Salar jis waqt dobara appartment mein aaya, woh gehri neend mein thi. Bed room ki light off thi aur heater on tha. Woh aur Furqan Fajr ki namaz se bahut der pehle masjid mein chale jaate aur Quran pak ki tilawat karte the. Fajr ki namaz ke baad wo dono wahi se building ke gym mein chale jaate aur taqreeban ek ghante ke workout ke baad wahan se aate. Aur aaj yeh duraniya Aamna ke Imama hone ki wajah se kuch lamba ho gaya tha. Furqan sehri ke waqt un dono ke liye khana le kar aaya tha aur woh bhoonjhka baitha reh gaya tha..
Woh raat ko Salar ke jis bayan ko sadme ki wajah se zehni haalat mein hone wali kisi kharabi ka natija samajh raha tha. Woh koi zehni kharabi nahi thi. Woh itminan se us ke samne baitha sehri kar raha tha aur Furqan use rashk se dekh raha tha. Rashk ke alawa koi us par kar bhi kya kar sakta tha.
Kya hua? Salar ne sehri karte hue uski itni lambi khamoshi par use kuch hairani se dekha. Furqan uske samne betha ek tak use dekha raha tha. Tum aaj apni nazar utar wana. Furqan ne bilaakhir usse kaha.
Achha..woh hans pada. Isse zyada ahmaqana baat kam az kam is guftagu ke baad koi nahi kar sakta tha. Main mazak nahi kar raha. Furqan ne apne glass mein paani undelte huye be had sanjeedgi se kaha.Jo kuch hua tha, use samajhne se zyada use hazam karne mein use dikkat ho rahi thi. Kisi ko bhi ho sakti thi, siwaye samne bethye huye us shakhs ke, jo is waqt kaante ke saath omelette ka aakhiri tukda apne munh mein rakh raha tha.
Aur agar koi sadqa waghera de sako to aur bhi behtar hai. Furqan ne uske radd-e-amal ko mukammal tor par nazar andaz karte huye kaha. Salar ab bhi khamosh raha. Aamna sehri nahi karegi? Furqan ko yak dam khayal aya.
"So rahi hai woh abhi mein alarm laga aaya hoon, abhi kafi waqt hai sehri ka time hone mein. Salar ne kuch la parwahi se usse kaha.
Furqan! Ab bas karo.. usse baat karte karte woh ek bar phir Furqan ki nazron se jhijhlaya. Woh phir use waise hi dekh raha tha.
"Mujhe is tarah aankhein phaad ke dekhna band karo." Usne is bar kuch khafgi se Furqan se kaha. Tum tum bahut nek aadmi ho Salar! Allah tum se bada khush hai. Woh omelette ka ek aur tukda lete lete Furqan ki baat par thitak gaya. Uski bhook yak dam khatam ho gayi thi. Mazeed ek lafz kahe bagair usne plate peeche hata di aur apne bartan utha kar andar kitchen mein le gaya. Woh khushi, sarshari, itminan aur sukoon jo kuch der pehle jaise uske poore wujood se chalak raha tha, Furqan ne palak jhapkate use dhuan ban kar gayab hote dekha. Masjid ki taraf jaate hue Furqan ne bilaakhir usse poucha tha.
Itne chup kyun ho gaye ho?" Wo usi tarah khamoshi se chalta raha...
"Meri koi baat buri lagi hai?" Woh ab bhi khamosh raha. Masjid ke darwaze par apne jogerz utar kar andar jaane se pehle usne Furqan se kaha. "Mujhe tum sab kuch keh lene Furqan! Lekin kabhi nek aadmi mat kehna."Furqan kuch bol nahi saka. Salar masjid mein dakhil ho gaya tha.
☆☆☆
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...