part10

4.7K 140 5
                                    

Woh takreeban sawa nau baje ke qareeb aaya aur doorbell ki awaaz par woh be ikhtiyar nervous ho gayi thi. Na chahte hue bhi wo Salar ki family ke radd e amal se khaif thi. Ek hamsaye ke tor par bhi dono families ke darmiyan be hud rasmi ta'aluqat the aur baad mein hone wale waqiat ne toh yeh family bhi khatam kar di thi. Use kai saal pehle Sikandar Usman se phone par hone wali guftagu yaad thi aur shayad uske khadshaat ki wajah bhi wahi call thi.

Behruni darwaza kholte hue use ehsas hua ki uske haath bhi kanp rahe hain. Sikandar Usman samet teenon afrad use badi garam joshi ke saath mile the. Woh unke rawaiyon mein jis rukhe pan aur khufgi pan ko dhoondh rahi thi, woh fori taur par use nazar nahi aayi.. Imama ki nervousness mein kuch kami aayi.. Furqan ke ghar dinner ke doraan uski yeh nervousness aur bhi kam hui.

Anita aur Tayyaba dono bade dostana andaaz mein Noshin aur usse baatein karti rahi. Noshin aur Furqan, Salar ke walaidain se pehle bhi mil chuke thay lekin Noshin, Anita se pehli baar mil rahi thi aur dono ka mozu e guftagu unke bacche the..wo behad pur sukoon andaz mein ek khaamosh saameh ki tarah unlogo ki baatein sunti rahi..Wo nahi chahti thi ke Furqan ke ghar mein uski shadi ya uski zaat mauzu e guftagu bane..apne appartment mein wapasi ke baad pehli baar Sikandar aur Tayabba ne sitting room mein bethe usse baat ki..aur ab Imama ne unki lehje mein chupi is tashweesh ko mehsus kiya jo Imama ki family ke mutawake ke radd e amal se unhe thi..uska ehtemad ek baar phir gayab ho gaya..Agarche unhone khule aam Imama ke samne Hashim Mubeen ya unke khandan ke hawale se koi baat nahi ki...lekin wo log ab walime ka function Islamabad ke bajaye Lahore mein munaqqit karna chahte the..Wo Salar ki raay sunna chahti thi...lekin wo guftagu ke dauran khamosh raha..jab guftagu ke dauran khaamoshi ke waqfo ki ta'adad badhne lagi toh yakdum Imama ko ehsas hua ki guftagu mein aane wali is berabdi ki wajah wo thi..wo chaaro uski wajah se khulkar baat nahi kar parahe the.."Bilkul beta tum sojao,tumhe sehri ke liye uthna hoga..humlog toh abhi kuch der bethege" uske nind aane ke bahane par Sikandar Usman ne foran kaha tha, Woh uth kar kamre mein aagayi..Neend aana bahut mushkil thi. Do din pehle jin khadshaat ke baare mein usne socha bhi nahi tha, ab woh unke baare mein sochne lagi thi.

Use andaaza tha ki Sikandar Usman un dono ki shaadi ko khufia hi rakhna chahte hain taaki uski family ko uske baare mein pata na chale. Woh bohat der tak apne bed par baithi in khadshaat aur khatraat ke baare mein sochti rahi jo unhe mehsoos ho rahe the. Is waqt wahan akele baithe pehli baar socha ki usse shaadi karke Salar ne kitna bada khatra mol liya tha. Jo bhi us se shaadi karta, woh kisi na kisi hud tak khud ko ghair mahfooz zaroor kar leta lekin Salar Sikandar ki soorat mein soorat e haal is liye zyada kharab hoti kyun ke us ke sath is rishte ka inkishaaf hone ke chances zyada the. Woh zyada se zyada kya kar sakte the.. Usne socha, "Mujhe ya Salar ko jaan se toh kabhi nahi maarenge." Use ab bhi andha ehtemad tha ki kahi na kahi uski family itna lehaz zarur karegi. Zyada se zyada yehi hoga ki woh mujhe zabardasti apne saath le jaane ki koshish karenge aur phir Salar se talaaq dilwa kar kahin aur shaadi karna chahein ge.

Uske isterab mein yakdum mazeed izafah hua. Sab kuch shayad itna seedha nahi tha jitna woh samajh rahi thi ya samajhne ki koshish kar rahi thi. Yeh apni marzi se kahin shaadi karne ka masla nahi tha, yeh mazhab mein tabdili ka mamla tha. Use apne pet mein ghireh padti mehsus hui, woh wapas bed par aakar beth gayi. Us waqt pehli baar Salar se shaadi karna use ek galati lagi. Woh ek bar phir usi khai ke kinare aakar khadi ho gayi thi jisse wo itne saalon se bachti phir rahi thi...

☆☆☆

Neend mein woh uske haathon mein rassiyan baandh kar use kheench rahe the. Rassiyan itni sakhti se baandhi hui thi ke uski kalayion se khoon bichne laga tha,aur unke har jhatke ke sath wo dard ki shiddat se be ikhteyar chillati..Woh kisi bazaar mein logon ki bheed ke darmiyan kisi qaidi ki tarah le jaye ja rahi thi. Dono ehtaraf mein khade hue log buland awaaz mein qahqahe lagate huye us par awazein kas rahe the. Phir un logon mein se ek mard ne jo us ki kalaiyon mein bandhi rassiyon ko kheench raha tha. Puri quwwat se woh rassi ko jhatka diya. Woh ghutnon ke bal us patthrile  raaste par giri.

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now