part36

5.3K 201 17
                                    

Usne Salar se aakhri khutbah ke bare mein ek din pehle bhi poocha tha, tab woh Jabl e al-Rahmat par khade the.

"Tumhein aakhri khutbah kyun yaad aagaya?" Salar ne kuch hairan ho kar use dekha. Woh dono bhi kuch der pehle Jabl e-Rahmat par nawafil ada kar ke farigh hue the.

"Yehi par aakhri Haj ke ijtima se khitaab kiya tha na unhone? "Woh Jabl e Rahmat ki choti ke daman ko dekh rahi thi.

"Haan," Salar ne uski nazron ka taaqub karte huye neeche jhanka. Un dono ke kapre ab hawa se phad phada rahe the. Woh dupehar ka waqt tha. Tez dhoop aur loo jaisi hawa ke thapedo mein woh us se khoon jama dene wale sawaal karne wali thi.

" tumhein unka khutba yaad hai?" Imama ne us se poocha. "Saara to nahi." Salar yaad karne ki koshish karte huye atka. "Bas chand ahkamaat yaad honge."..Usne baat mukammal ki thi. "Jaise?" Imama ne madham awaaz mein dil gurda nikal dene wali be rahmi ke saath uski aankhon mein aankhein daal kar poocha tha. Salar uski nazron se nazrein hata nahi saka. Woh badi nazuk jagah par khada kar ke us se uski zindagi ka mushkil tareen sawaal poochh rahi thi aur sawaal ka jawab... unke darmiyan ane wali khamoshi ke waqfe mein bhi tha.

"Mujhe poora yaad hai aur aaj yahan khadi hoon to aur bhi yaad aa raha hai. Main soch rahi hoon, aakhir Nabi Kareem صلى الله عليه وسلم ne woh khutba yahin kyun diya tha. Is pahaad ke daman mein khade hokar ke jis par Hazrat Adam عليه السلام aur Hazrat Hawwa ( رضي الله تعالى عنه) 40 saal ke baad aapas mein milye aur bakshaye gaye. Woh ab kuch sochne wale andaz mein bol rahi thi.

Shayad is liye kyun ke duniya ka aghaz unhi do insano se hua aur deen mukammal hone ka elaan bhi isi maidan mein hua, aur isi maidan mein ek din duniya ka khatma hoga. Salar luqma diye baghair nahi reh saka.

Imama hans padi thi.

"Tum hansi kyun? Salar uljha.

"Tum to keh rahe the ke tum ko woh chand ahkamaat bhi yaad nahi. Ab yeh kaise yaad aagaya ke Nabi Kareem صلى الله عليه وسلم ne is maidan mein deen mukammal hone ka elaan kiya tha."

Salar la jawab hua tha. Is se pehle ke woh Imama ko koi tawzu dhoondh kar pesh karta, usne isi pur soch andaz mein us se kaha.

"Mujhe lagta hai, woh aakhri khutba duniya ke har insaan ke liye tha. Hum sab ke liye aaj ke Adam aur Hawwa ke liye agar woh sare ahkamaat jo us aakhri khutba ka hissa the, hum sab ne apnaye hote ya apna le to duniya is be sukooni aur bigaad ka shikaar nahi hoti. Jahan hum aaj khade hain. Agar woh Nabi e Kareem صلى الله عليه وسلم ki apni ummat ke liye aakhri wasiyat thi to hum bohot bad qismat hain ki unki sunnat to ek taraf, unki wasiyat tak hume yaad nahi..amal karna toh bohot door ki baat hai" Woh kuch jazbaati andaz mein bolti gayi thi, aur Salar ko pata tha yeh guftagu kahan ja rahi thi. Woh aurat saade nau saal pehle bhi uske pairon ke neeche se zameen nikaal sakti thi aur tab bhi nikaal rahi thi. Tumko sood ke baare mein Nabi e Kareem صلى الله عليه وسلم ke ahkamaat pata hai na us aakhri khutbe ke?" Woh talwar uski gardan par aa giri thi, jisse woh ab tak bachne ki koshish karta aaya tha. Woh kis jagah par khadi us se kya poochh rahi thi. Aisi nadamat to kabhi Khana Kaaba mein Allah ke samne khada ho kar use nahi hui thi, jitni us waqt Jabl e Rahmat par khadi ho kar use hui thi, jahan Nabi e Kareem صلى الله عليه وسلم ne sood ke baare mein ahkamaat diye the. Salar ko chand lamhon ke liye laga jaise Jabl e Rahmat par pade har patthar ne us par laanat bheji thi. Paseena mathe par nahi, pairon ke talwon tak aaya tha. Use lagta tha woh Nabi e Kareem صلى الله عليه وسلم ke samne khada tha aur bas woh the jin ki nazron mein us ke liye malamat nahi afsos tha. Phir wahan theher nahi saka, sar jhukaye tez qadmon se Imama ka intezar kiye baghair Jabl e Rahmat se utarta chala gaya. Woh Rahmat ka haqdaar nahi tha to Jabl e Rahmat par kaise khada ho pata. Use neeche utar kar mehsoos hua tha. Aur aaj Imama ne woh sawaal Haram mein kar diya tha. Salar ne us se is baar yeh nahi poocha tha ke woh us se kya maange gi. Usne iske bilmuqabil khada hokar uski aankhon mein aankhen daal kar Haram ke sahn se nikalne se pehle Imama se kaha tha, 'Main sood jab bhi chhodoonga, tumhare liye nahi chhodoonga. Nabi Paak صلى الله عليه وسلم ke liye chhodoonga.' Imama ne uske elaan ko suna aur phir badi thandi awaaz mein kaha, 'To phir un ke liye chhod do.' Salar hil nahi saka. Yeh aurat uski zindagi mein pata nahi kis liye aayi ya laayi gayi thi. Usko economics aur hisaab ke har sawaal ka jawab aata tha. Siwaye is ek jawab ke. 'Tum to Hafiz e Quran ho Salar... Phir bhi itni badi khilaf arzi kar rahe ho, Quran e Pak aur Allah ke ahkamaat ki.' Imama ne uske saath Haram se bahar jaate huye kaha, 'Tum janti ho tum investment banking karwa raha hu logon ko aur...' Imama ne Salar ki baat kaat di. 'Tumko yaqeen hai ke tum investment banking mein jo bhi kar rahe ho, usme sood ka zarah bhi shamil nahi hai?' Salar kuch der bol nahi saka, phir usne kaha.

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now