part19

4.4K 119 23
                                    

Woh agle do teen din tak Islamabad ki Trans mein hi rahi... Woh wahan jaane se jitni khofzada thi, ab woh khof yak dam khatam hota hua mehsoos ho raha tha aur us ka hatmi natija yeh nikla tha ke woh ab Islamabad ke agle dore ki muntazir thi. Us guest room ki khidki mein khade sara din kis ko kis waqt dekha tha, woh agle do teen din Salar ko bhi batati rahi aur teesre din uski taan ek jumlay par aakar tooti thi.

"Salar! Hum Islamabad mein nahi reh sakte?"

Salar bed par baitha laptop god mein rakhe kuch emails karne mein masroof tha, jab Imama ne is se poocha. Woh pichle aadhe ghante se usse sirf Islamabad ki hi baatein kar rahi thi aur Salar be had tahammul se uski baatein sun raha tha aur uska jawab bhi de raha tha.

"Nahi. Apne kaam mein masroof Salar ne kaha."

"Kyun?"

"Kyunki meri job yahan hai."

"Tum job badal lo."

"Nahi badal sakta."Woh chand lamhe khamosh rahi phir usne kaha.

"Main Islamabad mein nahi reh sakti?"

Is baar Salar ne bilaakhir uski screen se nazar hata kar use dekha. "Is baat ka kya matlab hai?" Usne be had sanjeedgi se us se poocha.

"Mera matlab hai ke main wahan reh loon gi, tum weekend par aajaya karna."Ek lamhe ke liye Salar ko laga ke woh mazaq kar rahi hai lekin woh mazaq nahi tha.

"Main har weekend par Islamabad nahi ja sakta," usne be had tahammul se use bataya. Woh kuch der khamosh rahi..

Salar laptop ki taraf mutawajjeh hogaya..

"Toh tum mahine mein ek dafa aajaya karo."

Woh iske jumlay se zyada uske itminan par thatka tha.
"Baaz dafa main mahine mein ek bar bhi nahi aa sakta," usne kaha.

"Toh koi baat nahi,"

"Yani tumhein farq nahi parta?" woh e-mails karna bhool gaya tha.

Maine yeh to nahi kaha," Imama ne be-sakhta kaha. Usay andaza bhi nahi tha ke woh uske ehsasat ko itni saafai se kaam dega.

"Papa aur mummy akele hote hain wahan" Salar ne uski baat ki. Woh waha akele nahi hote. Amar aur Yusra hote hain unke paas, woh dono aaj kal Pakistan se bahar hain. Dusri baat yeh hai ke papa aur mummy badi social life guzar rahe hain. Unko tumhari services ki itni zarurat nahi hai jitni mujhe hai. Salar ne be-had sanjeedgi se usse kaha.

Woh kuch der khamosh uski god mein pade laptop ki screen ko ghurti rahi...phir barbadayi..
"Main Islamabad mein khush rahungi.."

"Yaani mere saath khush nahi ho?"..wo jazbaz hua..
"Wahan zyada khush rahugi"..Woh ab bilaakhir saaf saaf apni tarjeehat bata rahi thi.

"Papa theek kehte the mujhe tumhein Islamabad nahi le kar jana chahiye tha. Maa baap ki baat sunni chahiye," woh be-ikhtiyaar pachtaya..

"Dekho, agar main tumhein Islamabad bhej deta hoon to kitni der reh sakti ho tum wahan, hamein agle saal Pakistan se chale jana hai." Woh use pyaar se samjhaane ki ek aur koshish kar raha tha.

"Toh koi baat nahi, tum Pakistan to aaya karoge na." Salar ka dil khoon hua. Zindagi mein aaj tak kisi ne uski zaat mein itni adam dilchaspi nahi dikhayi thi. "Khabardaar! Aainda mere saamne tumne Islamabad ka naam bhi liya aur apne ehmakana mashware apne paas rakhho. Ab mera dimagh chaatna band karo aur so jao." Woh buri tarah bigda tha.

Apna laptop utha kar woh be-had khafgi ke aalam mein bed room se nikal gaya tha. Imama ki samajh mein nahi aaya ke ismein itna naraz hone wali kya baat hai. Us waqt usay waqai andaza nahi horaha tha ke apne maa baap ki mohabbat mein woh kitne ehmekana andaz mein sochne lagi thi.

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now