part 81

3.7K 92 96
                                    

"I met your ex-wife" (Main aap ki sabiqa biwi se mila tha) woh jumla nahi tha jaise ek boom tha jo usne Ahsan Saad par phora tha. Abdullah pichli raat wapas pahuncha tha aur agle din hospital mein us ki mulaqat Ahsan se hui thi. Usi tarah hashash bashash, ba ikhlaq, pur josh, Abdullah ke kaanon mein Anaya aur Jibreel ki awazein aur inkishaafat goonjne lage the. Usne Ahsan se mulaqat ka waqt manga tha jo badi khush dili se diya gaya tha. Woh dono ek hi appartment ki building mein rehte the. Ahsan ke waliden us ke saath rehte the, is liye woh mulaqat apne ghar par karna chahta tha, magar Ahsan us sham kuch masroof tha to Abdullah ko us hi ke appartment par jana pada, wahan us ki mulaqat Ahsan ke waliden se hui thi hamesha ki tarah ek rasmi hello hi.

Ahsan lounge mein bethe hi us se baat karna chahta tha, magar Abdullah ne us se alahedgi mein milna chaaha tha aur tab woh usay apne bedroom mein le aaya tha magar woh kuch uljha hua tha. Abdullah ka rawwaya kuch ajeeb tha, magar Ahsan Saad ki chatti hiss use isse bhi bure ishaare de rahi thi aur wo bilkil theek the.. Abdullah ne kamre ke andar aate hi guftagu ka aghaz is jumle se kiya tha aur Ahsan Saad ka lehja andaz aur ta'asurat palak jhapakte mein badle the..Abdullah ne zindagi mein pehli baar uski yeh awaz suni thi..wo lehja behad khushk aur sard tha..karakht behtar lafz tha use bayaan karne ke liye aur uske maathe par bal aagaye the..ankhon mein khaa jane wali nafrat..bheenche hue honthon ke saath usne Abdullah se kaha, "Kyun?"

Abdullah ne be had mukhtasir alfaaz mein use bataya tha ke Anaya ne us se kaha tha ke Jibreel us ki shadi Abdullah se nahi karna chahta aur us ke inkaar ki wajah Ahsan Saad se us ka qareebi talluq hai. Usne Ahsan Saad ko bataya ke Anaya aur Jibreel dono ne us par sangin ilzamat lagaye the aur use Aisha Abidin se milne ke liye kaha jo us ke liye zaroori ho gaya tha. "To tum ne un par aitbaar kiya. Apne ustad par nahi aur tum mujh se baat ya mashwara kiye baghair us kutyan se milne chale gaye aur tum dawa karte ho ke tum ne mujh se sab kuch seekh liya."

Ahsan ne us ki guftagu ke darmiyan hi us ki baat be had khushmagin lehje mein kati thi Abdullah waise bhi baat karne ke qabil nahi raha tha. Usne Ahsan Saad ki zubaan se abhi abhi ek gali suni thi Aisha Abidin ke liye... Woh gali us ke liye shocking nahi thi, Ahsan Saad ki zubaan se us ka nikalna shocking tha, magar wo shaam Abdullah ke liye akhri shock laane wali nahi thi..wo jis but ki parastish kar raha tha, woh wahan us but ko aundhe mu girte dekhne aaya tha..

"Aur tumhein koi haq nahi tha ke tum meri sabiqa biwi se milte. Mere bare mein is tarah investigation karte..tum us ke paas pahunchay jis ne mere bare mein tum se jhoot par jhoot bola hoga."

Ahsan Saad ke jumlon mein ab Aisha ke liye galiyan rawani se arahi thi jaise woh use mukhatib karne ke liye rozmarra ke alqabat the. Woh gusse ki shiddat se be qabu ho raha tha. Aisha ki nafrat us ke liye
sambhalna mushkil ho rahi thi ya apna saalon ka banaya hua image maskh hone ki takleef ne use buri tarah uljha diya tha, Abdullah samajhne se qasir tha.

"Woh dikhane beth gayi hogi tumhein court ke kaghazat ke, yeh dekho court mere shohar ko jhoota keh rahi hai. Court ne mujh par maar peet ke ilzamat ko mana hai. Court ne Ahsan Saad ko doosri shadi karne ke liye use dho ke baaz kaha hai aur is liye us ... aurat ke talaaq ke mutalbe ko jaiz qarar dete hue use talaaq dilwadi aur bachay ki custody bhi."

Woh bolta hi ja raha tha aur Abdullah sakhit sirf use sun raha tha. Woh saare inkishaafat jin ko sunne ke liye Jibreel ne use Aisha ke paas bheja tha, woh ilzaamat woh khud Ahsan Saad se sun raha tha. "Main is mulk ke courts ko do take ka nahi samajhta, yeh kaafiron ki adalatein hain, Islam ko kya samjhti ho gi, woh yeh faislay deti hain jo Shariat ke khilaaf hain. Mera mazhab haq deta hai mujhe doosri shaadi ka kisi bhi wajah ke baghair, toh court kaun hoti hai mujhe is amal par dho ke baaz kehne wali, mujhe haq hai ke main ek na farmaan biwi ko maar peet se raah e raast par laaun. Court kisi haq ke tehath mujhe is se rok sakti hai? Main mard hoon, mujhe mere deen ne aurat par bartari di hai, court kaise mujhe majboor kar sakti hai ke main apni biwi ko barabari doon. In hi cheezon ki wajah se toh tumhara muashra tabah ho ga, be hayaai, uraiani, munh zorii, mard ki na farmaani... yehi cheezein toh le doobi hain tumhari aurton ko aur tumhari courts kehti hain, hum bhi be ghairat ho jayenge aur un auraton ko basayein aur un ke peechay kutte ki tarah dum hilaate phirein." Woh shakhs kaun tha?

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now