"Reisah tum so kyun nahi rahi?" Anaya ne use ek kitaab khole study table par baithte dekh kar poocha tha. "Main woh alfaz dekhna chahti hoon aur yaad karna chahti hoon jo mujhe nahi aate" usne muday baghair, Anaya ki taraf dekhe jawab diya. Anaya usay dekh kar ruk gayi.
Unhein abhi ghar waapas aaye ek ghanta hi hua hoga aur woh ek baar phir se kitaab le kar baith gayi thi. Woh Anaya ke kamray mein hi soti thi aur Jibreel ke ghar se jaane ke baad studies mein help ki bunyadi zimmedari ab Anaya par hi aa gayi thi.
"Tumne pehle hi bahut mehnat ki hai Reisah! Yeh sirf tumhari badqismati thi" Anaya ko andaaza nahi hua, woh usay tasalli dene ke liye jin alfaz ka intikhab kar rahi thi woh bade ghalat thay. Woh alfaz Reisah ke dimaag mein jaise khub gaye thay.
"Ab so jao. There's always a next time" Anaya ne kisi bade ki tarah uski pushth ko thapka tha.
"Main nahi so sakti" madham awaaz mein Reisah ne jaise Anaya se kaha. Woh abhi tak waise hi baithi thi, Anaya ki taraf pusht kiye. Kitaab study table par khol kar tikaye, jahan ek page par woh lafz chamak raha tha jis ke hijje naa karne ke wajah se woh muqable se out hui thi.
Anaya ko yun laga jaise Reisah ki awaaz bharaayi hui thi. Use laga usay ghalat fehmi hui hai, lekin woh ghalat nahi thi. Reisah ne kitaab band karke table par rakhi aur wahan se uth kar woh bistar par aayi aur ondhe munh let kar usne bilak bilak kar rona shuru kar diya.
"Reisah Reisah please" Anaya khud bhi ruhasi ho gayi thi ab ro mat. Reisah chhoti chhoti baaton par rone wali bachchi nahi thi aur woh muqable mein haarnay ke baad stage se hatne par bhi dosron ki tarah nahi royi thi. Phir ab is waqt... use yeh andaaza nahi tha ke Reisah apne bad qismat hone par ro rahi thi.
"Tum kya kar rahe ho is waqt?" Imama lounge mein hone wali khar kharahaton ko sun kar raat ke us waqt bahar nikal aayi thi. Woh is waqt tahajjud ke liye uthi thi.
Jibreel is week end par ghar aaya hua tha aur kayi baar woh bhi raat ke is pehar parhne ke liye jagta aur phir kuchh na kuch khane ke liye kitchen jaata magar is baar uska saamna Hameen se hua tha..wo kitchen counter ke saamne pade ek stool par baitha sleeping suit mein malbus, ice cream ka ek liter wala can khol ke is mein se ice cream kha raha tha.
Imama ko sawaal karne ke saath hi jawab mil gaya tha aur usne uske kuchh kehne se pehle hi be had khufgi ke aalam mein counter ke samne aate hue usse kaha.
"Hameen! Yeh waqt hai ice cream khane aur woh bhi is tarah" uska ishaara uske can ke andar hi ice cream khane ki taraf tha.
"Maine sirf ek scoop khaui thi" woh maa ke yakdam namoodar hone aur apne is tarah pakde jaane par gad badaya tha.
"Lekin yeh khane ka koi waqt nahi hai" Imama ne uske haath se chheech liya aur dhakkan se can band karne lagi.
"Abhi toh waqai ek chamacch hi khayi hai maine" woh be ikhtiyar keh raha tha.
"Dant saaf kar ke sona" Imama ne uske jumle ko nazar andaz karte hue can ko wapas freezer mein rakh diya. Hameen jaise ehtijajaan isi andaz mein stool par baitha raha.
"Ek toh main aaj haara aur maine apna title kho diya. Doosra aap mujhe ice cream ke do scoops tak nahi lene de rahe" usne jaise maa se ehtijajan kaha.
Woh chand lamhon ke liye counter ke doosri taraf khadi uski aankhon mein aankhein daale usay dekhti rahi, phir usne madham awaaz mein kaha. "Title tumne apni marzi se khoya hai, tumhari apni choice thi yeh.." Hameen ko jaise current laga tha. Woh maa ko dekhta raha, phir usne kaha.
"Aap ko kisne bataaya yeh?"
"Tumhaare liye yeh jaanna zaroori nahi hai" Imama ne kaha. "Alright... mujhe pata hai" usne maa se nazrein milaye baghair kaha.
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...