Sarhay teen crore ka woh cheque dekh kar kuch der ke liye hil nahi saka tha. Woh lifafa Imama ne kuch der pehle usay de diya tha aur woh us waqt phone par kisi se baat kar raha tha aur lifafa kholte hue usne Imama se poocha tha. "Is mein kya hai?" Sawal ka jawab milne se pehle uske naam kaata gaya woh cheque uske haath mein aagaya tha.
Salar ne sar utha kar Imama ko dekha. Woh chai ke do cup center table par rakhte sofa par bethe, un se uthti bhaap ko dekhti rahi thi. Kuch kahe baghair woh uske qareeb baith gaya.
"Main chahti hoon tum yeh raqam le lo. Apne paas rakh lo ya SIF mein invest kar do," Salar ke paas baithne par usne chai ka mug uthate hue kaha. "Tumne woh anguthi bech di?" Salar ne besakhta poocha. Woh ek lamha ke liye bol nahi saki, phir madham awaaz mein sar jhuka kar boli, "Meri thi, bech sakti thi."
"Bechnay ke liye tumhein nahi di thi." Woh khafa tha ya shayad ranjeeda. "Tum cheezon ki qadar nahi karti." Woh kahe baghair nahin reh saka.Chai ka ghont lete hue Imama ne sar hilaaya.
"Theek kehte ho. Main cheezon ki qadar nahi karti. Insaanon ki karti hoon" Imama ne kaha.
"Insaanon ki bhi nahi karti. " Salar khafa tha.
"sirf tumhari nahi ki, shayad isi liye saza mili," Nami aankhon mein aayi thi. Awaaz ke saath haath bhi kapkapaaya. Khamoshi aayi, ruki, tooti.
"Tum bewakoof ho." Woh ab khafa nahi tha. Usne woh cheque lifafa mein daal kar isi tarah mez par rakh diya tha. "Thi." Imama ne kaha.
"Ab bhi ho," Salar ne israar kiya.
"aqalmandi ka karna kya hai maine ab?" Usne jawaaban poocha.
"Yeh raqam ab apne paas rakhho. Bohat si cheezon ke liye zaroorat padegi tumhein." Uske sawaal ka jawaab dene ke bajaay usne kaha tha, "Mere paas hai kafi raqam. Account khaali toh nahi hai. Bas main chahti thi main SIF mein contribute karoon." Woh keh rahi thi.
"Zevar bech kar contribute nahi karwana chahta main tum se. Tum sirf dua karo iske liye, Zevar se sirf paisa mil sakta hai." Usne jumla adhoora chhod diya tha. Baat poori pahunchayi gayi thi. Salar ne chai ka mug utha liya. "Main waise bhi zevar nahi pehanti. Saloon se locker main pada hain. Soch rahi thi woh bhi..." Salar ne uski baat mukammal hone nahi di, behad sakhti se us se kaha, "Tum is zevar ko kuch nahi karogi. Woh bachon ke liye rakha rahne do. Main kuch nahi loonga ab tum se." Woh khamosh ho gayi. Chai ke do ghoont lene ke baad Salar ne mug rakh diya aur uski taraf mud kar jaise kuch bebas se kaha.
"Kyun kar rahi ho yeh sab kuch?" Kuch kahe baghair uske baazu par maatha tikaye hue usne haath uske gird lapet diye. Woh pehla mauqa tha jab Salar ko ehsaas hua ke uske operation ki taareekh jaise-jaise qareeb aarahi thi, woh us se zyada hawas bakhta mahvri thi. Hawas bakhta shayad ek bohot chhota lafz tha Imama ki pareshani, isterab, andeshon aur wahmo ko bayan karne ke liye woh bhi pareshan tha lekin Imama ki hawas bakhtagi ne jaise use apni pareshani bhula di thi.
"Tum mere saath mat aao Imama! Yahi raho, bachon ke paas" Salar ne ek baar phir usse kaha. Woh uske saath surgery ke liye America jaana chahti thi aur Salar ki khwahish thi, woh na jaaye. Uski zid ke aage usne hathiyar to daal diye the lekin ab use iss tarah pareshan dekh kar usay khayal aaraha tha ke use wahan uske saath nahi hona chahiye, woh wahan kisi buri aur ghair mutawaqqa soorat-e-haal ka samna kaise karegi. "Bachay abhi bohot chhote hain. Unko akela chhod kar tum mere saath kaise rahogi? Woh pareshan ho jayenge." Woh usay ab ek naya uzr de raha tha.
"Nahi honge. Main ne inhein samjha diya hai.Woh tass se mass nahi hui, Waha Furqan hoga mere saath papa honge" "tumhe yaha rehna chahiye baccho ke paas" Salar ne dobara israar kiya.
"Tumhein meri zarurat nahi hai?" Woh khafa huyi.
"Hamesha" Salar ne uska sar honthon se chhua...
"Hamesha" uske kandhe se lage zindagi mein pehli baar Imama ne is lafz ke bare mein pehli baar socha tha. Wo jhoota tha.
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...