part32

4.3K 138 63
                                    

Us din woh poora rasta Dr. Sahab ki baaton ke baare mein sochti rahi. Unhone use kabhi naseehatein nahi ki thi. Yeh pehla mauqa tha ke is tarah ki baatein ki thi. Koi na koi ghalati unhone uski bhi mehsoos ki thi ke is tarah use samjhane lage the. Woh khana pakate hue bhi unki baaton ke baare mein sochti rahi. "Tum Dr. Sahab ke paas gayi thi?" Salar ne shaam ko ghar aate hi us se sawaal kiya.

"Haan, tumhein kaise pata chala?" Woh khaane ke bartan table par laga rahi thi.

"Unhone mujhe phone kiya tha." Woh gardan se tie nikalte hue bola.

"Ohh.. kuch kaha unhone tumse?" Usne Salar ka chehra ghaur se dekhte hue poocha.

"Nahi bas waise hi kuch der baatein karte rahe." Imama ko mehsoos hua woh usse kuch kehna chahta tha. Hamesha ki tarah kapde tabdeel karne ke liye bed room mein jaane ke bajaye, tie nikal kar be maqsad kitchen counter ke saath tek lagaye khada, dish mein pada salad khaane laga.

"Aaj kya hai khane mein?" Shaadi ke itne mahino mein, aaj pehli dafa usne yeh sawaal kiya tha.

Imama ne use bataya lekin woh hairaan hui thi.

"Aur sweet dish?" Yeh sawaal pehle se bhi zyada achambe wala tha. Woh meethay ka shauqeen nahi tha. "Kal Chinese banana." Woh ek baar phir uska chehra dekh kar hairaan reh gayi. Woh khane ke muamlay mein farmaishe karne ka kahan aadi tha.

"Kal bhi Chinese tha." Fridge se paani ki bottle nikalte hue, usne saada lehje mein Salar ko yaad dilaya. W gadbada gaya..

"Haan, kal bhi Chinese tha koi baat nahi, kal phir Chinese sahi." "I mean is mein koi harj nahi." Imama ne sirf sar hila diya.

Woh ab fridge se chapatiyan banane ke liye aata nikal rahi thi.

"Aqua Blue color tum par acha lagta hai." Woh fridge ka darwaza kholte jaise current khaa kar palti thi. Usne be had hairat se Salar ko dekha.

"Aa...aa.."Aqua Blue nahi hai yeh?" Uski aankhon ke ta'asur ne use gad bada diya tha.

"Salar, tumhare saath kya masla hai?" Imama ne kaha.

"Kyun kya hua? Mujhe laga yeh Aqua Blue hai.".. "Yeh Aqua Blue hi hai, is liye to poochh rahi hoon ke masla kya hai?" Woh uski baat par bay ikhtiyar hans pada. Phir kuch kahe baghair woh aage barha aur use saath laga liya.

"Just wanted to thank you." .."Sirf tumhara shukriya ada karna chahta tha".Imama ne use kehte suna.

Woh jaanti thi ke woh kis cheez ke liye shukriya ada kar raha tha.

"And I am really, really sorry... I mean it."

Wo ab dobara maazrat kar raha tha.

"I know", usne madham awaaz mein kaha.

'I love you.'...Imama ka dil bhar aaya..

Unki shadi shuda zindagi mein sirf pichle das din aise the jis mein usne ek baar bhi Salar se yeh jumla nahi suna tha. Pehle Doctor Sibt e Ali ke ghar par hone ki wajah se dono ke darmiyan rabta nahi tha, aur baad mein shayad Salar us se yeh kehne ki himmat nahi kar pa raha tha. Woh agar us se phone par yeh nahi keh paata tha toh phir SMS par kuch na kuch likh kar bhejta rehta tha.

"Dear..Honey..Darling..Sweetheart..Women..Wife..Better half..Missing..Waiting...Best..You..Yours...Mine.. Beauty...Friend..Partner...Mrs...Thinking..Hoping..

"Wo ek lafzi SMS shuru mein use buri tarah jhunjhla dete the.

"Mujhe kya pata tum kya chahte ho? Pura jumla kyun nahi likh sakte tum? Yaqeenan koi client hota hoga tumhare paas, aur tum waqt bachane ke liye aise messages bhejte ho.".. "Agar client ke samne beth kar Missing likh sakta hoon toh Missing You bhi likh sakta hoon,"..usne kaha..

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now