"Tum ne us se kya kaha hai ke us ne mujh se baat karna chhod di?" Hasham se mulaqat ke kayi din baad tak bhi is mulaqat ke hawale se koi taaza khabar na milne aur Hasham ki taraf se ho jaane wali pur israr khamoshi ne Reisah ko fikarmand kiya aur woh Hameen se poochhe baghair nahi reh saki. "Us ne tumhara peecha kyun chhod diya? Ye to acha hai, tum yahi to chahti thi na." Us ne sanjeedgi se kaha tha. Reisah ko jawab nahi soojha. Woh us ki university aya hua tha.
"Theek hai, magar tum ne us se kya kaha?" Reisah ne kuch bujhe hue andaz mein Hameen se kaha tha. Woh us ke liye burger laya tha aur apna raaste mein hi khaata aaya tha. Ab us ke paas sirf ek tukda reh gaya tha jise woh bade be dhangay pan se nigal raha tha. Reisah ne apna burger nikaal kar khaana shuru kar diya, use pata tha woh apna khatam karne ke baad us ka burger bhi khaana shuru kar deta.
"Main ne us se kaha, agar main tumhari jagah hota to badshahat chhod deta." Us ne aakhri tukda nigalte hue kaha aur Reisah ki bhook marr gayi thi. Kya ulta mashwara tha. Us ne dil hi dil mein socha tha.
"Lekin main ne us se sirf yeh nahi kaha tha." Hameen ab apni ungliyaan chaat raha tha. Phir us ne Reisah se bade itminan se kaha, "Tumhari bhook to marr gayi hogi, meri abhi uthi hai. Tum ne nahi khaana to main yeh baaqi bhi khaaluga" Reisah ne khamoshi se usay burger thama diya. Us ki bhook waqai marr gayi thi.
"Main ne usay yeh bhi kaha ke woh wali-e-ahd ke liye munasib umeedwar hai hi nahi. Na ehliyat rakhta hai, na salahiyat... aur yeh shaadi ho ya na ho. Jald ya badir woh waise bhi wali-e-ahd ke ahde se maazul kar diya jayega. Is liye us ke paas do raaste hain ya to apni pasand ki larki se shaadi kare aur wali-e-ahd ka ahdeh abhi chhod de ya phir baadshahat ke khwab dekhte rehne mein mohabbat bhi ganwaaye aur takhat bhi." Hameen ne bade itminan se usay guftagu ka baqi hissa sunaya tha.
"Tum ne yeh sab kaha us se, is tarah." Reisah ko shadeed sadma hua. "Nahi, aise nahi kaha tum ne to main muhazab andaz mein bata raha hoon, use to main ne saaf saaf kaha ke zyada se zyada teen mahine hain aur is ke paas teen mahine mein woh maazul na hua to phir Reisah se doosri shaadi kar lena." Woh daant par daant rakhe Hameen Sikandar ko dekhti reh gayi. Is guftagu ke baad agar Hasham bin Sabah ne usay apni zindagi se nikal diya tha to koi bhi khuddar shakhs yeh hi karta.
"Sabah bin Jarrah ke khilaaf shahi khandaan ke andar shadeed lobbing ho rahi hai aur Sabah bin Jarrah apni position mazboot karne ke liye purane ameer ki family mein shaadi karwana chahta hai. Hasham ki... aur yeh ho bhi gayi tab bhi woh bohot der tak takht par nahi reh sakta, us ke hareef bahut taqatwar log hain aur Sabah se zyada behtar hukmuran ho sakte hain. Agar Sabah hat jata hai to phir Hasham ko kaun rehne dega wahan. Main ne Hasham ko yeh sab nahi bataya tumhein bata raha hoon." Us ne burger khatam karte hue haath jhade aur Reisah se kaha. "Tum finance kar rahe ho us ke hareefon ko?" Usay Reisah se jis aakhri sawal ki tawaqqo thi woh yehi tha.
"Donon ek doosre ki aankhon mein aankhein daal kar dekhte rahe, phir Hameen ne kaha. "Main sirf business kar raha hoon. America mein Sabah ke saath Bahrain mein us ke mukhalifin ke saath." Us ne bil akhir kaha. "Woh gol-mol eteraf tha. "Kyun kar rahe ho?" Reisah ne jawaban us se zyada teekhe andaz mein us se kaha. Woh us ka chehra dekhta raha, phir us ne kaha. "Apni family ke liye." Reisah ki aankhein aansuon se bhar gayi thi.
"Mujhe khairat mein mili hui mohabbat nahi chahiye." Us ne bharayi hui awaaz mein kaha.
"Woh tumhare liye mere andaazay se zyada mukhlis hai. Na hota to main tumhein bata deta. Woh tumhare liye badshahat chhod de ga." Hameen ne dotok andaz mein us se kaha. Woh us ka chehra dekhti reh gayi..
☆☆☆
Anaya ne apne hospital ki parking mein daakhil hotay hue Abdullah ki call apne phone par dekhi. Ek lamha ke liye woh uljhi, phir usne us ki call receive ki. "Mil sakte hain?" Usne salaam dua ke baad pehla jumla kaha. Woh ek lamha khamosh rahi. "Tum yahan ho?" Usne poocha. "Tumhari gaadi ke peeche hi hai meri gaadi." Anaya ne be ikhtiyar back view mirror se aqab mein Abdullah ki gaadi ko dekha jo usay light se ishaara kar raha tha. Das minute baad parking mein gaadi khadi karte hue woh us ki gaadi mein aaya tha. Us ke haath mein ek phool ke saath do shakhain thi. Anaya ne kuch kahay baghair usay dekha, phir woh thaam len. Woh phone par pehle hi Ahsan aur Ayesha ke saath hone wali mulaqaton ke baare mein usay bata chuka tha.
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...