Uske jism par maujood safaid libaas uske ghumte jism ke gird hawa mein ab kisi phool ki tarah raks sa tha..woh ab aahista aahista hawa mein uthne lagi thi...hawa ke mauthaf jhoke badi narmi se use jaise apne saath liye jaa rahe the..wo ab bhi isi tarah hasti raks ke andaz mein baazu phailaye ghum rahi thi..wo shehr zada use dekhta raha..wo ab kuch gunguna rahi thi..faza me yakdum koi saas bajne laga tha...pehle ek phir dusra phir teesra phir bohot saare..puri kaynaat jaise kisi symphony mein dhal gayi thi, aur woh ab bhi hawa mein raqsan thi. Kisi makhmali par ki tarah hawa ke dosh par upar neeche jaate, woh sahar zadah use dekh raha tha. Uski saathi raqs karte hue ek baar phir use dekh kar khilkhila kar hasi, phir usne apna ek haath badhaya, yun jaise use apne paas aane ki dawat de rahi ho. Woh has pada. Woh haath badhati aur woh khincha chala aata. Woh bhi uska haath pakde, ab faza mein raqsan tha. Zameen se door uske qareeb uske saath yakdum woh ruki, jaise kaaynat thahar gayi ho. Woh ab aasman ko dekh rahi thi, phir yak dum aasman taareek ho gaya... din raat mein badal gaya tha aur raat din se badh kar khoobsurat thi... siyah aasman khoobsurat chamakte hue sitaron se sajaa hua tha. Har rang ke sitaron se... aur un sab ke darmiyan chaand tha.
Kisi daagh ke bagair, roshni ka manba. Din ki roshni ujli thi. Sukoon aur thi... mad hosh kar dene wali thi. Raat ki roshni mein be shumar rang the, kaaynat mein aise rang unhone kab dekhe the? Kahan dekhe the? Zameen jaise har rang ki roshni mein naha rahi thi. Ek sitara timtimata phir dusra par teesra aur zameen par kabhi ek rang badhta, kabhi dusra, kabhi teesra. Aasman ko jaise kisi ne roshniyon mein pero diya tha. Woh uska haath pakde jaise sarshari ki inteha par pahunchi hui thi. Uski hairat, uski sarshari jaise use mehsooz kar rahi thi gud guda rahi thi.
Woh ab phir zameen par aagaye the. Raat ek baar phir din mein badal gayi thi... sabza, phool, patte mehakti mauhttar hawa, sab wahi the. Uske saath chalte chalte usne apne pairon ke neeche aate makhmali sabje par saje phoolon ko dekha, phir haath badhaya. Uske haath mein woh phool aagaya, phir dusra, phir teesra. Phir door door tak phaile sabze ke saare phool jaise kisi magnateez ki tarah uski taraf aaye the. Sekdon, hazaron, lakhon, latadad,beshumar itne ke uske haath sambhal nahi paaye the. Woh ab uske haathon par, Ab uske baalon par, ab uske libaas par, ab uske jism par woh khushi se be khud ho rahi thi, sarshar ho rahi thi.
Phir usne haath ke ishaare se unhe hawa mein uchhala... woh palak jhapakte mein aasman ki taraf gaye. Poora aasman phoolon se bhar gaya tha. Chand lamhon ke liye phir phoolon ki baarish hone lagi thi. Woh dono has rahe the. Phoolon ko barish ki tarah mutthiyon mein bharte aur chhodte, bhagte, khilkhilate woh sab phool zameen par gir kar ek baar phir sabze mein apni apni jagah saj gaye the. Wahan jahan woh the. Wahi jahan unhe hona chahiye tha.
Woh ek baar phir aasman ko dekh rahe thay, wahan ab badal nazar aa rahe thay. Rui ke gaalon jaise harkat karte badal, woh sab badal wahan jamaa ho rahe thay, jahan woh khade thay. Phir usne aasman par baarish ka pehla qatra dekha. Usne haath bada kar use apni hatheli par liya. Us qatre ko dekh kar dobara haste huye aasman ki taraf uchhal diya. Is baar woh qatra upar ja kar akela waapas nahi aaya tha. Woh bohat sare dusre qatro le kar aaya tha. Bohat sare naram lamhon ke girne wale qatre... Baarish baras rahi thi aur woh dono bachho ki tarah haste, khilkhilate paani ke in qatron ko haathon se pakad kar ek doosre par uchhal rahe thay. Woh baarish thi. Paani tha magar woh qatre unke balon, unke jism ko geela nahi kar rahe thay. Woh jaise shafaf motiyon ki barish thi, jo unke haath aur jism ki ek jumbish par unke balon aur libaas se alag ho kar door ja girte, sabze aur phoolon ke upar ab baarish ke shafaf moti jaise qatron ki ek teh si aagayi thi, yun jaise kisi ne zameen par koi sheesha phela diya ho aur woh us sheeshe par chal rahe thay, unko apne saaye mein liye woh rukte, haath hilate, aasman par badalon ko ek jagah se dusri jagah bhejte, phir apni taraf bulate, woh aasman par jaise paani se musawwari kar rahe thay. Phir jaise woh us khel se thak gayi. Woh ruki... baarish thami.. zameen se paani ke qatre gayab hone lage, phir badal chand saato mein aasman saaf tha. Yun jaise wahan kabhi badal naam ki koi shai aayi hi na ho. Woh ab bhi us ka haath pakad raha tha. Usne chonk kar use dekha."Tumhein kuch dikhana hai," woh muskuraya.
"Kuch aur bhi?" uski khushi kuch aur badi.
"Han, kuch aur bhi." usne asbat mein sar hilaya.
"Kya?" usne be-sakhta usse poocha tha. Woh khamoshi se muskura diya.
"Kya?" usne bachon ki tarah israr kiya.
Woh pehle se zyada poorasrar andaaz mein muskuraya tha. Woh uska haath pakde usi naye raaste ki taraf ja raha tha.
Phir un dono ko door se kuch nazar aaney laga tha.
☆☆☆
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...