar jaise sukoon ka saans liya.
"Tab theek hai."
"Hameen! Tum yeh baat kisi ko mat batao," Jibreel ne yak dam use tokka. "Dada ke brain tumor wali?" Woh mutajassas hua.
"Haan."
"Kyun?" Is kyun ka koi maqool jawab nahi tha lekin jawab ke baghair Hameen ko woh qail nahi kar sakta tha.
"Yeh Mummy ka secret hai, woh ise disclose nahi karna chahte hain." "Oh! Haan." Hameen ko fori tor par baat samajh mein aagayi.
"Dada ne Mummy ko yeh baat batayi toh woh upset ho gayi, ab tum kisi aur ko batoge toh woh bhi upset ho jayega." Jabreel jitne hifazati bandh baandh sakta tha, us waqt bandhne ki koshish kar raha tha. Woh nanna bacha maa baap ke is raaz ko raaz rakhne ke liye halqaan hota ja raha tha.
"Oh my God! Yeh toh main ne socha hi nahi tha." Hameen ko yak dam khayal aaya. Woh Jibreel ki baat na maan kar kitna bura kaam karne wala tha.
Jabreel ab sone ke liye let chuka tha.
"Logon ko upset karna gunah hai na?" Ek pur-asrar sargoshi uske baayein kaan mein ek baar phir goonji.
"Haan, yeh bahut bada gunah hai." Jibreel ne sargoshi mein hi andhere mein chamakne waali un aankhon ko daraya...
"Ahaan... Oh kay!"
Hameen ki awaaz mein is baar khauf tha aur woh seedha ho kar let gaya. Woh aaj kal har kaam aur baat ko ek hi paimane par judge karta tha, "kya woh sin (gunah) hai?
Jibreel kuch der isi tarah leta raha. Neend uski aankhon se koso door thi. Hameen ke kharaatein thodi hi der mein uske kaanon mein goonjne lage. Woh uske kharaaton se be-had chidta tha aur hamesha uski koshish hoti thi ke woh Hameen se pehle soye kyun ke agar woh pehle so jata to uske kharaaton ki awaaz se woh so nahi pata tha aur aaj woh jaan boojh kar uske neend mein jaane ka intezar karta raha, jab use yakeen ho gaya ke woh so chuka hai to woh badi ehtiyaat se bistar se utha aur dabe qadmon chal kar darwaza khol kar dobara lounge mein aagaya jis ki light ab off thi.
Jibreel ne lounge ki light jalaye bina computer on kiya aur dobara inhi medical websites ko dekhne laga jinhein woh Salar ke aane se pehle dekh raha tha.
Sarhay nao saal ki umar mein Muhammad Jabreel Sikandar ne pehli baar brain tumor ke bare mein pada tha... Neuron chology ke baare mein oligodendrogliomas ke bare mein.. Surgery ke bare mein... Uski har type ke bare mein...
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...