Is waqye ke baad agle chand hafte mein woh Lahore mein bhi kuch mohtaat rahe, lekin phir aahista aahista jaise har darr, khauf khatam hone laga. Imama ki family ki taraf se is baar is tarah ki dhamkiyan bhi nahi mili thi, jaisi Imama ke ghar se chale jane par Sikandar ki family ko milti rahi thi. Fori ishtial mein aa kar Hashim aur unke bete un par hamla karne ki ghalti to kar baithe thay lekin bahut jald hi unhe yeh ehsaas ho gaya tha ki Imama ko zabardasti waapas le jana, ab unke masail ko badha sakta tha, kam nahi kar sakta tha. Woh jhoot jo Imama ke hawale se unhone apne halka e ehbab mein bol rakhe thay, unke khul jane ka matlab ruswai aur jag hasai ke alawa kuch naa tha. Ek parda pada hua tha, use pada rehne dena zyada samajhdari thi. Unka wasta Sikandar jaisi family se naa padta to wo is muamlay par apni anaa ko itna neeche naa laate, lekin yahan ab majboori thi. Police station mein tafsiya ke doran Sikandar ne Hashim Mubeen ko saaf saaf bata diya tha ki Salar aur Imama ko kisi bhi tarah pahunchne wale nuksan ki zimmedari woh Hashim ke khandan ke ilawa kisi dusre par nahi daalenge. Aam halat mein Hashim is baat par mushtail hote lekin ek raat hawalaat se nikalne ke liye har tarah ke asar o rasukh istemal karke nakam hone ke baad unka josh, hosh mein tabdil hone laga tha.
Jahan tak Salar aur Imama ka ta'alluq tha, unke liye ye sab kuch "blessing in disguise" yaani shar se khair tha. Woh khudshat jinka shikar wo Islamabad mein qayam ke doran hote thay, woh aahista aahista ghayab hone lage thay aur ye khaas tor par Imama ke liye mojza se kam nahi tha. Usne tasawwur bhi nahi kiya tha ke woh kabhi azaadi ke saath reh sakegi.. Salar ne theek kaha tha. Chand hafton mein uski family ka rawaiyya phir pehle jaisa hi ho gaya tha. Hatta ke Tayyaabs ki talqi bhi khatam ho gayi thi aur is mein zyada haath Imama ka hi tha. Woh fitratan sulah jo aur farmabardar thi, rahi sahi kasar uske halat ne puri kar di thi.
Peeche Maika hota to shayad koi baat buri lagne par woh bhi usi tarah mood off karti jis tarah Sikandar ki doosri bahooein kabhi kabhar karti thin, magar peeche baggage ke siwa kuch nahi tha aur ehsan mand hone ke liye itna bhi bohot tha ke woh us shakhs ki family thi jo use sar par uthaye phirta tha.
☆☆☆
Koi Waseem Hashim sahab milna chahre hain aap se. Apne office ki kursi mein jhoolta Salar kuch der ke liye sakhat ho gaya tha.
"Kahan se aaye hain?" Usne ek lamhe ke liye apne contacts ki list khangali thi aur wahan sirf Waseem Hashim tha.
Islamabad se keh rahe hain ke aapke dost hain. Receptionist ne mazeed bataya.
"Bhej do." Usne intercom rakh diya aur khud seedha ho kar baith gaya. Aaj ke din woh aise kisi visit ke liye tayaar nahi tha. Waseem ke wahan aane ka maqsad kya tha, dono khandano ke darmiyan hone wale jhagde ko chand hafte guzar chuke thay.
Woh chand lamhon tak kuch sochta raha phir apni kursi se uth kar darwaze ki taraf barha, tab hi Waseem darwaza khol kar andar dakhil hoa tha. Ek lamhe ke liye dono saket hue thay, phir Salar ne haath badhaya. Waseem ne bhi haath badha diya tha. Ek taweel arsey ke baad un dono ke darmiyan hone wali woh pehli mulaqat thi.
"Kya loge? Chai, coffee?" Salar ne baithte hue kaha.
"Kuch nahi, main sirf chand minute ke liye aaya hoon." Waseem ne jawaban kaha. Woh dono kisi zamane mein bohot gehre dost thay, lekin is waqt unko apne darmiyan mojood takalluf ki deewar ko khatam karna bohat mushkil lag raha tha. Salar ne dobara kuch poochne ke bajaye intercom utha kar chai ka order de diya.
"Imama kaisi hai?" Uske receiver rakhte hain," Waseem ne poocha. "She is fine," Salar ne normal andaaz mein jawab diya.
"Main us se milna chahta tha, address tha mere paas tumhare ghar ka lekin maine socha, pehle tumse pooch loon." Waseem ne be had jatanay wale andaaz mein usse kaha.
"Zahir hai tumhein yeh pata chal sakta hai ke main kahan kaam kar raha hoon, to home address janna zyada mushkil to nahi hai."..Salar ne be had mamool ke lehje mein usse kaha, "Main milna chahta hoon us se." Waseem ne kaha.
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...